khar tu hum dono iysi hi pyar bhari baatay kurtay huway Lahor pohuch gay
Main Hira pucho kay kaha jana hay may nay jan bujh kay Surwat aapi ko mukhatib nahi keya tha or may nay kun aakhyo say dekha tha us nay bari yaas bhari aankho say mujh ko dekh kay jasay negahay jhuka li thi
Hira ha tut um ko kaha jana hay or jaha tum ko hum choray waha say ketni daer may tum ko pick kuray
Surwat aap mujh ko mari sahali Shanila kay gher jana hay waha chordayna or sath he Modeltown ka pata butaya may nay gari ModelTown ke turaf dall di thi or kuch he daer may hum mutluba patay pay pohuch gai
Surwat Aapi aap aak mint ruko may dekh lun wo gher pay hay kay nahi bus do mint may bilkul lataluk sa betha aasman ko dekh raha tha
Hira Phupho acha theek hay dekh lo
Surwat nay gate pay lagi ghunti bajai or jawab may un ke sahali hi baher aai dono nay kuch baatay ke or pher wo lurki Hira kay pass aai or baray adab say boli
Shanila Hira anti aap pahli dufa maray gher pay aai hay aunder tu aai kuch chai hu jai pher jasay aap ke murzi lakin yea maray or maray ghur walo kay leya bohut izat ke baat hu gi wo bari lujajut say boli may kuch haran tha us lurki kay rawaya pay kun kay jub us say collage kay bahir mulaqat huwi thi tu us kay undaz belkul hi mukhtalif thay may nahi cahta tha kay hum ander jai lakin jub Hira nay us ke dawat qabool kur li tu may bhi majburan un kay sath under aagaya kafi bura gher tha hum ko lawn may he bethaya kuch daer baad Shanila kea mi waha aagai duwa salam kay baad kuch daer baath kay wo under chali gai or waha pay Shanila or us ke aak Bhabi rah gai thi Chai la kay noker nay rukhi chai daytay huway us ke Bhabi Hira say boli wasay Anti Bari umer ke aurat ya larki ko shadi kurtay huway apni umer kay murd say hi shadi kurlay nai caheya apnay say chotai lurkay say shadi bari muskiat pada kurdati hay ab dekhay na yea braber say dusra makaan hay un ke bari bati qareeb hu gi koi 30 saal ke shadi nahi huwi thi us ke us kay chuker kisi 20 saal kay lurkay say chulgaya gher walo nay shadi kur di 2 saal may aak buch lay kay aakay gher bath gai hay kesa moun kala huwa us ka or baki gher walo ka tuba tuba Shanila ke bhabhi baray nahusat bharay undaz may boli mari nazray pata nahi kun tazi say Surwat kay cahray pay gai or us kay cahray pay mujh ko kuch ajeeb say aasar nazar aai may sumjh gaya tha may nay juldi say aak bura sag hunt lay kay cup rukha or khara hugaya
Main Shanila sahiba may bohut mazrut khuwa hun lakin hum ko ab ijazat day kafi saman lena hay bazaar say pher dusray kaam hay aap kay gher ke chai bohut unda or nafees thi bohut lumbay arsay tuk yaad rahay gi anti ji aap say mil kay bohut khusi huwi ab ijazat day main nay jan bujh kay Bhabhi ko Anti kaha tha
Shanila aray bhai yea mari bhabhi hay anti nahi wo julday say boli
Main acha sorry dekhnay may tu aanti hi lugti hay any way bye hum 4 bujay tuk aajai gay ok bye have fun may nay bhi eath ka jawab puther say deya tha wo bhabi jkasay sulag kay rahgai thi mari baat tu kyat ha mari janu ko zaleel kurnay chali thi may kasay burdast kurleta Hira bhi mari baat sumjh gait hi us kay cahray pay bari jandar muskurahut phalli huwi thi or pher hun baher aagay car kay aagay burtay hi hum dono nay musturka qahqaha lugaya pher
Hira Phupho ab mujh ko abaji say baat kurni hay us nay sunjidgi say mob pay number dial kurtay huway kaha yea lurki hud say aagay bhurti ja rahi hay is ko koi huq nahi puhacta tha kay yea apni dost or us kay gher walo say mil kay humara muzak udai wo sahi kah rahi thi main khamose tha mujh ko bhi Surwat Aapi say is hud tuk ke umeed nahi thi call milnay pay Hira nay salam duwa kay baad sari baat Dadaji ko bata di pher kuch daer tuk wo dusri turaf ke baat sun kay call cur kurdi is beech hum Iqbal Town walay gher pay puhach gay thay may nay door bell bajai under kuch daer baad under say awaz aai kun hay awaz bari rasili thi
Main ji main Jahanzeeb hun main nay jawab deya
Under say kun jahanzeeb
Main gi is gher ka maalik
Under say aray wah aap kaha kay maalik aagay yea tu mari apya ka gher hay under say furan jawab aaya
Main nay or Hira nay aak dusray ko dekh kay muskura deya pher may bola ji main aap ke apya ka soher hun hunay wala
Under say ary Jahanzeeb bhai aap pahlay kahna tha or sath hi durwaza khtak say khul gaya or maray samnay jasay Robi apni teen age may khari thi main or Hira muskura rahay thay
Main acha Sali sahiba aap ke ijazat hu tu hum aunder aajay
Larki ha ha ha bhai belkul kun nahi aay na aap ka tu hi gher hay wo muskura kay boli or aak turaf hut kay rasta deya wo Hira say bari garam josi say mili hum under aagay launge may baath gay unlogo nay gher bohut bohut achay say set keya tha main nay Rubi ko call ke us nay call uthai hello hi kay baad main nay kaha
Main rubi jaan aap kay ghur may bathay hay abhi abhi aaya hun kuch repair kay kaam thay wo puray kurwanay thay
Rubi khusi say acha wo Rozina nay sataya tu nahi wo muskuratay huway boli
Main nahi wu under gai hay sayad ami ko lanay tum kub aarahi hu may nay pucha
Rubi janab may kul waha pohuch jawun gi shaam tuk wo boli
Main kysay bus say ya train say
Rubi Bus say or aak zaberdust khuskhabri kay sath aaj talaq kay paper Perwaiz nay signe kur deya hay abhi bhai sahab lenay gay hay abhi may singe karun gi pher adalut say atast hu kay aaj saam tum yea hum ko miljay gay wo khusi say boli
Main bhi khus hu gaya tha zaberdust yaar zaberdust pher tu hum aglay huftay he shadi kur suktay hay
Rubi nahi eedut lazmi guzarni hu gi pahlay
Main chalo koi nahi aajawo pher baat kuray gay tasali say miss you love see u soon or call cut kurdi kuch daer baad hi Rozina apni ami kay sath waha aagai or is baar may pher say jasay harut kay jhutkay kha gaya aanay wali ko dekh kay koi kah hi nahi sukta tha kay wo Rubi or Rozina ke maa hay wo zyada say zyada un ke bari bahan lugti thi main nay khuray hu kay un ko salam keya unhonay nay maray sir pay pyar keya or mujh ko galay say lugaya bara kasa huwa jisam tha un ke sakal Rubi or Rozina say bohut milti thi pher may nay Hira ka taruf kurwaya wo muskura uthi or boli
Rubi mom aray wah bhai waha mana paray ga damadji bivi kay mamlay may aap ke pasand bari zaberdust hay nazar na lagay bhi unho nay pyar say Hira ko senay say lugatay huway kaha
Main mom ji yea tu batai kay nulkay wagyra ka koi musla tu nahi ya gher main bijli wagyra ka koi prob hu tuwasay may khud bhi aak baar check kurna cahta hun may nay kaha
Rubi Mom ha tu beta roka kis nay hay tumhara hi tu gher hay
Main nahi mom yea Rubi ka aap logo ka gher hay kun Hira main nay kaha
Hira ji bilkul wo muskura kay boli
Rubimom beta bhai kay sath jawo or ha chai ka bhi bundo bust karo Rozina ji Ami chalay bhai wo maray qareeb aatay huway boli
Main us kay sath under keturaf chala gaya nechay 3 room thay aak bathak thi or yea living haal upper 4 baray room or aak drawing room thawith living room main nay Babajani kay batai huway kaam ko dekha tafseel say kahi aak jugha thuri sa musla tha main nay Babajani kay deya huway number pay call ke or palumber say baat ke us nay aak ghuntay baad waha aanay ka kaha pher may upper kee manzil pay chala gaya waha bhi aak do chotay chotay muslay thay chut pay ja kay tank dekha chut kafi gundi thi main nechay aagaya or aakay Hira logo kay sath baath gaya Rozina chai lay aai thi chai kay baad may nay Hira say kaha yaar tum batawo may tum ko kaha chorun abhi aak ghutay may plumber or kaam walay aanay walay hay tu mara yaha rahna lazmi hay
Hira theek hay aap mujh ko yaha moon market pay chor dai main wapsi may khud hi aajawun gi riksa May
Rubimom bati iysa karu tum Rozina ko sath lay jawo
Main theek hay chalo aap log baher aawo main nay uthtay huway kaha or baher car kay pass aagaya
Kuch daer may hi wo dono bhi baher aagai or hum bazaar keturaf chulparay bazaar may un dono ko drop kur kay may 3,4 nulkay or kuch dusra saman lay kay gher aagaya Rubik e mom nay durwaza khola or hum under aakay wahi living room may baath gai hum pulamber ka intezar kur rahay thay tv chulraha tha
Rubi mom Beta aak baat puchni hay tum say kya such such batawo gay wo kuch soctay huway boli
Main ji mom bolay zarur batawun ga main nay muskura kay kaha
Rubi mom beta aakher kya baat thi ju do bacho ke maa tum ko pasand aagai hala kay tum us say qareeb 10 saal tu chutay hu gay hi kahi iysa nah u kay kuch 2,4 saal baad tumhara us say dil bhurjai pher us ka us ke bacheyo ka kya huga
