Tarun wahi hakbaka khada rahta hai tina ki nazar bhi tannu
pr pad jati hai. wo dar ke maare khadi ho jati hai. tannu un
dono ko gusse se dekh rahi hai.. tarun or tina dono ke
chehre pr dar saf dikhai de raha hai.. lekin ab tannu ke
chaher pr gusse ke sath sath dard bhi dikhayi dene lagta
hai.. tannu ki aakho me 2 aasu aane lage tannu apne dard
ko chupane ki kosis me waha se chali jati hai.. ab tarun or
tina ko bhi bahut bura lag raha hai…
Tina- “ bhai humne tannu di ke sath achcha nahi kiya..
hume pahle unse baat karni cahiye thi. “
Tarun bhi huh m sar hilata hai.. or tina ke sar pr hath pherta
hai..
Tarun- “ tu jaldi ready ho ja… collage jana hai na “
Itna bol kr tarun apna muh latkaye hue waha se apne room
ki or chala jata hai.. usse ab samgh me nahi aa raha hai ki
wo tannu ko kya bolega… wo kaise tannu ko samghayega..
pahle bhi tarun ne ak galti ki thi.. lekin abhi to tarun ne jo
kiya hai.. taurn usse galti nahi manta.. usse apna payar
manta hai..
Tarun ko khud pr bhi yakin nahi ho raha hi ki … uske dil me
2 ladkiyo ke liye itna jayada payar kaise ho sakta hai. kya
koi do ladkiyo se sachcha payar kr skta hai. lekin abhi usse
iss baat pr focks krna hai ki tannu ko kaise manaye… ye
sochte hue. Tarun apni chai khatm karta hai or bathroom ki
or chal deta hai.. kuch der me ready ho kr tarun bahar aata
hai.. or niche chal deta hai.. sabhi dinning table pr nasta kr
rahe hai.. waha Taniya tina tiya or tannu or mayak baithe
ha.. kamini sab ko brkfast serv kr rahi hai.. tarun bhi wahi
aa kr baith jata hai..
Mayak – “ tarun beta kaise ho..?? “
Tarun- “ achcha hu dad “
Tarun bhi brkfast krne lagta hai.
Mayak – “ kamini mughe kuch dino ke liye japan jana hai..
ak bussines deal ke liye tab tak tum office dekh lena.. “
Tarun- “ dad mai bhi abhi office join kr leta hu. “
Kamini- “ kyo bahut jaldi hai kya office jane ki… jab tak mai
hu na office ki tensin mat lo..”
Mayak- “ ha beta tum kuch week arram karo uske baad
office join kr lena.. “
Taniya- “ dad ise kaha bol rahe ho. Ye bander duba dega..
sara bussnes “
Tarun- “ ( gusse me) “ oye chipkali tughe to bahut
knowledge hai na bussnes ki “
Taniya- “ maine kab bola ki mai office jaungi. “
Mayak – “ are tarun dhire dhire sikh jayega.. “
Taniya- “ ye or office.. bander kya jane adark ka sawad “
Tarun gusse me abhi kuch bolne hi wala hai ki
Mayak – “ chup raho tum dono.. itne bade ho gaye lekin
kutte billi ki tarha ladte rahte ho “
Itna sun kr dono apna sar jhuka lete hai or khana khana
start kr deta hai.
Kamini- “ mayak tum kab jaoge japan “
Mayak- “ aaj hi 12 baje or kal night tak aa jaunga.. “
Itna bol kr mayak or tiya waha se nikal jate hai. Taniya bhi
waha se uth jati hai,,, tarun abhi bhi wahi baitha hai.. tina
bhi waha se uth kr nikal jati hai.. Taniya piche se ak pani ka
gilas leti hai or chup chap tarun ke piche aati hai or sara
pani tarun ke upper dal deti hai. taurn hadbada jata hai.
Taniya- “ aage se kabhi mughse panga mat lena “
Itna kahte hue Taniya waha se bhag jati.. tarun piche
bhagta hai.. lekin ab Taniya main gate se bahar ja chuki
hai.. tarun bhi gate pr khada man hi man Taniya ko bura
bhala kahata raha hai….
Kuch der me tarun waps aata hai.. or apne room ki or chal
deta hai.. apne room me pahuch kr usse yaad aata hai ki

