Update 30
“Kya Poochh raha tha wo..?” Sana ne Salma ke fone kaat’te hi poochha…
” kisi ladki ke baare mein poochh raha tha Aman?”
salma ne bataya..
“Kis ladki ke baare mein…?” Sana ne uski aur karwat badal li….
“wo!.. pata nahi.. yaad nahi aa raha.. par apne liye nahi poochh raha tha.. kisi aur ne puchhwaya hoga.. par apni colony mein toh koyi Neeru… haan.. Neeru naam ki ladki poochh raha tha… apne yahan nahi hai na koyi…?” Salma ko bolte bolte naam yaad aa gaya…
“arey.. wo Sheenu.. jo kone wale bade se ghar mein rahti hai.. usi ka toh naam hai Neeru..!” Sana kahte kahte baith gayi…
“achchha! … par tujhe kaise pata? usko yoh sab Sheenu hi kahte hain… wo toh bahut pyari hai yaar.. kiski kismat jaag gayi? … na! .. mujhe nahi lagta ye baat hogi.. wo toh ghar se hi bahut kam nikalti hai.. aur ladkon ki aur toh dekhti tak nahi.. wo Neeru nahi hogi.. ya fir koyi dusri hi baat hogi.. iss chakkar mein toh katayi nahi poochha hoga aman … pakka Neeru hi hai na wo?” Salma ne bolte bolte fone nikal liya….
“arey haan… pakka pata hai mujhe.. apni colony mein toh bus wahi ek Neeru hai..” Sana ne jor dekar kaha….
“theek hai.. ek minute.. main Aman ko bata doon..” kahkar Salma ne aman ka no. dial kar diya…..
Aman ne fone uthakar dekha aur wapas rakh diya….
“kya hua? kiski call hai?” Shekhar ne Aman ko call receive na karte dekh poochha…
“wahi yaar.. Salma.. ye ladkiyan paka deti hain fone kar kar ke.. nahi? kayi baar toh raat ke 2-2 baje fone karke poochhengi,” kya kar rahe ho janu? ha ha ha…” Aman hanste hanste Rohan ka gamgeen sa chehra dekh kar chup ho gaya,” toh kya ho gaya yaar…? ho jata hai.. tu itna senti kyun ho raha hai? tere ko ek se ek achchhi ladki mil jayegi.. time paas ke liye bhi aur permanent bhi.. kaho toh aaj hi bulaaun ek time paas.. mast ladki hai.. dekhte hi ghoonghroo bajenge dil mein…”
“haan.. bula le yaar..!” Ravi chahakte huye bola…
“Tera nahi bharega kabhi .. bol rohan! kya kahta hai..?” Shekhar ne Ravi ko dutkarte huye Rohan se poochha….
“Sona hai mujhe..!” Rohan ne itna hi kaha tha ki Aman ka fone fir baj utha…
“kya hai yaar? tumhe pata hai na ki aaj yaar dost aaye hain.. dobara fone mat karna..” Aman ne call receive karte hi kaha…
“Ek minute.. Ek Minute… wo Neeru hai ek hamari colony mein.. kya karna tha uska..? Salma ne kaha hi tha ki Aman aascharya aur khushi se uchhalta hua khada ho gaya,” Whhhat? Neeru mil gayi?”
Aman ki pratikriya sun sabke chehre khil uthe.. aur wo sab bhi Aman ke sath khade ho gaye.. Rohan ka chehra apratyashit roop se chamak utha…
Salma uske aascharya ko samajh nahi payi,” aisa kya ho gaya?”
“par pahle tumne mana kyun kar diya tha.. ?” aman ne uski na sunte huye apna sawaal kiya…
“wo yahan sab usko Sheenu kahte hain.. mujhe nahi pata tha ki uska asli naam Neeru hai.. abhi Sana ne bataya…” Salma ne apni baat poori bhi nahi ki thi ki Rohan ne Aman ke hath se fone chheen sa liya,” kkkaisi hai wo.. matlab dikhne mein..?”
“koun ho tum?” aawaj badli dekh Salma ne poochha…
“Main.. Rohan!” Rohan ka kaleja uchhal raha tha.. bolte huye…
“kyun? Rishta aaya hai kya uska.. tumhare liye?” Salma ne serious hokar poochha…
“Nahi.. wo.. par..!” Rohan ki samajh mein nahi aa raha tha ki wo kya bole…
“Nahi? toh aisa karo uska khayal bhi apne dimag se nikal do.. wo aisi nahi hai.. bilkul alag type ki hai.. sari ladkiyon se alag.. tum samajh rahe ho na… wo kabhi kabhar hi ghar se nikalti hai.. seedhi college jati hai.. seedhi aati hai… ladkon ki taraf dekhti bhi nahi.. aur na hi kabhi unhe apne paas fatak’ne deti… wahan koshish karoge toh apna time hi barbaad karoge.. samajh gaye..?” Salma ne apni taraf se koyi kasar nahi chhodi.. Rohan ko samjhane mein…
“humm.. par dikhti kaisi hai? ye toh bata do..?” Rohan ka man ab bhi na mana…
“ladkiyan ladkon ke saamne dusri ladkiyon ki taareef nahi kiya karti.. khas tour se jab wo uss’se upar ho.. he he he.. all the best! Aman ko fone dena…” Salma ne kaha..
Rohan ne fone aman ko pakdaya aur sofe par jakar baith gaya… Aman ne fone lete hi kaan se laga liya,” haan…!”
“kya maamla hai? meri toh kuchh samajh mein nahi aaya…” Salma ne Aman se kaha…
“tum iss baat ko chhodo.. tumhe mera ek kaam karna hoga…” Aman ne Salma se kaha..
“kya?” Salma ne poochha…
“Neeru ko batana hai ki uss’se koyi milne aaya hai.. aur ho sake toh usko bulakar lana hai…” Aman ne kaha….
“nahi yaar.. main bata toh rahi hoon.. bulakar lana toh door.. agar usske saamne iss tarah ki baat bhi kar di toh baat ghar tak pahunch jayegi….. main kuchh nahi kar sakti… sorry..!” Salma ne mayoos sa hokar kaha…
“sorry ka kya main aachar daaloonga ab!” Aman ne gussa hote huye fone kaat diya…..

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.