Update 24
Thodi der baad ashwini bhi kitchen me aagayi….. usne vishakha ko kitchen me dekhkar smile kiya..
.
Ashwini – vishu tu ja ma ji ke sath hall me baith me karti hu yaha ka kam…
.
Vishakha bas smile karke chali gayi… Usne dekha hall me neha aur ranjana baithi thi.. ranjana phone par baat kar rahi thi aur kuch pareshan si lag rahi thi.. vishakha ne neha se ishare me pucha lekin neha ne bas itna bataya ki papa ka phone he…. Vishakha neha ke bagal me aakar baith gayi aur dono ranjana ki taraf hi dekh rahi thi… Ranjana ne phone rakha lekin uske chahre par abhi bhi kuch tention tha ..
.
Vishakha – kya hua maa?? Kuch problem he..
.
Ranjana – tere papa ka phone tha .. bol rahe the ki parso subeh ki train se delhi aajao.
.
Neha – delhi? Kyu? Achanak
.
Ranjana ne kuch kaha nahi lekin wo Bas pareshan thi..
.
Vishakha – to jaaiye ma , shayad unko aapki jarurat ho..
.
Ranjana abhi bhi chup thi..
.
Vishakha – maa kya hua? Itna kya soch rahi ho aap?
.
Ranjana – yaha aap sab ko akela chorhkar me chali jau..
.
Shivam – are maa , me hu na… Kaha jana he aapko vaise?
.
(hall me aate hi shivam ne pucha … Kitchen se ashwini bhabhi bhi aagyi)
.
Neha – papa ne delhi bulaya he ma ko
.
Shivam – Ha to jaiye aap .yaha ki chinta mat karo maa me hu yaha…kyu he na didi
.
Vishakha ne bas smile kiya..
.
Ashwini – ha ma ji .. aur vaise bhi bahot din aap kahi gayi bhi nahi he … To aapko jana chahiye .. thoda fresh lagega aapko….
.
Shivam – kab jana he aapko ma ?
.
Ranjana – parso subeh ki train se ..
.
Shivam – parso ? Parso to hume apki dost lata aunty ke pas jana tha na..
.
Ranjana – ab nahi ja sakti milne …
.
Shivam – to kal chalte he na
.
Vishakha – kal ma ko packing karni hogi…. Ma aap aisa kyu nahi karti aunty ko kal dinner par hi bula lo ..
.
Ashwini – ha ye thik rahega.. apko bhi tayari karne time mil jayega aur apke unse mulakat bhi ho jayegi..
.
Ranjana – thik he me phone karke bata deti hu usko…
(Itna kehkar ranjana apne room me chali gayi… )
.
Neha – shayad maa delhi jana nahi chahti..
.
Vishakha – mujhe bhi aise lag raha he.. lekin papa ko unki jarurat hogi nahi to papa aise achanak se nahi bulate..
.
Shivam – are ma ko hum sab ki chinta he isliye wo soch rahi he .. lekin koi na … Me hu na sab sambhal lunga..
.
Neha – haa bahot bade ho na aap.
.
Shivam – tere se to hu ..chudail…
.
Neha – chudail?? Apne mujhe chudail kaha
.
Shivam – to chudail ko aur kya kehte he..
.
Neha – to aap bhi koi draculaa se kam nahi ho
.
Vishakha – bas isliye maa nahi jana chahti delhi..
(vishakha shivam aur neha ko jhagadte dekh boli aur ashwini hasne lagi.. neha gussa hokar apne room me chali gayi…aur shivam bhi apne room me chala gaya…)

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.