Update 23
“Ek minute ruk ja na yaar.. unko utarne de” Amritsar bus stand par utarte hi Ravi ne Rohan ke kandhe par tanga bag pakad kar kheench liya…
“kyun? ab kya kasar rah gayi hai? jaldi chal aur pata karke aa Batala ke liye bus kahan se milegi..” Rohan ne usko lagbhag ghaseet’te huye kaha,” Sare raste tune unki naak mein dam rakha.. ab unka ilaka aa gaya hai.. yahan tujhe chhodengi nahi..dekh le!”
“aaye haye.. kya baat kahi hai mere yaar.. ilaaka hi nahi, sach poochho toh main bhi ab unka hi ho gaya hoon.. khas tour par uss laal mirchi ka.. dekha nahi tune.. pichhe mudmud kar aise dekh rahi thi jaise kha jayegi wahin.. uff ye punjab ki ladkiyan…” Ravi ne pichhe mudkar bus ki aur dekhte huye kaha…
ladkiyan abhi bus se utari nahi thi.. jaise hi Ritu uthne lagi.. usko pair ke neeche kuchh mahsoos huaa.. ye mobile tha,” oh.. ye kiska rah gaya..?”
“driver ko de do Ritu.. shayad bichare sardar ji ka hoga.. wapas aayega toh driver se hi poochhega…” Dusri ladki ne Ritu se kaha…
“tu pagal hai kya? itna mahanga fone.. koyi wapas nahi karega isko.. jiska bhi hoga wo iss no. par fone toh karega hi… tabhi hum bata denge ki fone hamare paas hai.. aakar le lo…” Ritu ne samajhdari ki baat kahi…
“haan.. ye baat bhi theek hai.. A? uss ladke ka toh nahi hai ye fone..? dekh.. hamari aur hi aa raha hai..” ladki bus se utarte hi Ravi ki aur ishara karte huye boli…
Ritu Ravi ko dekh aag baboola ho gayi…,” aane de usko.. usko toh main aisa fone doongi ki sapne mein bhi yaad karega mujhko.. tu chup rahna bus..” Ritu ne fone apni back pocket mein daal liya…
Ritu ke paas aate hi Ravi uske tewar dekhkar sakpaka sa gaya.. wah lagataar usko ghoore ja rahi thi.. Ravi ki tone achanak badal gayi,” aap toh bura maan gayi.. maine toh yunhi apna sa mankar kah diya tha..”
pahli baar Ravi ke munh se aisi baat sunkar Ritu ke swar mein bhi narmi aayi,” achchha.. ek hum hi apne se lage aapko poori bus mein?”
“aji mera kya hai.. main toh abhi bilkul kunwara hoon..,” Ravi ne ‘bilkul’ par kuchh khas jor diya,” abhi toh sabhi ‘apni’ hain.. jab tak koyi lapet’tti nahi… waise ye batala ke liye bus kahan se milengi..?”
“batala? tum..” dusri ladki bolne lagi thi ki Ritu ne uska hath pakad kar doboch diya,” pahli baar aaye ho kya yahan..?” Ritu ne rahasyamayi dhang se muskurate huye poochha…
” aur nahi toh kya? bus yun samajh lo ki bhagwan ne tumse milane ke liye hi yahan kheench liya.. uss Rohan ki wajah se… mera naam Ravi hai.. aapka?” Ritu ke meetha bolte hi Ravi seedha linebazi par utar aaya…
“Anarkali.. achchha hai na..” Ritu kahkar hansne lagi..
“Ji bahut pyara hai.. kash mera naam saleem hota.. aur inka..” Ravi dusri ladki ko niharte huye poochha..
“Gulabo! tum raasta poochhne aaye the ya..?” Ritu ab pak gayi thi…
“ji pls.. i’ll be obliged!” Ravi ne adab se jhukte huye kaha..
