Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 26

Dead Never Lie ~ A Love Story - Written by shakespeare002
Reading Mode

Update 26

“oye yaar Shekhar!” Aman tezi se chalta hua neeche utar kar aa hi raha tha ki Shekhar unn dono ko lekar upar hi pahunch gaya.. barmoode aur baniyan mein wah aate hi shekhar se lipat gaya…

“saale nangde.. aaj toh kam se kam intjaar kar leta.. subah subah hi chalu ho gaya tha kya?” Shekhar ne majak mein kaha…

“he he he.. nahi toh!” Aman ne hanste huye kaha…

“Nahi toh matlab? aur kya sharab ki smell ka perfume lagane laga hai kya?” Shekhar ne uske munh ke paas munh lakar soonghte huye kaha…

“haan.. yaar.. wo chhota sa program ban gaya tha…” Aman ne kaha aur Rohan aur Ravi se hath milata hua bola,” Ye bhai?”

“bhai hi samajh le..” Shekhar kahte huye uske bedroom ki aur jane laga…

“Nahi yaar.. yahan nahin.. chal.. neeche hi baithte hain..” Aman ne shekhar ka hath pakad liya…

“Kyun? yahan kyun nahi? dekhoo toh sahi.. brand kounsa le raha hai aajkal..” Shekhar ne kaha aur jabardasti bedroom mein ghus gaya.. andar jate hi bahar khade teeno logon ko uske jordaar thahake ki aawaj sunayi di.. agle hi pal wah wapas bahar tha.. uski hansi thamne ka naam nahi le rahi thi.. hanste hanste hi bola,” abey.. 2 -2 ek sath..” fir paas aakar dheere se bola,” mujhe nahi pata tha tu itna kameena ho jayega ek din.. ab randiyan bhi lani shuru kar di…”

Aman Ravi aur Rohan ke saamne kuchh sharma sa raha tha,” aisa mat bol yaar.. tujhe randiyan lagti hain wo.. girlfriends hain meri…”
“maine chehra nahi dekha…!” Shekhar kahkar chup huaa hi tha ki Ravi ne beech mein taang ghusa di,” 2-2 girlfriends ek sath? kaise manage karta hai bhai?”

“kya karein yaar… apna dil hi itna bada hai! ha ha ha.. chalo neeche chalte hain.. inko aaram karne do yahin” Aman ne kaha aur unko lekar neeche chala aaya…”

Tabhi dono ladkiyan bedroom se bahar nikli aur Sir jhukaye wahan se chup chap khisak gayi….

———————————————–

Neeche jate hi unko drawing room mein baithate hi Aman ne Rohan aur Ravi se mukhatib hote huye poochha,” thodi bahut chalegi kya? ya khana lagane ko bol doon…”

Rohan ne koyi pratikriya nahi di par Ravi ka dhyan upar se neeche nahi aa pa raha tha,”wo dono personal thi ya time paas?”

Aman par nashe ka hulka hulka suroor toh tha hi.. usne kisi darshnik ki tarah se lamba chuda bhasan dena shuru kar diya,” mera toh main khud hi personal nahi hoon yaar.. ladkiyan kya khak personal hongi.. bus jindagi jaise chala rahi hai.. waise chal raha hoon.. soorat dekhkar ladkiyan pat jati hain aur paisa dekhkar bister par aa jati hain.. ladkiyon ke maamle mein serious hona toh main ekdum pagalpan maan’ta hoon…”

“ye huyi na baat yaar… tu ekdam sahi aadmi hai.. ek isko dekho.. ek ladki ke chakkar mein dhakke khata hua yahan aa gaya hai…” Rohan ke lakh ishare karne par bhi Ravi kahe bina nahi mana…

par Aman samajhdaar ladka tha.. do minute pahle hi kahi gayi apni baat se mukar gaya,” wo toh apni apni mentality hoti hai yaar.. aur ho sakta hai isko kismat se koyi sachcha pyar karne wali mil gayi ho.. par aisi hoti hajaron mein ek aadh hi hai.. warna toh.. ab bus kya kahoon.. inn upar wali ladkiyon ko hi dekh lo!”

“Dekh loon?” Ravi toh jaise isi baat ko pakadne ke liye munh khole baitha tha.. jaise hi Aman ne example ke tour par unn ladkiyon ka naam liya.. jhat se Ravi ne ‘dekh lo’ pakad liya…

“kya?” Aman ne Ravi ki aur dekha…

“ladkiyon ko.. aapne hi toh kaha hai.. upar wali ladkiyon ko dekh lo… kab dikha rahe ho?” Ravi ne batteesi nikalte huye kaha…

“hahahaha.. tu ek no. ka aadmi hai yaar.. par jara sambhal kar raha kar….. inn sali ladkiyon ka koyi bharosa nahi hota.. kab sali natak karne lag jayein.. kab pichhadi maar dein…” Aman ne hanste huye Ravi ki aur aankh mari…..

“Main abhi aaya.. bus do minute…” Ravi ne kaha aur bahar nikal gaya….

“kamaal ka aadmi hai yaar.. meri aise logon se bahut banti hai…” Aman ne kaha aur fir Rohan ko dekhte huye bola,” tum aise gumsum kyun baith gaye yaar.. aaj masti karo.. kal ladki se bhi mil lena… theek hai na..?”

“aisi koyi baat nahi hai yaar.. bus main theek hoon.. Ravi ki baaton ka bura mat maan’na yaar.. ye jara munhfat hai.. jo man mein aaye bol deta hai..” Rohan ne kaha…

“ye kya baat kah di yaar.. agar dobara aisa bola toh tujhse bura jaroor maan jaaunga.. hum toh yaaron ke yaar hain yaar.. aur fir Shekhar ke yaar toh mujhe uss’se bhi ajeej honge ki nahi… ye.. Shekhar kahan chala gaya?” Achanak Aman ka dhyan Shekhar par gaya…..

“yahin hoon bey.. fresh ho raha tha.. subah se chala hua hoon.. peshab tak nahi kiya tha raaste bhar..” Shekhar bathroom se nikalte huye bola…

“saale.. mujhe pata hai tu andar kya kar raha hoga… ladkiyan dekh kar mann machal gaya tha kya?” aur Aman kahte hi jor jor se hansne laga…

“sala.. piyakkad.. hamesha bakwas karta rahta hai… wo.. Ravi bhai kahan gaya..” Shekhar ne Rohan ke paas baithte huye poochha….

“Bahar gaya hai…shayad unn ladkiyon ke pichhe…” Rohan kahte huye muskurahat ko chehre par aane se nahi rok paya…..

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply