Update. 36
didi phir aap chikhi q aap koi bora sapna tu nahi dekh liya tha aap ne karan chintit hote huwe kaha .. ha bhai maine bora sapna hi dekh liya tha geeta ne karan our payal ko dekhte huwe kaha cholo ab main thik huin …. ab geeta ineh kaise batati ke wah sapne main mata rani ko dekha apni aankho ke samne.. tab tak subah bhi ho gayi thi narh bhi geeta ko achche se dekh kar chali gayi………………. ghar pe ragni bhi subah hi uth gayi thi our wah shanti ko dekh rahi thi our soch bhi rahi thi ……. bhagwan ne kaisa khel khela hai mere sath jo bachche siraf mere the aaj wahi bachche ke 3 maa hai magar main bahut khosh hain ke mere bachche ko itni payer karne wali maa mili hai kas ye loog meri hakikat jaan kar mujhe bhi apne pariwar main samil kar le ….. ragni abhi soch hi rahi thi tab tak shanti uth kar bathroom main chali gayi ……….. kay soch rahi ho bahan shanti bathroom se nikal kar kaha
ragni : nahi kuch bhi nahi aap kab uthi abhi tu aap so rahi thi … ragni ko thudi archaye huwa ke shanti kab uth kar bathroom jaa kar aa bhi gayi our mujhe pata bhi nahi chala
shanti : bahan main tu uth kar bathroom se bhi aa gayi pata nahi tum kis yaado main khoi ho … thik hai tum bathroom ho kar aao main coffee bana deti huin …… ragni uth kar bathroom chali gayi …. our shanti kitchen main chali gayi coffee banane ke liye ……… ragni bathroom se akar apni saree achche se pahan rahi thi …… tabhi kajal mommy mommy kahti huwe shanti ke room aa gayi ….. aawaz soon kar ragni jab palti tu kajal ke khob surat chehre ko dekh kar kho gayi .
kajal : ragni ke samne chotki bajate huwe kaha aap kaun ho our meri mommy kamre main kay kar rahi hai …….. magar ragni bas kajal ko hi dekh rahi thi our soch rahi thi kitni peyari hai meri beti ye meri maa ki tarah dikh rahi hai ……. hello kaha kho gayi aap main puch rahi huin kaun ho aap our meri mommy ke kamre kay kar rahi hai kajal thudi chilla kar kaha ………. kajal beti tu kaisi bate kar rahi hai maine tujhe yehi sikhaya hai bade se aise bate nahi karte chalo sorry bolo …. tab tak ragni bhi hosh main aa gayi
kajal : sorry jo aap se aisi baat ki
ragni : koi baat nahi main kahi kho gayi thi ……… phir shanti ne ragni ko coffee di pine ko our chali gayi …. baba bhi uth gaye the tu shanti ne uneh bhi coffee di pine ko our nasta banane chali gayi ………… baba kay baat hai aap achanak yeha aa gaye nasta karte huwe maya ne kaha
baba : nahi beti main yehi tha tu pata chala geeta beti ka accident huwa hai tu dekhne chala aaya tum tu janti ho geeta mere sath kitne din rahi sath main tu main geeta se ek rista ban gaya hai is liye dekhne chala aya
shanti : ha baba jee hameh sab maloom hai geeta ne bataya tha thi hai baba jee nasta kar ke chalte hai hospital …….. ragni bas naina kajal our komal ko hi dekh rahi thi our saiyad uske ke aankho main aanso bhi aa raha tha magar wah aanso khosi ka tha
shanti : bahan nasta karo na kay soch rahi ho …. jab shanti ne dekha ragni naste karne ke bajaye bas uske ke betiyon ko hi dekh rahi hai
ragni : hhhhh didi main kuch nahi soch rahi huin …… our nasta karne lagi magar kabhi kabhi uneh dekh bhi rahi thi ………. are bahan maine tum se tumhara naam nahi puch kay naam hai tumhara gadi main bathte huwe shanti ne kaha
ragni : ragni naam hai didi meri … ha achcha naam hai ………. komal tu apne mobile main bizi thi ….. magar naina bar bar ragni ko dekh rahi thi our soch rahi thi mujhe aisha q lag raha hai maine kahi dekha hai ineh mahar pucha nahi usne ………. Kajal drive karte huwe gadi hospital ki taraf kar te huwe chal di ……. maya aaj ghar pe hi ruk gayi maa jee ko dekh bhal karne ke liya
……………………………………………………..
