Update-20
Jey- Maine sabko maar diya
Sabko maar diya
Etne dardnaak maut di Hai ki unki ruh bhi tadpegi
Unki ruh bhu tadpegi
Unki ruhhhhh
Aur ye bolte bolte khoon se lathpat hey ruchi ki bahoo me gir gaya Aur girte hi behosh hogaya
Vo pehle se hi puri Tarah thin nahi Hua Tha Aur ab uski halaat Aur bhi Kharab ho Gaye thi
Ruchi ne jab jey ki aisi halaat delhi to uske to much samjh me hi nahi Aya ki vo kare kya
Fir bechari bahut muskil se usse kaise bhi karke room me leke gae aur bed par Lita Kar sabse pehle to uska khoon saaf karne lagi aur fir first aid kiya
Jhakam bahut Jada the par doctor ke pass lejane ka risk nahi le sakti thi esliye jitna usse ho raha Tha utna Kar rahi thi
Hey bas behooshi ki halaat me pada Hua tha jaise ab uthna chahta hi na ho
Par ruchi puri lagi hue thi usse thik karne me
Chalo jab tak jey ko hos aaye tab tak ye dekh lete Hai ki Hua kya tha
To jab jey ruchi ke pass se nikala tab usse ye to Pata tha ki kis kis se badla Lena Hai Par uske pass koe plan nahi tha aur na Jada hathiyaar the
Hathiyaar ka to fir bhi vo kuch Kar sakta tha Par main problem thi plan ki
Kyuki Jin logo se vo bhidne Jane Wala tha vo bahut powerful the
Aur jey ko ye baat bahut ache se Pata tha
Pata bhi kyu na ho jey ko banaya bhi to unhone hi tha
To sabse pehle jey ne socha hathiyaar leleta Hu fir aage ka dekhunga
Hathiyaar mil bhi Gaye badi aasani se afterall raaj hi Kiya Tha jey ne vaha par etne saalo se
Uske baad Bari thi plan banane ki
Jey ne socha ek ek karke agar jaega sabke piche to bahut time lag jaega aur baki log satark bhi ho jaenge esliye sabse pehle unhe ek jagah par ekkatha karna bahut jaruri tha
Eska sabse easy aur fast tarika jey ke pass ek hi tha
Khud ko Chara Bana Kar sabko ek jagah bulaya jaye
Yehi soch Kar jey apne sabse purane aade par chala gaya jaha se usne en sabki suruvaat ki thi
Aur raste se unlogo ka ek bahut khaas aadmi bhi pakad Liya aur usse bhi apne sath leke chala gaya
Jey ka adda tha to vo Uske bare me sabkuch janta tha
Yehi ek reason tha ki jey ne ye jagah choose ki thi
Vaha pahuch Kar pehle to Har ek jagah ko dobara check Kiya aur plan banaya ki kis jagah ka kaise use karna Hai Uske baad vaha vaha plan ke mutabit sari chhije rakh di
Fir Bari thi plan ke sabse important part ki sab logo ko ek jagah bulane ki
Essi ke liye jey ne us aadmi ko pakda tha aur bandook ki nauk par usse call karva Kar ye kahlva diya ki jey vaha chhipa Hua Hai aur akela hai
Sath sath ye bhi bulava diya ki vo injured hai aur Uske pass koe hathiyaar ya backup bhi nahi hai
Etna to kafi tha jey ke dusmano ke liye
Vo sab ye sunte hi paglo ki Tarah bhagte hue apni maut ki taraf aane lage
Vo bechare sikar karne aa Rahe the par unhe kya Pata tha ki unka hi sikaar hona hai aaj
Par jab maut bulati hai to koe Kar bhi kya sakta hai
Aisa hi abhi hua
Much hi Der me sab log vaha pahuch chuke the
Jey ne Kitna expect Kiya tha usse kahi Jada log the
Par aaj jey kuch aur hi soch Kar aaya tha
Ya to maro ya maaro
Vo log jaise hi under gusse vo aadmi jisko jey ne pakda tha khoon se buri Tarah Sana Hua vahi pada Hua tha
Uski saase to chal rahi thi Par vo ab sayad jeena nahi chahta tha
Jo Dard usse ho raha tha usse acha to marna hi hai
Samne us admi ko pada dekh kisi ko kuch samjh me nahi aaya aur dheere dheere chal Kar sab uske pass Jane lage tabhi
BOOOOOOMMMMMM
EK Tagda dhamaka Hua aur sab Hawa me udte hue Edgar udhar Jake pade
Ye hue EK second bhi nahi Hua tha ki goliyon ki bochar suru ho gaye
Unhe bachne ke liye EK second ka bhi waqt nahi mila aur sab ek ke baad ek marte chale gaye
Jo kismat se Bach gaye the vo ab tayar ho gaye unki taraf se hamla karne ka
Par tabhi light off hogaye aur bas andhera rah gaya
Jey trained tha andhera me fight karne me
Par baki to nahi the na
Dham Dham karke bache hue bhi girne lage
Andhere ki vajah se vo log Jada kuch Kar bhi to nahi sakte the
Esliye ek ne aandhadun firing suru kardi
Vo jab tak fire karta raha jab tak Uski goliya na khatam ho gaye aur uske agle hi second uska galla Kat gaya
Aur fir jhatke se light bhi on ho gaye
Kyuki ab sirf do log hi bache the
Jey aur uska guru
Dono bikul aamne samne khade the aur ek dusre ko bas dekhe ja Rahe the
Guru jey ki halaat dekh kar
You still want to do this
I mean now
Agar tum chaho to main wait kar sakta Hu tumhre thik hone ka
Jey ke do goliya lagi hue thi jo kuch Der pehle hi lagi aur uski halaat kafi Kharab thi
Jey- naa
Aaj hum me se sirf ek hi jinda jaega
You wanted to kill right?
