Update 32
” kahan hai tu yaar? kal subah se tera phone try kar raha hoon.. phone off kyun kar rakha hai?” Nitn ke paas jaise hi Subah uthte hi Rohan ne Ravi ke no. se fone kiya toh wah khushi se jhoom utha…
“Wo.. fone kho gaya hai bhai.. maine aapko bataya toh tha ki main Ravi ke sath batala ja raha hoon.. wahin hoon main abhi…” Rohan ne jawab diya…
“haan.. bataya tha.. par Ravi ka no. mere paas kahan hai.. ghar bhi gaya tha.. wahan se bhi nahi mila.. tu pahle bhi toh fone kar sakta tha.. pata hai kitna pareshan hoon main tere liye..” Nitin ne dheeli aawaj mein Rohan ke liye fikarmand hone ka natak kiya…
“pata hai bhai! par yahan aane ke baad samay hi nahi mila.. abhi subah uthte hi sabse pahle aapko fone kiya hai… pata hai…” Rohan chahakti huyi aawaj mein bolne laga tha ki Nitin ne usko tok diya..,” Sun.. Wo maine shruti se sab ugalwa liya hai.. darasal tere sapne ke pichhe aur koyi nahi.. wahi hai.. main uss tantrik se bhi mil aaya hoon, jisne uski madad ki…. tu apna waham chhod aur wapas aaja..!”
Nitin ki baat ne rohan ko jhatka sa diya.. wah boukhlata hua sa bola,” par… ye kaise ho sakta hai…?”
Nitin ne ek baar fir usko beech mein hi rok diya,” ho sakta hai nahi yaar.. yahi hua hai.. tu wapas aayega toh main tujhe sab samjha doonga… par yaar uski niyat galat nahi hai.. wo tujhse be-intaha pyar karti hai.. sach mein… tujh par jaan deti hai wo.. kal jab bol rahi toh bilakh bilakh kar ro rahi thi.. tumhare liye… ab tu jaldi wapas aakar uss’se mil le.. fir main ghar walon se baat kar loonga.. aa raha hai na..”
“par bhai.. mujhe yahan Neeru mil gayi hai.. aur jaisa mujhe sapna aaya tha.. theek usi jagah.. !” Rohan ki iss baat ne Nitin ke plan par jaise ghadon pani daal diya..,” ye kaise ho sakta hai?” wah aascharya chakit toh hua hi tha….
“haan.. bhai.. bilkul usi jagah uska ghar hai.. ek baat aur bataoon.. mujhe sapne mein bhi aksar yahi ghar dikhayi deta tha.. ek dum ditto.. mujhe toh pasina aa gaya tha wo ghar dekha jab kal…!” Rohan ne apni baat poori ki…
“dikhne mein kaisi hai?” Nitin man masos kar bola…
“maine dekha nahi hai bhai.. par sab pata kar liya hai.. Uska naam Neeru hi hai.. par sab yahan usko Sheenu kahte hain.. bahut shareef ladki hai.. kabhi ghar se bahar nahi nikalti bewajah.. aur kahte hain ki bahut sunder bhi hai…” Kahte huye Rohan ki aankhein chamakne lagi….
“Dekh.. tu mujhe bhai kahta hai.. isiliye bade bhai ke naate samjha raha hoon.. abhi ke abhi wapas aa ja.. warna kisi bade pange mein fans jayega… Shruti kam sundar hai yaar? aur main dawa kar sakta hoon ki teri Neeru uss’se sunder nahi ho sakti.. tujhe itna pyar karti hai ki kya bataaon… aur uski Sharafat toh tu dekh hi chuka hai.. uska kusoor sirf itna hi hai ki wo tujhse paaglon ki tarah pyar karti hai.. bus kahne se sharma rahi thi…..” Nitin apni baat ke paksh mein tark deta hi ja raha tha ki Rohan ne usko tok diya…,” par bhai.. usne toh mujhe pahle kabhi dekha bhi nahi tha.. fir wo mujhse pyar kab karne lagi.. aur maan lo mujhe kahin dekha bhi hoga toh bina jane mere liye tantrik wantrik ke paas kyun jayegi.. bata..!”
Nitin ne inn baaton ka koyi jawab taiyaar nahi kiya tha.. uske man mein toh yahi tha ki Rohan ko koyi neeru milne wali nahi hai.. aur jaise hi usko wah batayega ki shruti hi wo sab kar rahi thi.. wah uss par visvas karke douda chala aayega wapas..
“tu aayega tabhi toh bataaunga na.. yahan fone par kaise samajhaoon.. bahut lamba maa’mla hai.. chal raha hai na aaj hi…?”
Rohan ki samajh mein kuchh nahi aa raha tha,” main.. main tohdi der baad fone karta hoon bhai..”
“jaisi teri marji.. par main intjaar karoonga tere fone ka…” Nitin ne fone kata aur gusse aur hatasha mein bed par patak diya..,” usko aaj fir Shruti se milne jana tha…
“kya hua bhai!” Rohan ke chehre par asamanjhas ke bhav dekhkar Ravi ne uss’se poochha…
“kya bataaun yaar.. kuchh samajh mein hi nahi aa raha” aur Rohan ne usko Nitin ke sath huyi poori baat ka sar suna diya….
“Ek baat boloon?” Ravi sanjeeda hokar bola….
“haan.. bolo na!” Rohan uski aur dekhne laga…
“dekh.. dil se bada kuchh nahi hota.. tu apne dil ki baat sun.. aur khud decide kar.. Nitin bhai ki baat maan bhi lein toh fir bhi ek sawaal ka jawaab toh nahi milta na!” Ravi ne kaha…
“wo kya?” Rohan ne gour se uski taraf dekha…
“wo ye ki agar maan bhi lein ki Shruti tumhare pyar mein ye sab totke karwa rahi thi.. toh wo apna naam Neeru kyun batati.. shruti na batati.. aur batala ka address kyun deti.. bol.. sochne ki baat hai ki nahi.. aur yahin batala mein hamein Neeru mil bhi gayi hai.. aur uska ghar.. sabse badi baat toh uska ghar milna hai.. jiske baare mein tune kal aakar batay tha ki tujhe sapne mein wahi ghar dikhayi deta tha.. isiliye tujhe darr kar pasina aa gaya…” Ravi ne baat poori karke kaha,” ab bol.. kya kahta hai tera dil…?”
“Apna fone off kar de!” kahkar Rohan muskurane laga…,” tujhmein itni akal aayi kahan se yaar.. maine toh ye sab socha hi nahi.. fone off kar de.. abhi hamein wahin chalna hai.. naha dho le…!”
“kahan chalna hai?” Ravi ne poochha…
“wahin yaar.. meri sasural.. teri bhabhi ko dekhkar aayenge aaj.. chahe poora din wahin beet jaye…” Rohan hansne laga.. uske chehre ki khoyi huyi rounak lout aayi thi…

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.