Update 6
Raat kareeb 2 bajkar 17 minute…… Rohan Darwaje par pairon ki aahat sunkar chounk gaya.. uski ummeed ko poori tarah pankh lagey bhi na the ki kamre mein roshni chha gayi.. hulki si narajgi jatati huyi Neeru uski aankhon mein aankhein daale usko ghoor rahi thi.. houle houle chalti huyi wo uske pairon ke paas aakar uske palang par baith gayi..
“ye koun hai?” Neeru ne jhukte huye dheere se nitin ki aur ishara karte huye poochha..
“Mera dost hai.. mere bhai jaisa hai.. kyun?” Rohan ne bhi usi ke andaj mein jawab diya..
“isko kyun lekar aaye..? maine akele aane ko bola tha na..?” narajgi ab bhi Neeru ki naak par baithi thi..
“kamaal karti ho? aisi khatarnaak jagah par akele.. jaan lene ka iraada tha kya?” Rohan ne lete lete hi jawab diya…
“jaan toh main tumhari loongi hi.. ek baar samay aane do” kahkar Neeru katil ada se muskurane lagi.. uski isi ada ka toh Rohan deewana tha,” chalo theek hai.. tumhari ye baat maan leti hoon.. isko lekar aa jao.. par isko door hi khada kar dena.. mujhe tumse jaroori baatein karni hain.. jane kab se tumhare liye tadap rahi hoon.. tumhe toh ahsaas bhi nahi hoga, meri mohabbat ka..”
“tumhari yahi baat meri samajh mein nahi aa rahi.. kahti ho mujhse pyar karti ho.. par aaj tak kabhi chhoone ki ijajat nahi di.. main bhi tumhare liye pagal ho chala hoon.. pls ek baar.. ek baar mujhe tumhe chhoo kar mahsoos kar lene do.. kitni pyari ho tum.. tumhare liye main yahan tak bhi aa gaya.. ek baar mere aagosh mein aa jao na.. pls!” Rohan uske shareer se utsarjit ho rahi youvan bayar ko apne andar tak mahsoos karne ko tadap utha…
“main bhi toh utni hi tadap rahi hoon dev! tumhe kya pata, mera ek ek pal kaise beet’ta hai.. uss pal ke liye jab main aur tum ‘hum’ honge.. ye faasle kitna tadpate hain, mujhse jyada koun samjhega.. bus intzaar karo… ” Neeru ki aankhon se uske liye be-inthaa jajbaat jhalak rahe the…
“kitni baar bataaun ki main Rohan hoon.. agar tum kisi dev ke dhokhe mein mere pichhe padi ho toh maafi chahta hoon.. par fir bhi yahi kahoonga ki ab main tumhare bina rah nahi paaunga.. tumhare pyar mein jane…. tumne mujhe pagal sa kar diya hai..”
“duniya ke liye tum chahe kuchh bhi ho.. par mere liye toh mere dev hi ho.. mujhe tumhara yahi naam achchha lagta hai.. main toh yahi kahoongi..” Aankhon mein gahri pyaas aur madak ahsaas liye Neeru uski aur taktaki lagakar dekhti rahi…
“tum mujhe poori tarah pagal bana kar hi chhodogi.. mujh Rohan ko tum dev kahti ho aur apna naam Neeru bata rahi ho jabki tumhare pitaji tumhe shruti kahte hain.. main kya samjhoon aur kya nahi..” Rohan naam ke chakkar se abhi tak bhi nikal nahi paya tha..
“wahan aaoge toh sab samajh aa jayega.. ab yahan main tumhe kya bataaun?” Neeru ne bebas najron se usko dekhte huye kaha..
“Ajeeb ladki ho.. yahan mere saamne baithi ho.. uss waqt najar utha kar bhi tumne nahi dekha.. aur ab ye chhoti si baat batane ke liye mujhe wahan bula rahi ho.. itni khatarnaak aur darawani jagah maine aaj tak nahi dekhi.. pata hai.. ?” Rohan ke chehre par uss ajeebogareeb jagah ki darawani yadon ki tees chha gayi..
