Faraar – Update 19 | Thriller Story

Xossip
Reading Mode
Update 19

Bungalow ke ek dusre kamre mein bed par din ke 10 baje Vicky ki enkhen khuli. Vicky ne socha tha ke raat ko so nahin paega uss aadmi ko maar daalne ke baad, soch raha tha nightmares hoga, bure sapne aeinge magar sab ulta huwa sote waqt. Sapne mein Sanjana aayi ek bahot khub surat safed libaas mein jiss mein halke pink colour ke jadiyan lage huwe the, woh ek pari ki tarah dikh rahi thi aur Vicky ko pyar kiya jeise kiya karti thi, apne bhai ko gale lagakar uss ke sar ko thapthapaya aur khub hanss rahi thi. Bahot khush dikh rahi thi.

Vicky ko bahot halka mehsoos huwa uss sapne ko yaad karke aur ussko bilkool kuch nahin feel ho raha tha ke raat ko uss ne kuch bura kaam kiya ho. Koyi afsos bilkool bhi nahin feel ho raha tha ussko. Balke eisa lagta tha ke kuch kiya hi nahin hai ussne….. Yeh ussko bahot heyraan kar rahi thi kyun ke ussne to socha tha ke jeena mushkil ho jaega kissi ke jaan lene ke baad. Magar shayad upar wala hi chahta tha ke woh eisa kare kyun ke thik ussi waqt Vicky ne TV on kiya to dekha ek drama chal raha tha jahan par yeh sunaayi diya ke, “Jab bhi koyi atyachaar karega dunya mein Bhagwaan kissi na kissi ko bhejta hai uss atyachar ko rone ke liye……” Uss line ko sunkar Vicky ko laga ke shayad Bhagwaan hi chahta tha ke unn zalimon ke ant usske haathon ho issi liye ussko kuch bhi feel nahin ho raha tha jeise sab kuch bilkool normal ho raha ho…..

Fresh hone ke baad Vicky ne phir se charon taraf check kiya ke kahin kuch nishaan vaghaira na mile… gadi ko bhi dobara garage mein check karne ko gaya. Sab thik tha iss liye dil ko ziada tasssali huwi.

Ussne Mathur sahab ko phir se phone karke 5 lakh rupay aur mangwaye aur kuch zaroori samaan bhi. Aur iss waqt bungle ka address diya aur direct bungle mein ane ko kaha Mathur sahab ko. Maagar andar ane se pehle wohi sign rakha gaya ke agar koyi khatra hoga to Mathur sahab bungle mein daakhil hone se pehle apna chasma nikal kar saaf karega.

Mathur sahab aya to Vicky ne sab haal sunaya unnko aur Mathur sahab ne kaha ke wohi news chal rahi hai har channel par aur khud Khan investigate kar raha hai ke kiss ne goli maari uss shaksh ko!

Yeh sunkar Vicky muskuraya aur phir kaha,

“Bechara uss Khan ko main dukh de raha hoon aakhir mein usska madad karna hoga….. Rathod ne mujhko bahot kuch bataya Khan ke bare mein ke ACP keise usska dushman hai aur usski raah ka kanta bana huwa hai….”

Mathur sahab ne kaha,

“Kia Rathod se baat huwi?”

“Han huwi magar kum, phir se baat karna hoga usske saath, main ne ussko bola hai ke phir kabhi phone karunga.”

Tab Mathur sahab ne kaha,

“Khan ke aadmiyon ne office ke telephone ko tap karna shuru kar diya hai. Woh ACP bhi saath mein aya tha aur har incoming & outgoing calls ko record kiya jaa raha hai, direct link police control room mein hai, kissi bhi haal mein office phone mat karna beta. Unn sabko shak hai ke tum hum mein se kissi ko contact karoge…”

Vicky bilkool araam se kaha,

“Mujhe koyi fikar nahin weh log kia kar rahe hein bus aap itna koshish kijiyega ke kabhi mujhse milne ao to koyi aap ka peecha na kare nahin to bahot mushkil ho jaega mere liya…..”

Din mein Vicky ne Rita ko contact karke kaha,

“Agar police wale tumse pooche ke kia kal raat ya kissi din tum uss aadmi se mile the to kehna ussko nahin pehchaante aur kabhi nahin dekha ussko, samajh gayi?”

