Update 25
“kya ladkiyan thi yaar…? ye kahan mil gayi tumhe?” Shekhar ne ladkiyon ke jate hi Ravi ko dekhte huye sawaal kiya..
“kahan ladkiyan thi yaar…? ahsaanmand hona chahiye tha inko.. main le aaya.. khali thanx bol kar chali gayi.. kam se kam apna mobile no. toh dekar jati…” Ravi ne kahte huye iss tarah munh banaya mano sach mein hi usko unka chale jana achchha nahi laga ho…
mobile shabd sunkar Ravi ko ek phone karne ki soojhi.. aur jeb ko hath lagaate hi wah uchhal pada,” oye.. mera phone?”
“kya hua? shekhar aur Ravi ek sath bol pade…
“phone gaya.. kahin nikal gaya shayad..” apni shirt aur jean ki sabhi jebon mein tatolne ke baad Ravi hatasha se bhar gaya….
“ohh..!” Ravi ke munh se nikla..,”ab?”
“ek minute.. no. batana..” Shekhar ne apna mobile nikalte huye kaha…
Rohan ke no. batane par Shekhar ne dial kiya..,” humm.. fone toh yaar kisi galat aadmi ke hath lag gaya.. switched off aa raha hai..!” kahte huye achanak mobile screen par dekhte huye Shekhar lagbhag uchhal hi pada,” Aap.. Rohan hain?”
“aur main Ravi.. abhi bataya toh tha bhai…” Rohan ke bolne se pahle hi Ravi ne jawab de diya…
“Nahi.. matlab mera matlab Aap Sky View Estate ke malik Rohan hain?” Shekhar ne chounkte huye gadi ko break laga diye…
“Malik toh mere pitaji hain.. main toh sirf unka waris hoon.. abhi maine office dekhna shuru nahi kiya.. padh hi raha hoon abhi… par… aapko ye sab kaise pata?” Rohan ki dilchaspi apne mobile se hatkar Shekhar par aa gayi…
“Meri aapse baat huyi thi.. kuchh din pahle.. Gurgaon mein aapki nayi construction mein hissedari ko lekar.. yaad hai? aapne apne father ka no. diya tha.. aur haan.. aapne apna naam bhi Rohan hi bataya tha…” Shekhar hatprabh sa usko dekh raha tha…
“Sorry.. mujhe yaad nahi hai.. actually pitaji ne mera no. bhi visiting cards par daal rakha hai… isiliye aksar jab unka fone off rahta hai toh mere paas call aa jate hain…”
“humm.. maine bhi aapka no. cards se hi nikala tha.. aur aapke naam batane par maine no. ko Rohan S.V. Estate naam se save kar liya tha.. kamaal ho gaya yaar.. mujhe ab bhi visvas nahi ho raha ki main itne bade aadmi ke sath baitha hoon…” Shekhar vastav mein hi aascharyachakit tha… usne apna hath Rohan ki aur badha diya jise Rohan ne dono hathon se pakad liya…
“fir baat bani ki nahi…?” Ravi ne Shekhar ko toka…
“kis baare mein?” Shekhar ne uski aur dekhte huye poochha…
“partnership ke baare mein.. aur kya?”
“haan.. wo toh pahle hi done thi.. sirf kuchh formalities baki thi…” Shekhar ne Gadi chala di…
“fir toh bahut achchha ho gaya yaar… ab hum teeno partner hain.. ab tumhare paas rahkar muft ka khate huye sharm nahi aayegi… ha ha ha!” Ravi ne apna hath badha uss’se hath milaya…
“par ek baat samajh mein nahi aayi yaar… yahan batala mein? aur wo bhi bus se?” Shekhar ke dimag mein abhi bhi kafi sawaal the….
“sab iski kartoot hai.. bola driver ko lekar nahi chalna.. aur itni door gadi chalane mein dikkat hogi…!” Ravi ne munh banate huye kaha…
“par fir bhi yaar.. yahan iss chhote se shahar mein aisa kya kaam nikal aaya..?” Shekhar ne poochha…
Ravi ne pichhe mudkar Rohan ki aur hath jodkar chehra jhuka liya,” Ab toh bata do gurudev! ab toh aapka batala bhi aa gaya…”
Ravi ko toh batana hi tha.. apne hum umra Shekhar ko batane mein bhi Rohan ko koyi nuksaan najar nahi aaya…,” darasal main ek ladki ke liye yahan aaya hoon…!”
“oye.. teri toh.. tune ladki ke liye mujhe itni door ghaseeta… ye durgati ki.. wahan ladkiyon ki kami hai kya… jiski bolta uski…. aur college mein tujh par lattoo ladkiyon ki ginti bhi yaad hai tujhe..? wahan toh bajarbhattoo bana baitha rahta hai.. ladki ke liye aaya hai yahan… mujhe nahi chalna tere sath.. utaar neeche abhi… gadi rok shekhar bhai.. abhi ke abhi gadi rok…” Ravi jaane kya kya bolne laga…
Shekhar ne sach hi gadi ke break laga diye..
“majak kar raha hoon yaar… chal na jaldi.. bahut bhookh lagi hai.. he he he.. aur pyas bhi…” Ravi ne Shekhar ko chalne ka ishara kiya aur hansne laga….
Shekhar bhi muskura diya…,” aur kahan chalein.. aa toh gaye…!”
“ohh.. mujhe laga abhi tum dono mujhe jabardasti utaar doge..” Ravi muskuraya aur gadi se utar gaya… Rohan ke bahar nikalte hi Ravi uske kandhe par hath rakh kar usko ek taraf le gaya,” Ye ladki ka kya maam’la hai veerey..?”
“batata hoon yaar.. sab batata hoon…” Rohan ne kaha aur teeno milkar saamne wali timanjila safed kothi mein chale gaye… Gate par hi unhe Gatekeeper ne rok liya..,” kiss’se milna hai sir?”
“usi ulloo ke patthe se… jo iss ghar ka malik hai.. Aman se.. khol bhi de ab yaar…” Shekhar ne chidte huye kaha…..
“par.. par sahab busy hain sir.. kisi ko bhi nahi aane dene ke liye bola hai.. ek ghante tak aur…”
“sala.. ladki liye pada hoga.. daru aur ladki ke alawa wo kuchh karta bhi hai..” Shekhar mann hi mann badabadaya aur phone nikal kar uska no dial karne laga….

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.