Update 24
“naam kya hai aapka?” Ravi se jyada der chup baitha nahi gaya..
“shekhar!” youvak ne hulka sa muskurate huye kaha aur fir poochha,” apna bhi bata do yaar.. tum waise bhi manoge nahi.. bina bataye…!”
“Ravi.. aur ye jo pichhe baitha mujhe ghoor raha hai.. ye Rohan hai.. mera sabse pyara dost.. ye mat samajhna ki ye gusse mein hai.. darasal kareeb 2 mahine se iski shakal hi aisi rahti hai…
“aisa kya ho gaya bhai.. g/f rooth gayi kya?” Shekhar ne pichhe dekhte huye kaha..
“nahi bhai.. aap abhi tak bhi nahi samjhe kya isko! ye aisa hi hai.. iski kisi baat ka bura mat maan’na..” Rohan gadi mein baithne ke baad pahli baar bola..
“ha ha ha.. wo toh main dekh hi raha hoon.. waise batala koyi rishtedari hai kya?” Shekhar ne poochha…
Rohan ke bolne se pahle hi Ravi bol pada,” Rishtedari? aji mujhe toh abhi ye bhi nahi pata ki footpath par sulayega ya koyi hotel bhi naseeb hoga ki nahi..jane kya rakhkar bhool gaya hai batala..” Ravi ne munh banaya..
“jahan main sounga wahan toh sula hi loonga.. ab tere liye wahan hotel toh kholne se raha main..” Rohan ne kaha…
“waise batao toh yaar.. ja kis kaam se rahe ho..” Shekhar ko jaan’ne ki utsukta huyi…
“abhi mujhe hi nahi bataya toh tumhe kya batayega..? waise 5-7 din ka kaam bol raha hai… ab bata bhi de yaar.. kyun dimag ki dahi kar raha hai..?” Ravi ne Rohan ko dekhte huye kaha…
Rohan khidki se bahar dekhne laga.. usko kuchh na bolta dekh Shekhar hi bol pada..,” waise agar 5-7 din ki baat hai toh tum mere sath rah sakte ho.. wahan mere dost ki kothi hai.. akela hi rahta hai.. agar tumhare secret mission par koyi aanch na aa rahi ho toh?”
“thanx yaar.. tu toh mujhse bhi kamaal ka hai.. bina jane poochhe hi sath rahne ka offer kar diya… apni khoob jamegi lagta hai.. ” Ravi ne khush hokar kaha…
“tumhe jaan’ne mein kisi ko waqt hi kitna lag sakta hai..” Shekhar ne kaha aur hansne laga… Rohan bhi muskuraye bina na rah saka…
Achanak gadi ke break lagte hi Rohan aur Ravi ka dhyan aage ki aur gaya..
“oh teri.. ye toh wahi bus hai..” Ravi ne kaha…
Bus sadak ke beenchon beech khadi thi… uske saamne tracter khada tha.. shayad bus ka accident ho gaya tha.. bus ke paas hi 8-10 sawariyan khadi thi.. unmein hi Ravi ki anarkali aur ‘wo’ gulabo bhi thi… Ravi ka dhyan seedha unhi par gaya..
“ek minute rokna shekhar bhai” Ravi ne kaha aur bahar munh nikal kar jor se aawaj lagayi…,” aa jao.. aa jao..” jaise unki purani jaan pahchan ho…
Lekin shekhar ko ab ki baar gussa nahi aaya.. wah bus Ravi ko dekhkar muskurata raha…
Ravi ke aawaj lagate hi unn dono ladkiyon ko chhodkar sabhi sawariyan bhagi bhagi aayi…
“thankyou bhai sahab!” unmein se ek sawari ne bahar paas aate hi kaha…
“arey bhai.. kiraye ki nahi hai.. apni hai apni..” Ravi ne kaha aur gadi se utar kar unn ladkiyon ki aur chala gaya,” aa bhi jao.. kab tak khadi rahogi.. bus toh ek ghante ke baad aayegi na…”
Dono ladkiyon ne lajjit hokar apna munh fer liya.. kuchh der pahle hi toh Ritu ne uska ulloo banaya tha…
“soch kya rahi ho anarkali & party… ye sochne ka nahi gadi mein baithne ka time hai.. jaldi karo.. aa jao.. main gadi ko 2 minute se jyada rukwa nahi paaunga..” Ravi ne kaha aur ghoom kar wapas chala gaya….
“Kya karein? chalein?” Ritu ne poochha…
“tu pagal hai kya? dimag toh nahi satak gaya hai..? anjaan ladkon ke sath.. hum gadi mein baithenge.. jara soch ke bola kar yaar…” Dusri ladki ne saaf mana kar diya…
“arrey anjaan wanjaan kuchh nahi hain… aur fir ab andhera bhi hone lagega.. sari basein bhari huyi aa rahi hain… kab tak wait karenge…? jahan tak iss lalloo ki baat hai.. isko main achchhi tarah samajh gayi hoon.. iski bus bolne ki aadat hai.. kuchh karne warne ka dum nahi hai ismein.. aur dusra ladka toh ekdum shareef hai.. sholey ke amitabh jaisa.. wo toh kuchh bolta bhi nahi.. chal na kuchh nahi hota..” Ritu ne uska hath pakadte huye bola…
ladki ne gardan ghumakar gadi ki aur dekha.. aur kuchh der ruk’kar sath sath chalne lagi.. unke gadi ke paas jate hi rohan ne khidki khol di aur ek taraf ho gaya..
“tu baith pahle..” Ladki ne Ritu se kaha..
“theek hai..” Ritu Rohan ke sath beech mein baith gayi.. aur uss ladki ke baithne ke sath hi Shekhar ne gadi chala di.. uski samajh mein ab tak nahi aaya tha ki majra kya hai..
Par Ravi tha na.. gadi ke chalte hi shuru ho gaya,” inse miliye bhai sahab.. ek hai Anarkali aur dusri Gulabo.. agar aaj ye na hoti toh na toh hum aur aap mil pate.. aur na hi hamara batala mein rahne ka itna achchha intjaam hota…” kahkar Ravi hansne laga…
“aisa kyun?” Shekhar ne utsuktawash poochha…
“wo toh tum inhi se poochh lo.. warna toh mein bataunga hi.. namak mirch lagakar.. bata do ab.. anjan musafiron ke sath ki gayi apni kartoot…”
Ladkiyan sir jhukaye baithi thi.. unse kuchh bola hi nahi ja raha tha… Shekhar ne baat ko wahin chhod diya aur poochhne laga,” waise jana kahan tak hai aapko?”
“Ji batala..” Ritu ne sir jhukaye huye hi jawab diya…
“hummm.. matlab ek hi manjil ke musafir hain..” Shekhar ne kaha aur gadi ki speed badha di….
—————————
“kaho toh ghar chhod aayein..” batala pahunchte hi ladkiyon ne gadi rokne ko kaha toh Ravi ne chatkhara liya…
Bina kuchh bole ladkiyan gadi se utar gayi.. fir achanak wapas mudte huye Ritu aage gayi aur Boli,” thanx….. and sorry!”

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.