Rita ne kaha han sab thik hai aur samajah gayi kia bolna hoga agar police ne uss se sawaal kiya to.

Phir Din mein hi Vicky gaya address ke motabik unn charon ke ghar ki talaash mein. Ussko koyi jaldi nahin tha. Bilkool araam se ek ek karke sab ka pata lagayega. 5 ghanton ke darmiyaan Vicky ne charon ke bare mein sab kuch pata kar liye. Har kissi ke ghar aur parivaar ke bare mein pata laga liya kaun kahan kaam karta hai kitne baje ghar wapas ata hai aur kab ghar se nikalta hai raat ko sab kuch bilkool pata kar lkiya. Unn mein se 3 ussi sheher ke the sirf ek dusre sheher ka tha. Unn charon mein se jo leader tha uss ke bare mein Vicky ne uss marne wale pehle aadmi se jaankaari haasil nahin kiya ke unn charon mein se leader wala kiss ka naam hai….. uss leader ke liye Vicky ka kuch aur plan tha…. Phir Vicky ne plan kar liya ke agle shikaar se leader ke bare mein pata laga lega aaj hi raat ko agar haath aya to.

Phir Vicky ne Rita ko call karke bulaya milne ke liye. Unn charon mein se Vicky ne ek ko nishana banaaya aur Rita ko usske ghar ke saamne lagaya bilkool ussi tarah lift mangne ke liye aur Vicky door se dekh raha tha. Magar iss ke paas car nahin tha, yeh to paidal nikla ghar se….. Vicky ne iss bare mein to pooch taaj kiya hi nahin….

Ab uss aadmi ko paidal dekh kar Rita ghabra gayi ke ab kia Karen aur mudhkar Vicky ke taraf dekha aur Vicky samajh gaya ke Rita confused ho gayi to turant Vicky ne ussko phone kiya,

– Sunon Rita, tum mujhse phone par baat karte huwe uss ke peeche peeche chalo, kareeb, aur ziada kareeb, han…..mujhko koyi jawaab mat dena bus sunte jana mujhko aur ussko dekhte jao, har baar ussko dekho, usske aage jao, thik hai, mudhkar muskurate huwe ussko dekho….. thoda chanchal ada mein apne baal ko peeth se aage karo, phir mudhkar usske chehre mein dekho…..muskurao uss se…. kia woh hanssa tumse…… thik hai bus weise hi karti jao… rijhao ussko…aur rijhao… apne honton ko danton se dabao ussko dekhte huwe…apne blouse ki upar wale button khol do ussko ghurrne do…aur jab woh baat kare tum se to try karo ke aaj raat ko 10 baje bulao tumse milne ko, iss se bhi bilkool wohi kehna ke tumhara pati raat ko kaam par jaega tab usss se mil sakti ho…. Kehna apne ghar mein uss se milogi, kehna ke woh bungla tumhara ghar hai……..”

Rita sab samajh gayi aur sach mein uss kutte ne Rita se khud baat karne mein pehel kiya. Aur fanssa!! Rita ne ussko coffee ke liye usssi waqt invite kiya kareeb mein jahan par walk kar rahe the aur coffee ke dauraan hi raat ke mulakaat ke liye decide ho gaya.

Iss baar raat ko 10 baje Rita aur Vicky donon ussi kamre mein wait kar rahe the ke woh aadmi aakar door bell bajae! Plan ulta tha iss raat ko. Vicky khud ussi kamre mein tha almari ke peeche. Rita ko sab samjha diya ke bilkool ussi tarah issko bhi nanga karke baahar nikal kar chali jana… Rita ne wohi kiya aur jeise Rita ne darwaza band kiya kamre se nikalte huwe Vicky almaari ke peeche se nikla aur ek goli mari uss pagle ke ghutne par….. woh apne ghutne par apne haath rakh kar chillane laga aur Vicky ne music system on karte huwe kaha ,

“Agar chillaya to aur ek goli marunga dusre ghutne par, gaand band kar apna aur chup chaap baith yahan! Iss waqt main maalik hoon tu ghulam jo bhi main kahun woh tummko karna hai aur koyi chara nahin tere paas…..”

Phir Vicky ne taxi wale ko phone kar kaha ke ladki bungle ke baahar hai uss ko chorr diya jaye………

To be continued immediately in next post………………..

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply