Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 29

Dead Never Lie ~ A Love Story - Written by shakespeare002
Reading Mode

Update 29

Aman ne unke beech baithe baithe hi Salma ko call ki or speaker on kar liya.. kafi lambi bell jane ke baad Salma ne phone uthaya,” Janu.. Ammi yahin par hain.. main upar jati hoon.. 5 minute baad fone karna” khusphusati huyi aawaj mein kahte huye Salma ne jhat se fone kaat diya..

“Ammi! Sana kahan hai?” Salma ne phone apni jeb mein daala aur kitchen se bahar aate huye boli..

“upar padh rahi hogi.. kyun?” Ammi ne kaam karte karte hi jawaab diya…

“maine doodh gas par rakh diya hai Ammi.. ek baar dekh lena.. main abhi aati hoon..” Salma ne seedhiyan chadhte huye kaha…

“kya kar rahi hai banno.. chal darwaja khol!” Salma ne upar jakar darwaja khatkhataya…

“kkuchh nahi.. wo padh rahi thi..!” Sana ne darwaja kholte huye kaha…

“theek hai… thodi der mujhe disturb mat karna..” Salma jakar bister par diwar ke sath sirhana lagakar baith gayi aur apna mobile nikal liya…,” Aman ka fone aaya tha.. main uske paas call kar rahi hoon.. ek baar…!”

“main nahi jaaungi wahan.. aaj ke baad!” Sana ne uske paas baithte huye kaha…

“kyun? hua kya?” Salma ne hanste huye poochha…

“mujhe nahi achchha lagta ye sab…. hum dono.. chhhiiii !” Sana ne nischay sa karte huye bola…

“kyun.. ? pyar ho gaya kya uss’se?” Salma ne uski aankhon mein aankhein daalte huye poochha….

“Mujhe uss’se kya matlab? chhod.. mujhe neend aa rahi hai..” Sana ne kaha aur dusri aur karwat lekar late gayi…..

Salma kuchh pal usko ajeeb si nigahon se dekhti rahi.. tabhi Aman ki call dobara aa gayi…

“Aman.. tumhe pata hai? aaj tumhare dost ne hamein raaste mein rok liya tha….

“kisne? kab” Aman ne phone par aascharya aur gussa sa dikhate huye wahan sabki aur dekh kar batteesi nikali….

“mujhe naam nahi pata… par par pata nahi kaisi kaisi baatein kar raha tha.. hamne badi mushkil se pichha chhudwaya apna..”

” .. chal chhod abhi.. isko baad mein dekhenge.. mujhe tumse ek baat poochni hai…” Aman ne kaam ki baat karte huye kaha….

“humm.. bolo janu!” Salma ki tone achanak badal gayi….

“ye.. tumhare aaspaas koyi ‘Neeru’ naam ki ladki rahti hai kya?” Aman ne kaha…

“bade besharm ho tum.. mujhse kaam nahi chalta kya?” Salma ne aawaj mein gussa sa laate huye kaha…

“kyun? ladkiyan kya sirf isi kaam ke liye hoti hain..? tum batao na jaldi….” Aman chidta hua sa bola….

“hummmmmm… ok! kis age ki hai..?” Salma ne poochha…

Aman ne hath se ishara karke Rohan se age ka idea poochha.. aur Rohan ke ‘na’ mein gardan hilane par bola,” yahi koyi.. tumhari umar ki hogi…!”

Salma ne apna dimag charon aur doudaya aur boli,” Na…. hamari umar ki kya? mere khayal se toh kisi bhi umar ki ladki iss naam ki nahi hai yahan…!”

Salma ka jawaab sunkar Rohan ke Armaano par pani sa fir gaya.. ,” pakka ye govt. college ke paas hi rahti hai na…!”

Salma ne uski aawaj sun li…,” haan yaar.. kul milakar 40-50 ghar hi toh hain yahan.. sab ek dusre ko jaante hain… koyi iss naam ki nahi hai yahan par…”

“chal theek hai.. abhi rakhta hoon.. kal baat karoonga… ok! Bye” Aur Aman ne uski baat sune bina hi fone kaat diya…

“maine bola nahi tha.. sapne sapne hi hote hain yaar.. just chill and enjoy the life!” shekhar ne kaha….

Ab kisi ke paas bolne ko kuchh bacha nahi tha.. Rohan ne sofe par sir tikaya aur aankhein band kar li… wahan ekdum sannata sa pasar gaya….

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply