UPDATE 48
.
.
sham ko lagbhag 7 baje meri nind khuli to dekha ki mina wahin baithi thi
“are jaag gaye tum, chalo jaldi se fresh ho jao main madam aur doctor ko phone laga deti hu” mina mujhe uthha dekh boli
main bed se utra aur bathroom ki taraf badh gaya ab dard bahut kam ho gaya tha mina ne sahin hi kaha tha ki main 2-3 din me thik ho jaunga
main bathroom se fresh ho kar aa gaya tha tab tak mina ne chai bulwa li thi abhi hamne chai khatam hi ki thi ki us din wali lady jiska naam ab mujhe malum tha ki anju thakur hai ek aadmi ke sath room me aayi
“hi… kaise ho” anju mam muskurate hue boli
“ab bahut hadd tak thik hu…” main use dhyan se dekhte hue bola
anju thakur koi 40 saal ki ek bhare pure badan wali gori nari khubsurat mahila thi abhi uska chehra dekh kar mujhe lag raha tha ki shayad maine is se milta julta chehra kahin dekha hai lekin kuchh yaad nahi aa raha tha
“achha to bhai kya naam hai tumhara” doctor bola
“ji ravi…” maine bataya
“to mr. ravi ab dard kaisa hai tumhara” usne puchha aur mera checkup karne laga
“bas thoda thoda hi rah gaya hai shayad kal tak pura hi thik ho jayega” main bola
“hummm… waise ghav bhi ab thik ho chuke hai to ye bandage bhi ab nikal dete hai” wo bola aur apna kaam karne laga
thodi der me hi mere badan se sari pattiya hat chuki thi aur ab main sirf underwear me tha
“tum chaho to naha sakte ho” doctor bola
aur sach me hi meri nahane ki bahut ichha ho rahi thi to main mina ki taraf dekh kar bathroom me chala gaya mina bhi mera ishara samajh gai thi mere bathroom me pahuchte hi wo mere liye kapde aur undergarments le kar aa gai thodi hi der me main naha dho kar aur taiyaar hokar wapas room me as gaya tha jahan ab doctor nahi tha
“doctor kahan hai…” maine puchha
“unka kaam khatam ho gaya to wo chale gaye” jawab mina ne diya
anju mam wahin sofe par baithe mujhe bade dhyan se dekh rahi thi jabki mina khadi hui thi to maine bhi baithna thik nahi samjha aur khada raha
aise khade khade koi 1 minute tak anju mam mujhe dekhte hue pata nahi kya soche ja rahi thi
“baitho ravi, aur mina tum bhi baith jao” anju mam boli
main aur mina dono baith gaye
“tum mere bare me kya kya jante ho ravi” anju mam boli
“utna hi jitna ki mina ne bataya hai ki aapka naam anju thakur hai aur aap bahut badi business woman hai” main bola
“aur….” usne phir puchha
“ji aur to kuchh nahi janta” main bola
“kal se pahle mujhe kabhi dekha tha” usne phir puchha
“ji nahi…” main bola
“kal tum wahan kya kar rahe the” anju boli
“ji kuchh nahi, kal main ghar par bore ho raha tha to us side ghumne nikal gaya tha wo pedo ka jhurmut aur wahan ki thandi hawa mujhe achhi lagi to wahin baith gaya tha phir wo hadsa ho gaya” maine bataya
“isi shahar ke rahne wale ho ya bahar kahin ke” usne phir puchha
“ji yahin ka rahne wala hu….” main bola
“ghar me kon kon hai….” usne puchha
“meri mom ek badi bahan aur ek chhoti bahan hai, papa police me the koi 6 saal pahle wo on duty gujar gaye the” maine bataya
“tum kya karte ho…” wo boli
“ji last year 12th karke maine padhayi chhod di kyonki mujhe padhne me interest nahi tha ab koi job dhundh raha hu” main bola
ab kuchh der ke liye wahan chuppi chha gai kyonki anju mam kuchh sochne lagi thi
“dekho ravi mina ne tumhe mere bare me jyada nahi bataya lekin ab meri baat dhyan se sun-na waise to mujhe tumse ye bate nahi karni thi lekin pata nahi kyon tum mujhe apne se lagne ho aur kal tumne meri jaan bacha kar jo mujh par ehsaan kiya hai use main kabhi bhi nahi bhula sakti, dar-asal baat ye hai ki aaj-kal business me bahut jyada maramaari hai har koi ek dusre se aage nikalna chahta hai usi karan kal mujh par wo hamla hua tha isiliye main apne office me sirf mina par hi bharosa karti hu lekin wo ladki hai aur uski bhi ek limitation hai isi liye main koi mel employee dhundh rahi thi jis par main bharosa kar saku aur wo mere important kaam nipta sake aur mujhe lagta hai ki tum mere liye sahin ho, kya main tum par bharosa kar sakti hu aur kya tum mere liye kaam karna pasand karoge” anju mam boli
“bharosa to aap mujh par khud se bhi jyada kar sakti hai lekin mujhe kaam kya karna hoga wo malum hone par hi main haan kahunga kyonki kal ka tamasha main dekh hi chuka hu aur main apni jaan khatre me nahi daal sakta” main thoda soch kar bola