“kya? tum wahan gaye the? par maine tumhe 12 baje ke baad aane ko kaha tha na.. ruke kyun nahi wahan par…” Neeru adheer hote huye boli…
” kaise rukte..hum wahan gaye toh hamein wahan ek bachcha mila.. itna khoufnaak manjar tha ki meri toh jaan hi nikal gayi hoti.. aur tumhe pata bhi hai.. wahan bhoot rahte hain.. tumhare pitaji ne hi bataya tha..” Rohan ne spast kiya…
“asamay gujar chuke logon ko bhoot kahkar unka majak na banao dev.. tumhe ham… unki peedaaon ka ahsaas nahi hai.. har pal kis vedna aur dard ki bhatthi mein tapte rahna padta hai.. ye tumhe kya maloom.. tum toh aajad ho.. kahin bhi aa ja sakte ho.. par wo har tarah se ek dayre mein bandhe hain.. harpal usi dardnaak manjar ko aankhon mein liye tadapte rahte hain.. jis ghadi jindagi ne badi kroorta se unke sir se apna hath hata liya.. wo har pal isi intzaar mein rahte hain ki kab koyi rahnuma aayega aur unko wahan se, uss jahannum se mukti dilayega.. Aa jao na dev.. sirf ek baar aa jao.. main har pal tumhara intjaar karti hoon.. ek baar wahan aa jao meri jaan.. mujhe jahnnum se nikal kar jannat mein le chalo..” Neeru bolte bolte bhawuk hokar gidgidane si lagi..
“aise kyun kar rahi ho.. mujhse tumhari ye bechaini dekhi nahi jati.. par aisa kya hai jo yahan nahi bata sakti.. wahin jana kyun jaroori hai Neeru..?”
“wahan jana jaroori nahi hai dev.. par mujhe darr hai.. maine yahan bata diya toh tum wahan shayad kabhi nahi aaoge..” Mayoos Neeru ki aankhon se aansoo chhalak uthhe..
“iska matlab tumhe mere pyar par bharosa nahi hai.. iska matlab kuchh aisa jaroor hai jo tum mujhse chhipa rahi ho.. jab tum mujh par vishvas nahi karti toh main tum par kyun karoon..?” Rohan baat jaan’ne ko lalayit lag raha tha..
“tumhare andar ke Dev par mujhe poora visvas hai.. par bahar ke Rohan par nahi.. waqt jaane kitni karwatein badalta hai.. iss darmiyan jaane tum kitni baar badle hoge.. main isiliye darr rahi hoon..” Neeru apna hath badhakar uske chehre ko chhoone ko huyi par kuchh yaad aate hi turant wapas kheech liya…
“dekho Neeru ya shruti, tum jo bhi ho.. tumne apne pyar mein toh mujhe pagal kar hi diya hai.. ab asliyat mein pagal hona nahi chahta.. paheliyan mat bujhao.. par itna jaan lo ki jab tak tum mujhe sab kuchh sach sach nahi batati, main wahan wapas nahi jaaunga.. hargij nahi..” Rohan ne do took jawab diya..
“aisa kyun kah rahe ho dev.. kya main yunhi tadapti rahoongi..? tum meri baat samajhte kyun nahi ho.. aa jao na pls…” Neeru ki halat dayneey ho chali thi..
“main toh sab samajh raha hoon.. agar samajhta nahi toh yahan tak aata hi kyun.. achchha chalo.. main wada karta hoon ki agar tum abhi sab kuchh bata doge toh tum jahan kahogi, wahan aane ke liye taiyaar hoon..”
kuchh der sochte rahne ke baad Neeru boli,” ye Rohan ka wada hai ya fir Dev ka..”
Rohan jhalla utha..,” kya hai yaar.. dev.. rohan.. dono ka wada raha.. Dev ka bhi.. aur Rohan ka bhi.. ab toh bata do…”
“soch lo.. dev ke wade sooli par jakar bhi nahi toot’te..” Neeru ko kuchh ummeed si bandhi..
“humm.. soch liya… wada raha.. Dev ka!” Rohan ne kahte huye apna hath badhaya par Neeru ki taraf se koyi pratikriya na mili….
Neeru ne lambi saans chhodte huye chhat ki aur dekha.. aur achanak hi bolna shuru kar diya..,” Wo bachcha.. jiski tum baat kar rahe ho.. mera chhota bhai hai..
“kyaaaa?” Rohan Neeru ki iss baat ko pacha nahi paya aur neend mein hi andar tak kaanp gaya.. hadbada kar lagbhag cheekhte huye wah uth baitha.. cheekh ke sath hi Nitin ek pal mein hi uth kar palang se khada ho gaya..,” kya hua?”
“ye.. ye light kyun band kar di.. Neeru kahan gayi..” Rohan ka sir chakra raha tha.. band aankhon mein jahan usko ujala hi ujala dikh raha tha.. aankhein kholte hi.. andhere ke siva usko kuchh najar na aaya.. wahan toh pahle se hi andhera tha.. ujaala toh sapne mein Neeru sath lekar aayi thi…
To be continued…

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.