Update-62
Jey- naa naa naa cheating nahi karni hai
Goli behan ko marni thi khud ko nahi
Nisha- bhaiya aapka hath
Nisha ne apna dupatta faad ke jey ke hatho par bandne lagi
To jey ne jhatke se hath hata liya
Hua kuch aisa tha ki Priya khud ko Goli marne wali thi jisse jey ne hath laga kar bacha liya aur vo Goli Priya ki jagah jey ke hath me lag gaye
Nisha- bahut khoon bah raha hai bhaiya
Please
Jey- kitne nataak karte ho
Kabhi pyaar karne ka
Kabhi care karne ka
To Kabhi nafaraat ka
Kabhi apna asli chehra bhi dikha do
Shivani ne jey ka hath pakda aur jabardasti uske upar patti bandne lagi
Jey Priya se
To aapne cheating ki hai
Ab eski saza bhi alag se milegi
Priya- ye sab tum lelo
Sab kuch
Aur jo meri mom ka tha vo bhi lelo
Etna sab ki jindagi me bahut khatam nahi hoga
Sath me chahe mujhe bhi maar do
Par please meri behano ko chhod do
Vo abhi nasamajh hai
Jey- aap mujhe meri behano ke bare me bata do
Silence
Silence
Silence
Jey- acha chhodo
Mujhe marne ka hi asli karan bata do
Jey ne jaise hi ye line boli vaha khadi teeno behano ke ankhen badi hogi
Jey- I spent my whole life in hell
Aur mujhe etna to ab experience ho gaya ki kisi ko bhi dekh kar uske bare me bata saku
Aap logo ne mujhe mara
Ye thik hai
But paise ya power ke liye nahi mara
Mujhe sachae janani hai
Priya- yehi sachae hai
Aur sab juth hai
Jey- gudia ke aashon hi sab bata rahe hai
Nisha jo foot foot ke rone lagi thi usse dekh kar
Koe na Koe to reason hoga na aur vo reason bada bhi hoga
Bas vo kya hai ye janana hai mujhe to
Teeno behane ek dusre ki taraf dekhne lag gaye
Jaise soch rahi ho ki jey ko kya bole
Jey- mujhe jisse pyaar karte the usse hi maar diya
Matlab jiske liye mara hoga usse mujhse bhi jada pyaar hoga
Aur mujhe to asle sirf kuch log hi dikh rahe hai
Shivani- tumhe sab pata hai to puch kyu rahe ho
Jey- Bas confirm kar raha hu
Nisha jiska ab sabar ka band toot gaya tha vo suru hogaye
Nisha buri tarah rote hue
Ha mara aapko
Lekin aapko mara sirf aapki behano ko bachane ke liye
Aapne bahut dusman palle hai na
Unhi me se ek ne unko kad kar liya tha
Aur shart ye rakhi ki
Ya to aapki jaan ya unki jaan
Aur humne unki choose ki
Aur aage bhi aisa hua to aage bhi unki hi choose karenge
Humesha karenge
Kyuki nafaraat karte the aapse
Aur vo nafaraat Kab pyaar me badal gaye hume pata hi nahi chala
Ha yaha aapko barbaad karne aaye the
Lekin aapki care
Aapke pyaar ne
Sabkuch badal diya
Hume pata hai kaise gut gut ke rah rahe hai hum
Sabko haste hue to dikh jate hai lekin us haste hue chehre ke piche ka Dard kisi ko nahi dikhata
Shivani Didi ko to dekh hi rahe ho na aap
Agar main bhi unke jaisi hi ho jati to hum behano ki sambhalata kon
Priya Didi to bahut pehle hi toot gaye thi
Unhe me to etni himmat bhi nahi thi ki vo khud se aap par Goli chala sake
Esliye sab kuch maine kiya
Ye sara plan mera tha
Sara kasur mera hai
To agar saza deni hai to mujhe do
Aur kar do ess jalim Dunia se aazad
Aur nahi jeena mujhe yaha
Aur nahi jeena mujhe yaha
Nisha aur jor se rone lag gaye
Jey- kisne blackmail kiya?