You will not get a better opportunity than this
Jey ne gun fek di aur chaku nikal liya
Jey- as you teached me
Let’s begin with fun
Dono Tayar the ek dusre ka khoon bahane ke liye
Aur agle hi second ek dusre par jhapte
Guru ne badi aasani se ek fling kick Jey par laga di jisse vo door Jake gira
Par haste hue khada hua
Jey- Umar ka asar hogya Hai aap par
Honestly I was expecting much better than this aur Jey ne vahi se hath me pakda chaku guru par fek Kar Mara jo sidhe uske dil ke pass laga aur vo jor se chhilaya
Jey- told you
Aap bhude ho Gaye ho
Yaad Hai na aapne hi sikhaya Tha mujhe ye
Guru ne fatak se vo chaku nikal Kar vapas Jey ki taraf feka jisse Jey ne raste me hi pakad liya
Jey- but main acha student hu
Mujhe abhi bhi sab Yaad hai
Fir laat ghuso ki barsaat hue
Ek Jey ki taraf se to dusra guru ki taraf se
Dono es time buri taraf injured ho chuke the par rukne ka naam nahi le Rahe the
Jey ne jaise hi agla punch Marne ke liye hath uthaya guru ne apni puri jaan se usse rok liya aur
Kaaaadaaakkkk ki aawaz aae aur Jey ke hath ko tod diya
Ahhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
Bhari chhikh gunj Gaye Jey ki
Guru- tu Mera sabse talented student raha hai par tu ek baat humesha bhul jata hai
Guru humesha guru hi rahta hai
Aur ek khatarnaak laat Jey ke muh par Mari jisse vo khoon fekta hua door Jake gira
Guru- Maine tujhe sab much diya
Ek rote toote bache ko jeene ka maksaad diya
Apni kamjori ko takaat banana sikhaya
Logo ke Karan rone ko bhula Kar logo ko rona sikhaya aur tu mujh par hi palat gaya
Tera ego tujhe le dubega
Yaad hai na kaha Tha ye Maine tujhe ek din
Ha
Tadaaaakkk
Ek aur laat Jey par jhad di
Ab to Jey uthne ki halaat me nahi tha
Guru- uth jey
Mujhe disappoint Kar raha hai tu
Kya yehi sikhaya hai Maine tujhe
Tujhe to Dard nahi hota tha na
Tu to bahut powerful samjhta tha na
Ab Kya hua
Ek Ladki ne tujhe insaan Bana diya kya
Par you know what
Hum jaiso ki Sach me love story nahi hoti
Dekhna ek din vohi tujhe dhoka de Devi aur tu fir se vohi Chhotu sa kamjor toota hua bacha ban jaega
Guru- Ab uth bhi ja Kitna wait karaega
Tujhe marna bhi hai
Sehar ke samne Tera katta hua Sar bhi leke Jana hai
Unhe bhi to Pata chale guru ko dhoka Dene ka anjaam
Jey badi muskie se uthata hua
Jey- Maine dhoka nahi diya
Dhoka diya tumne
Pith piche waar Kiya tumne
Mujhe Marne ki kosis ki tumne
Mera accident karaya tumne
Ahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
Guru ki aawaz gunj gaye
Jey jaha par gira tha usi par ussi uska chaku mil gaya jisse usne puri takaat se guru ke sine me gussa diya
Jey- main best tha
Main best hu
Aur main best rahunga
Main es Sehar ka raja tha
Main es Sehar ka raja hu
Aur main es Sehar ka raja rahunga
Main hu sarv saktisaafi eklauta bhagwan
Chak Chak Chak Chak chak
Karke Jey ne Pata nahi kitni baar vo chaku guru ke sarir ke aar Paar kiya
Guru vahi Jamin par gir gaya aur
MAINE TUMHRA ACCIDENT NAHI KARAYA
Bolte hue vahi Mar gaya…….

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.