idhar dharm sahar main pahunch gaya tha our wah achanak draivar ne bareek laga diya jo dharm ko jhatka laga
dharam : sala kaise gadi chala raha hai our tune gadi q ruk di gusse main draivar se kaha ……. malik wah bacha aage aa gaya tha tu ruk diya draivar ne darte huwe kaha
dharam : tu thok dena tha aage se meri gadi kabhi mat rukna nahi tu main teri sanse ruk dunga …….. tabhi ek ladke ne shishe pe mukka mara jo tut gaya ….. jab shisha tuta tu dharm kaun hai be kahte huwe gadi se nikla
dharam : teri himmat kaise huwa meri gadi ko chone ki sale yehi pe thuk dunga
ladka : jayada phade phada mat abhi is bache ki jaan jane wali thi agar main nahi aaya huta tu ye sadak tere baap ki nahi hai jo itni teez gadi chala raha hai ye bazar hai yeha loog gadi dheere chalate hai na ki teez ……… dharm ko itna gussa aya ki usne gun nikal kar ladke pe taan di
dharam : meri gadi hai main chahe kitni bhi teez chalau tujhe kay mujhe tu janta nahi hai yehi thuk dunga mera koi kuch nahi bigad sakta hai ……. abhi dharam dhamki hi de raha tha …. tab tak ladke ne gun chin kar dharam pe hi taan diya
ladka : soon be suwar ke aulad ha gadi tu teri hai magar sadak tere baap ki nahi hai our tujhe pata hona chahiye ke sadak pe loog bhi chalte hai ……… tabhi raka gadi se nikal kar kaha bhai manaf karde galti ho gayi …..
ladaka : thik hai samjha dena warna achchha nahi hoga is ke liye our chala gaya …….. dharm bhi gusse ki ghut pi kar chala gaya
ladka : satya ek sigret pila yaar sale ne dimag hi guma diya
satya : kay huwa veer tu itna gusse main q hai ….. ha bhai loog ye karan hi tha …. our satya ne apni jeeb se sigret nikal kar de diya
veer : sala hospital main mera dimag ghum gaya tha waha bas dawa ka hi badbo aa raha tha tu soch bahar jaa kar ek phok.mar lo our phir satya ko bataya kay huwa abhi
satya : chal chode jane de kuch loog hote hai kutte ki dum joo tede hi rahte hai ….. our tu hospital main kay kar raha tha kay huwa hai tujhe
veer : are yaar meri didi ka accident ho gaya tha meri didi ko bahut chot lagi thi magar ab thik hai
satya : tu sale mujhe q nahi bataya ha tu mujhe bhala q bataiye ga mujhe tu apna manta hi nahi hai
veer : nahi yaar aisi koi baat nahi hai maine tujhe is liye nahi bataya ke tu apna sara kaam chode kar aa jata mere sath phir yeha kaam kaun karta ek tuhi tu hai kaam karne wala apne ghar ka tera mama bhi ab bimar rahta hai is liye nahi bataya tujhe
satya : phir bhi yaar …….. veer thik hai galti ho gayi manaf kar de …….ab satya bhi kuch nahi bola janta tha veer ne manfi mang liya hai ab kuch bola tu ye kuch bhi kar sakta hai sala adha pagal hi hai
satya : thik hai bhai tu ghar chale ga mere sath maine maa ko bataya tha ke teri family mil gayi hai jo isi sahar main rahti hai tu maa khush bhi huwe thi our naraz bhi ke tum ne maa se milne nahi gaya
veer : thik hai bhai aunty se meri taraf se sorry bol dena main jald hi tera ghar aunga mujhe ab jana hoga didi parsan ho rahi hogi maine uneh bataya bhi nahi hai ……. our veer chal diya hospital ki taraf
idhar kajal hospital ke samne gadi ruk diya our dab utar kar hospital ke andar chale gaye .kajal gadi park karne chali gayi … magar ragni sab se pichhe chal rahi thi our apni aanchal bhi sar pe rakh liya tha shanti komal our baba geeta ke room main chali gayi magar ragni bahar hi ruk gayi ……. naina bhi ragni ko hi dekh rahi thi .. our naina soch bhi rahi thi ineh kaha dekha hai mujhe aisha q lag raha hai ke main ineh achche se janti huin our jab se ineh dekha hai mujhe ander se bahut khosi ho rahi hai ……… naina se raha nahi gaya
naina : aunty kay aap mujhe janti hai ………. jab naina ne ragni se bola tu use itni khosi huwi ke use ek pal laga ke kah de ke main teri maa huin our jee bhar ke gale laga lu magar kah na saki
ragni : nahi beta main tu tumse subah hi mili huin tumeh aisha q laga ….
naina : nahi aunty maine jab se aap ko dekha hai lagta hai main aap se pahle bhi mil chuki huin our aap se bate karte huwe bhi mujhe itni khosi ho rahi hai ke main bata nahi sakti ………. ragni ander se khosh hote huwe ha beti mujhe bhi utni hi khosi ho rahi hai q tum meri dil ki dhadkan ho main tumeh jalad hi bata dungi ke main tumhari maa huin