Priya- uski lash kabristaan me kutte kha rahe hai
Jey- jab mujhe meri behan ke bare me pata nahi chala to usse kaise pata chala
Priya- ye raaz ussi ke sath chala gaya
Jey- meri behan kaha hai
Priya- jab unko sab pata chala to vo sab chhod kar chali gaye
Humne bahut dondne ki kosis ki lekin hum dond nahi paye
Jey- aapne unhe jane diya
Jey bahut gusse me bola
Etne me ki agar vaha koe aur hota to sayad jey uska maar deta
Ye pata hote hue ki bahar khatara hai
Priya- main rok nahi paae
Aur kya bol kar rokti ki maine tumhre Bhai ko maar diya kyu
Kyuki
Tumhe bachana tha
Us isaan ko maar diya jinhe vo sabse jada pyaar karti thi
Jey- Tumhe pata tha mere bare me
Priya- ha
Mujhe pata chal gaya tha
Jey- ki mera left ki jagah right side me hai
Aapko pata tha na
Esliye mujhe left side goliya mari
Priya kuch nahi boli
Vo bas najare niche karke khadi rahi
Jey utha aur ek baar sabki taraf dekha
Aur mud kar vapas jane laga
Par jate jate
Jey- I will not kill you
Because main nahi maar sakta
Aap log humesha se yehi chahte the na
Mujhe barbaad karna
Aur vo main ho gaya
Sayad hi dunia me ab dunia me kisi se pyaar ho
Lekin main jiunga apni behano ke liye
Ye mat samjhna ki main aap logo ko maaf kar diya hai
Maine nahi kiya aur na hi kabhi karunga
Kyuki
Kaisa bhi ho
Dhokha dhoka hai
Chahe vo meri behano ko bachane ke liye kiya ho
Ye dunia aur ye power aapko mubarak ho
Mujhe bas meri asli behane chahiye
Aur unke sahare main jee lunga
Shivani- aur ruchi?
Uska kya
Dhoka to usne bhi diya hai
Jey- usne kaha tha ki vo mujhe bachpan se pyaar karti thi
Shivani- behano ke alava ek Dost bhi hoti thi tumhri bachpan me
Sayad waqt ke sath tum usse bhul gaye
Lekin vo nahi bhuli
Jey- sayad waqt ke sath main aap logo ko bhi bhul jau
Aur jey vaha se muda aur bina piche mude chala gaya
Yaha aashon dono taraf the
Jey bhi ro raha tha aur Priya, shivani, Nisha bhi ro rahe thi
Sabse apna sab kuch kho diya tha
Vo ek matar chhij jo puri Dunia me unke liye sabse jada importance rakhti thi vo unhone kho di
Pata nahi kab tak teeno behane vahi par bathi rahi aur ashon bahati rahi
Par jo chala gaya usse to vapas aana nahi tha to esse acha move on hi kar liya jaye
Priya ne hi apni dono behano ko Shambhala aur samjhaya
Vahi dusri taraf jey vaha se nikala aur sidhe bar pahuch gaya
Bar se nikalte nikalte Nasha buri tarah se havi ho gaya tha
Aankhen bilkul laal ho chuki thi aur pair bhi thode thode ladkhadne lage the
Usse bhi nahi pata tha ki aage kya karna hai esliye sirf nashe hi karte ja raha tha
Aise hi din nikale
Weeks nikale
Mahine nikale
Jey ne puri jaan laga di unhe dondne me
Aur sath me puri jaan laga di khud ki jaan nashe se lene ki
Vo bas do hi kaam karta tha
Apni behano ko dondna
Nashe karna
Etne waqt me vo ek baar bhi Priya aur uski behano se nahi mila
Usse bas apni real sisters dundni thi
Aur fir Saal beet gaye
Par kahte hai na ki ek na ek din kamyabi mil hi jati hai
Jey ki ummid chhodne se pehle hi usse bhi kamyabi mil hi gaye
Usse bhi apni behano ki bahoo me samane ka mokka mil gaya
Usse bhi apni gudia ke nakhre uthane ka mokka mil gaya
Aur kae sallo baad jey asliyat me muskuraya tha
Sirf muskuraya hi nahi balki hasa bhi tha
Apni pyaari chhoti behan ko dekh kar to jey ke Ashok hi Bilal aaye the
Aur vo to jey ko chhodne ka naam hi nahi le rahi thi
Aisa lag raha tha jaise agar usne jey ko chhoda to koe usse chhin lega
Jey bas muskurata hua unke masum chehra dekhe ja raha tha
Aisa lag raha tha unhe bahut kuch kahna hai
Unhe bahut kuch puchna hai
Lekin sayad family family hi hoti hai
Chahe vo koe galati hi kyu na karde
Esliye sabse pehle pucha kya
ki Priya ke sath kya hua
Jiske jawab me jey ne unhe sab bata diya
Es par unki behano ne usse khub samjhaya ki vo jey se pyaar karti hai
Aur unhe jo bhi Kiya kiya to family ke liye hi na
Aagar aapko baad me ye pata chalta ki unhe aapko choose kiya hai humare upar to kya aap unhe maaf kar dete
Mujhe to ye bhi lagta hai ki tab aap unhe jinda bhi nahi chhodte
Gudia- bhaiya di thik bol rahi hai
Unhone humara bahut khayal rakha hai
Apko unhe maaf karna padega
Aur hum sab sath pyaar muhobbat se rahenge
Fir bahut mahnat aur request karne ke baad jey unse milne ko razzi ho gaya
Aur ho bhi kyu na
Pyaar to vo bhi utna hi karta tha unse
Aur in the end sab
Ek hi chhat par pyaar muhobaat se rahne lag gaye
………….THE END………

