Manju ke room ka darwaja khula hua tha aur andar neha aur manju bed par baithe hue kuchh bate kar rahi thi jo mujhe dekh kar unhone band kar di aur is wakt dono hi bahut serious lag rahi thi…………..
.
.
ab aage……
.
un dono ne mujhe dekh liya tha isliye ab main bina bate kiye wahan se ja bhi nahi sakta tha
“are neha tu yahan hai aur main tujhe niche dhundh raha tha” main bola
“kyon kya kaam tha…….” neha ne puchha
“ku…ku….kuchh nahi bas aise hi bore ho raha tha to socha tere sath time pass kar lu” main hichakte hue bola kyonki mujhe usse kuchh kaam to tha nahi
“to aa yahi baith ja…..” neha boli
“nahi, tum dono hi bate karo ab main apne room me jata hu” kah kar maine khisakna chaha kyonki main manju ka samna nahi Karna chahta tha
“ruko sonu, andar aao mujhe tumse kuchh bate karni hai” tabhi manju boli
“le….lekin” maine kahna chaha
“lekin vekin kuchh nahi, maine kaha na andar aao” manju hukum chalate hue boli
aur aakhir mujhe andar jakar baithna hi pada aur phir kuchh der ke liye room me khamoshi chha gai kyonki neha ke paas kahne ke liye kuchh tha nahi aur main baat shuru Karna nahi chahta tha ab jo bhi Kahna tha wo manju ko hi kahna tha lekin wo kuchh kahne ke bajaye mujhe hi dekhe jarahi thi aur jaise uski najre mujhe chubh si rahi thi
“kaho kya kahna hai” aakhir mujhe hi Kahna pada
“wo……kal sham tumne mujhse kuchh kaha tha aur aaj main uska baat ka jawab dene wali thi…..yaad hai ya bhul gaye?” manju boli
“yaad hai…….” main bola
“to phir mera jawab puchha kyon nahi” wo phir boli
“wo…..wo……meri himmat hi nahi hui puchhne ki, ab tum hi bata do” main bola
“waise kya samajhte ho kya jawab hoga mera…….” manju suspense create karte hue boli
“ab main kya kah sakta hu faisla tumhe lena hai lekin ek baat main tumhe bata du ki kal jo bhi maine tumhe kaha tha usme se ek baat main puri nahi kar paunga” main bola
“neha ko na chhodne wali baat na……” manju boli kyonki raat ko wo meri aur neha ki sari bate sun chuki thi
“haan…….” main bola
“mujhe pata tha ki tum neha ko nahi chhod sakte, chalo maan liya lekin phir bhi guess karo ki mera faisla kya hoga” usne phir puchha
ab main fans gaya tha ki kya jawab du waise mujhe lag raha tha ki uska faisla na me hi hoga kyonki kal sham maine use kaha tha ki aage se main neha se jismani rishte khatam kar dunga lekin raat ko hi apne us faisle se palat gaya tha
“kya soch rahe ho batao na” manju phir boli aur udhar neha bade dhyan se ye sab dekh aur sun rahi thi
“mujhe nahi pata…….” kahte hue main uthh gaya kyonki manju ke muh se na sunne ke baad meri halat kharab ho jani thi kyonki gala to abhi se rundhne laga tha
“are……are……uthh kyon gaye baitho na” manju mujhe uthhte dekh kar boli
main bagair kuchh bole khada raha
“plz sonu agar tum mujhse sach me pyar karte ho to ek baar to bata do ki mera jawab kya hoga” manju boli
aur ab usne mujhe pyar ka wasta dediya tha to ab to chup rahne ka sawal hi nahi tha
“na……..” main bhare hue gale se bola meri aankhe bhi bhar aai thi
aur itna kahte hi main teji se room se bahar nikalne ko hua lekin manju mujhse tej nikli shayad wo ye sab pahle hi samajh gai thi ki main kya kahne aur kya karne jaraha hu isliye abhi main room ke gait tak hi pahucha tha ki usne mera hath pakad liya aur mere aansu jo ab tak meri aankho se bahar nikal chuke the ko pochh kar mere gale se lag gai
uski aankho me bhi aansu aachuke the
“sorry sonu mujhe nahi pata tha ki tum sach me mujhse itna pyar karte ho warna main kabhi bhi aisa majak tumhare sath nahi karti……….I LOVE YOU TOO SONU……LOVE YOU VERY MUCH” manju subakte hue boli aur uski ye baat sunkar maine bhi use apne aap ke aur karib karte hue apni banho me bhinch liya
main chupchap sisakte hue use apne aap ke bhinche hue khada tha aur wo pata nahi kya kya badbadate hue apne aapko hi kose jarahi thi jabki main uske ikraar karne ki wajah se jaise khushi se fula nahi sama raha tha…………

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.