Next morning
Tring Tring Tring
shanti. hello bhaiya kuch pata chala baba abhi kaha pe hai
Birju are Shanti maine tujhe kal Sham ko hi to bataya tha ki baba xxxxx jangal main milenge our waha Jana khatre se Khali nahi hai
shanti. kay kah rhe ho bhaiya aap ne kaha bataya agar bataya hota to subah subah main aap Ko phone Karti Kay
Birju. nahi Shanti main kal tujhe 6 pm Ko phone kiya tha our phone bhi tum ne uthaya tha
tabhi Shanti ne phone kat diya our dude kar gita room main gayi magar gita apne room main nahi thi Shanti wahi pe chati pit pit kar rone lagi us ki rone ki awaz soon kar sabhi waha aa gayi
maya. chup ho jaa shanti rune abhi Karan nahi aaiga himmat se kaam le chal Birju Ko phone kar ham abhi baba ke pass chalte hai baba Ko zaror kuch n kuch pata hoga
shanti bas chila chila kar roti jaa rahi our kahne ladi didi main yeha gita se puchne aai thi ke Birju bhaiya ne kal gita Ko baba ke bare main bataya to us ne hamhe q nahi bataya magar gita room main nahi hai mujhe pata hai wah us jangal main akeli Chali gayi hai
naina roti huwe mommy gita didi Karan bhaiya ke room main mere saath so rhi thi
sabhi tezi se Karan ke room main bhagi our waha Komal Ko tebal pe ek kagaj mila jisme likha tha
Sorry chuti maa mujhe manf kar Dena main ne aap se jhoot bola kal Birju mama ka phone tha jo maine aap Ko nahi batayi aap janti hai main America bade mama ke pass q gayi our jab mujhe pata chala ki mera bhi raja bhai is duniya mein aaya hai to main usi deen ghar ana chahti thi magar aap sab ne mujhe nahi aane diya our jab main America se India aane wali thi main teen rato se mujhe nind bhi nahi aa rhi main itna khush thi ke main jab airplane main thi to khusi se meri aankhon se aansho bahne lagi thi our dil main sochti ke kaisa Lage ga jab main apne bhai ko seene se lagaungi magar meri kismat main mera bhai ka payar nahi hai sayad magar jab Birju ne mama ne bataya baba ke bare main to mujhe ek ummid jaga our ye ummid main apne haantho se nahi Jane dungi chahe meri Jaan hi q na Chali jai said app bete ke liye tadepi hai magar main apne bhai ke liye kitna tadpi huin Wah main janti huin mujhe jab tak Karan ko pata n chale main ghar nahi aungi our aap loog jab tak ye meri letter padegi main bahut dur Nikal jaungi our meri bas ek gujarish hai payal se Payal ab se tum is ghar ki badi beti ho to ab se tum sab ka dheyan rakhna tumhari badi didi. gita
jis pade kar sabhi roti rahi
bhabhi ye sab kaise ho gaya our aap ne mujhe q nahi bataya our wah bhi bilak bilak kar rone lagi
maya. nahi Kavita teri abhi tabiyat thik nahi hai is liye nahi bataya
do loog jaa the said Sikar karne aai the un main se ek ne kaha are Malik mujhe our nahi chala jaa raha hai aap to ghode pe sawar hai our mujhe padal chala rhe hai our ye kahte huwe hariya whi pede ke niche jaa kar bath gaya jo kab se padal chalte chalte thak gaya tha
aadmi 2 thik hai hariya ham yehi pe kuch der aaram kar te hai phir ham ghar ki taraf chal denge lagta hai yeha ab koi bhi Janwar nahi hai
hariya. thik hai Malik mujhe payas bhi lagi hai main abhi Pani le kar aaya
aadmi 2. are is jangal main kaha se Pani milega tujhe
hariya. Malik lagta hai waha pe Jharna bah rhi hai
Malik Malik hariya jab jhadne ke pass gaya to dekha waha ek bachcha hai jo ulta leta hai our us ke sarir pe jagah jagah se Khun nikal rha hai magar ladke ki sanse chal rahi hai to Wah aadmi 2 Ko pukarane laga
Aadmi 2 Kay huwa hariya gala q phade rha hai Janwar to nahi dekh liya
hariya. Malik wah ek ladka hai our us ke pure sarir se Khun nikal rha hai magar jab maine us ke nas Ko dekha to us ki sanse chal rahi hai
Aadmi 2 chal sambhal ke is mere peche batha kar bandh de is jitna jaldi ho sake ise baidh jee Ko dekhana hoga
idhar gita do deen se bhatakati rahi our use har jagah se darwani awaze sonai de raha tha magar use koi phikar nahi thi use sirf baba se milna tha our apne bhai ke bare main Janna tha ke mera bhai Zinda hai ki nahi
bechari gita didi jo America main aram ki zindagi ki jindagi jee rhi thi Wah aaj us darwani jangal main bhokh payas se bhatak rahi hongi gita didi ne achacha nahi kiya main bhi gita didi ke saath baba se milkar apne bhai ke bare me puchti na jane kaha hoga khana khata bhi hoga ki nahi he Bhagwan mera bhai jaha bhi hai us ki raksha karna chahe us ke badle meri Jaan le lijiye
kajal didi kajal didi didi
kajal ha sona Kay huwa aa meri goodh main bath
naina didi mujhe bhokh lagi hai mommy bhi bas ro rhi hai our badi maa bhi sabhi bas ro rhe hai Karan bhaiya ko gita didi le kar aati hongi na
kajal ka ek pal ke liye tadep gaya ki kaisi bahan huin jo apni chuti bahan Ko bhokhi chude diya hai our kajal ne apne dil ko majboot bana kar khana banane lagi jaha kuch der baad waha payal bhi aa gayi our duno bahne ne sab Ko zabrjasti sab ko khana khila diya
idhar gita ke pass kuch bhi nahi bacha tha us ke pass jo kuch bhi lai thi khane ke liye khatam ho gaya tha our Suraj ke Kiran ki dhup use ke payas our bhi badha rhi thi gita ab jangal se nikal kar Pahari ki taraf chal rhi thi baba ki khoj main our Wah kisi Ko dekh kar Wahi pe gir kar behosh ho gayi

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.