Main Mom main aap ke paray sani sumjhta hun wasay main nay Rubik o pasand keya hay or khud say apni marzi say pasand keya hay or dil may jub kisi ka pyar bus jata hay tu pher yea humaray khandan ke rewayat hay kay us ko apna bunatay zarur hay or hum jin aurto say shadi kurtay hay tu wo pher humari zindagi say humaray gher say uswaqt hi nikalti hay jub wo murr jai hum shadi kay baad apni bivi ko kabhi nahi chortay kisi keemut pay bhi nahi or main aap ke bati say pyar kurta hun apni dil o jaan say or us say shadi kur kay us ko apni ezat buna kay apnay gher may humasa kay leya abaad kurna cahta hun us ke aulad mari aulad un ko kabhi baap ke kami ya kisi kisam ka sutela pun nahi melay ga maray ghir may yea mara aap say wada hay main nay sakoon say jawab deya wasay wo mujh ko kun pasand aagai is ka tu mujh ko khud bhi nahi pata kay iysa kun huwa hala kay humari pahli mulaqat may wo burkhay may thi
Rubi mom KHUDA kuray kay tum dono humasa aabad rahu khuss rahu wasay tumharay gher walay maan lay gay is baat pay is ristay pay wo kuch tajasus say boli
Main dekhay Mom ji ager maray baroo ko is pay koi iytaraz huta tu aaj aap yaha is gher may kabhi bhi nahi bathi huti aap ka yaha huna is baat ka sabut hay kay un may say kisi ko koi iytaraz nahi hay itnay may ghanti baji main nay durwaza khola plumber tha apnay aak helper kay sath main un ko lay kay under aagaya or kaam dekhaya wo kaam may lug gay qareeb 2 ghuntay may wo kaam pura kurchukay thay main nay us say baat ke kay koi mazdoor caheya upper ke chut ke safai hay wo khud hi tayar hu gaya 500 may main nay pasay us ko deya wo apnay helper kay sath chut pay chala gaya or 10 mint may hi safai kur kay nechay aagayamain nay dekha chut saaf thi plumber kay janay kay baad main nay Hira ko call ke wo bhi qareeb sub he kharedari kur chukay thay main nay kuch socha us ko kaha kay wahi rukay main aaraha hun or Rubik e mom ko lay kay bazaar ke turaf chulpara Hira logo ko pick keya or aak achay say restaurant may aagay doper ka khana khya pher gher wapis aagay main nay chultay huway kuch pasay Rubi ke Mom ko deya hum us waqt aakaylay thay Hira upper Ruzina kay sath gai huwi thi
Rubi mom yea kya hay beta wo kuch harut say boli
Main mom yea bus nai gher hay aap ko zarurat hu gig her ka khurcha hay or kya hay
Rubi mom beta yea may nahi lay sukti damad say pysay ley kay main kisi say yea nahi suna cahti kay Rida apnay batio ke kamai khati hay ALAAH Buksay Rubi kay aba ke pansun bohut kafi hay humaray leya is gher main bhi muntaqli is wajha say main mani kay us Khabees Perwaiz ke nigah Ruzina pay thi or ab wo kisi waqt bhi Rubi ko chornay wala that u majbori may main nay yea qadam uthaya itna hi kafi hay
Main Mom kya may sirf aap kay leya aap ka damaad hi hun aap ka beta nahi hun hala kay main nay Rubi say wada keya hay kay main aap ke zimaydari aak beta ke haseyat say uthawun gat u yea aap pay koi ahsan nahi hay aap kay bata ke kamai hay jis pay her maa ka huq huta hay aap mari maa hay is ko qabool kurlay mujh ko dili sakun milay ga main nay un kay haatho ko chootay huway kaha
Un ke aankho may aansuo thay ALAAH tum ko hamasi kamyaab kuray hur juga her kaam may her zindagi kay maidan may unho nay maray maathay pay bosa deya may nay aak baar un ko apnay senay say luga kay un kay sir pay pyar keya ur pher un ke duwai lay kay hum kuch daer baad waha say chulparay thay Surwat ko call kur di thi kay hum aarahay hay wo tayar rahay us ko us kee dost kay gher say pick keya or wapis chulparay us ke dost nay bara zoor lagaya kay kisi turha say hum saam ke chai pee lay lakin hum bilkul bhi nahi rukay wapsipay rastay may Hira bolpari
Hira Phupho Betoo gher ke baat gher tuk rukti tu acha huta tum nay apnai sahaili kay zerya us kay gher walo say jo aaj mari bazati kurwanay ke kosis ke hay acha nahi keya tum nay aakher tumharay bhai nay or main nay iysa kya keya bura keya hay tumharay sath ju tum yea sub kurti pher rahi hu wo sukht lahjay main boli
Surwat Aapi main nay iysa kuch nahi keya us ke bhabi nay wo baat iysay hi kahi hu gi mujh ko is ka koi andaza nahi hay kay unho nay iysi baatay kun kee aap mari baat ka yaqeen kuray main nay iysa kuch nahi keya wo baray masoom lahjay may kaha

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.