“ravi, hamara kaam real estate aur construction ka hai jisme koi khatra nahi hai lekin kal jo hua wo bhi nahi hota agar main opposition ko shareef nahi samajhti usne ek deal me mili haar ko apni be-izzati mana aur ye kand kar diya lekin maine use dhang se samjha diya hai aur ab main khud bhi alert rahungi ki dobara aisa kuchh na ho” anju mam boli
“lekin mujhe kaam kya karna hoga” maine puchha
“tumhe mina ke sath join karna hoga matlab tum mere 2nd p.a. hoge jo kaam mina kar sakti hai wo kaam wo hi karegi lekin jahan ek mard ki jarurat hogi wahan tumhe jana hoga kai baar tum dono ko bhi sath hi jana hoga aur jab kahin bahar na jana ho tum mina ki tarah hamesha mere sath rahoge bas itna hi kaam hai” mam boli
ab main sochne laga ki kaam ke liye haan karu ya nahi phir aakhir me isi faisle par pahucha ki is kaam me koi burai nahi hai ek to sidha sada kaam tha us par mina jaisi maal bhi sath hogi kaam ke wakt kaam aur khali time me chudai
“ok main taiyaar hu” main bola
“lekin tumne salary ke bare me to puchha hi nahi” mam muskurate hue boli
“jab aap mujh par itna bharosa kar rahi hai to itna bharosa to main bhi aap par kar hi sakta hu ki aap jo bhi dogi wo thik hi hoga” main bhi muskurate hue bola
“ok to phir aaram karo mina yahin hai wo tumhe sab samjha degi ki tumhe kya kya kaam karna hai, ab main chalti hu kal phir mulakaat hogi” kahte hue wo wahan se jane lagi
“mam main kuchh kahna chahta hu…” main jaldi se bola
“kaho…” wo ruk kar boli
“mam kal main yahan se chala jaunga lekin main parso se kaam par nahi aa paunga uske ek din baad se aaunga” main bola
“ok jaisa tumhe thik lage…” kah kar wo phir jane ko mudi lekin palat kar phir boli “car chalana jante ho”
“ji haan license bhi hai mere paas” main bola asal me maine school time me hi ek driving school se car chalana sikh kar license banwa liya tha
“good…. mina ho sakta hai ki kal main na aa pau ya ravi mere aane se pahle chala jaye is liye aaj tum ise sara kaam samjha kar iska mobile number aur address note kar lena ok” anju mam boli aur wahan se chali gai
“welcome to my company dear” mam ke jate hi mina ne kah kar meri taraf hath badha diya
“thanks….” kah kar maine bhi hand shake kiya
“to isi baat par botel khole…” mina boli
“yes… why not” main bola
mina jakar 2 beer utha layi aur peg bana diye
“mina kya tum mujhe mam ki personal life ke bare me kuchh bata sakti ho if you don’t mind” main ghunt bharte hue bola
“unki life me personal jaisa kuchh nahi hai, unki family me wo aur unki ek beti hi hai unke husband bahut pahle hi expire ho gaye the jab unki beti sirf 5 saal ki thi uske baad wo apne pati ka business sambhalne me hi wyast ho gai aur dusri shadi nahi ki, bas itna hi hai” mina ne bataya
iske baad hum beer pite rahe aur mina mujhe mere kaam ke bare me samjhate rahi aur usne mera mobile number aur address note kar liya tab tak khana bhi aa chuka tha to hum khane se bhi farig ho gaye phir mina ne mujhe dawai di jo maine kha li aur bed par let gaya raat ke 11 baj chuke the
“ok to ab tum aaram karo ummid karti hu ki tum subah tak bilkul thik ho jaoge ab main bhi apne room me jati hu” mina boli
“are udhar kyon ja rahi ho yahin aa jao na mere paas” main bola
“sorry abhi meri gadi puncture hai 5 din ke liye uske baad dekhte hai” wo aankh maar kar boli
“ohh shit…. ok good night” mere muh se nikla
“are yaar chinta mat karo 5 din ki hi to baat hai phir to hame sath hi rahna hai bahut mauke aayenge, ok good night” mina boli aur wahan se nikal gai
‘wow yaar kismat ne bhi kya palti mari thi jaise hi maine sudharne ka faisla kiya to pahle maar to jarur padi lekin phir ek shandaar job aur mina jaisi maal bhi mil gai’ sochte hue maine mobile uthhaya aur mobile dekhte hi mere hosh udd gaye
tina ke 38 miss call the di se baat karne ke baad aaj main mobile off karna bhul gaya tha aur mobile silent mode par tha to kuchh pata hi nahi chala last call ek ghante pahle ki thi
maine socha ki chalo use phone lagata hu lekin time bahut ho gaya tha aur kal to mujhe ghar jana hi tha to maine phone charging par lagaya aur so gaya……

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.