“tumhe intjaar karna padega.. ghante bhar ka.. uske baad wo saamne milegi.. ho gaya..?” Ritu ne munh banakar kaha..
“Aji hamein toh pahli najar mein hi ho gaya tha.. bus aapki inayat ki jarurat hai..” Ravi jate jate bhi maskhari karne se baaz nahi aaya..
gulabo ne jate hi Ritu ko ghoora..,”tune unko jhooth kyun bola.. bus toh chalne hi wali hogi.. uske baad jane kab aaye..?”
“kya baat hai.. kya baat hai.. badi chinta ho rahi hai.. kounsa pasand aa gaya?” Ritu ne majak kiya..
“tujhe pata hai Ritu.. mujhe aisi baatein bilkul pasand nahi.. fir kyun?” Gulabo naraj si hote huye boli…
“arey yaar.. majak bhi nahi kar sakti kya? khair main agar uska ulloo nahi banati toh fir se wo hamein pakate huye chalte.. sath sath.. chal ab jaldi chal.. bus nikal gayi toh…” aur dono jakar chalne ko taiyaar khadi bus mein jakar baith gaye… aur bus chal padi… Ritu ne bus mein baithe huye hi Ravi ko thainga dikhakar chidaya aur khilkhilakar hansne lagi…
“yaar.. agar inki bus nahi chalti toh ye anarkali toh pati patayi thi…” Ravi ne apne hath masalte huye kaha…
“hunh.. tujhe lagta hai ki tu iss janam mein koyi ladki pata payega..?” Rohan ne muskurate huye vyangya kiya…
“arrey.. kya baat kar raha hai yaar..? tune wo.. kya kahte hain.. wo shlok nahi suna kya ‘ladki hansi toh fansi.. dekha nahi kya tune.. meri taraf usko hanste huye..’ Ravi ne taal thonki…
“humm hans rahi thi?.. chal chhod.. yaar ab ghanta bhar intjaar kaise hoga.. aur koyi vehicle nahi jata kya batala?” Rohan ko batala pahunchne ki jaldi thi…
“yaar ye Amritsar tak ki baat toh samajh mein aati hai.. par ye batala patala mein teri kounsi appointment hai..? jahan basein bhi nahi jati…” Ravi ne kaha aur door newpaper wale ko aawaj di… paper wala bhaga bhaga aaya,” ji sahab.. kounsa doon?”
“ye batala ke liye bus kab aayegi.. aur kuchh nahi jata kya wahan..?” Ravi ne poochha…
“abhi aapke saamne hi toh gayi hai sahab yahin se.. pathankot wali.. udhar se hi jati hai.. waise bahar jakar kisi ko bhi lift ke liye tok lo.. hum punjab wale bade dil ke hote hain sahab.. he he he.. akhbaar kounsa doon..?”
“humm.. bahut bade dil ke hote hain punjab wale.. agar teri kisi newspaper se setting ho toh ek khabar chhapwa dena.. ek sukdi si punjaban hamara ulloo bana gayi… chal la.. koyi bhi de de ek..” Ravi ne kahte huye Rohan ki aur mayusi se dekha…
“samajh gaya?.. kyun hans rahi thi wo..?.. bolta hai.. ‘hansi toh fansi..’ chal aaja bahar.. ab latak kar chalte hain.. lift lekar..” Rohan khada ho gaya…
“meri kya galati hai yaar…?” Ravi sanjeeda hote huye uske sath chalne laga..
“nahi nahi.. galti toh meri hai.. jo tujhe sath le aaya.. abe unse hi raasta poochhna tha tujhe?” Rahan aur Ravi bahar aakar khade hi huye the ki ek lambi si gadi aakar unke paas ruki.. Gadi ka sheesha neeche hua aur andar baithe ek bahut hi smart yuvak ne unse poochha..,” bhai sahab.. ye batala aur kitni door hai?”
Rohan bolne hi wala tha ki Ravi ne jhat se andar hath dekar khidki ko unlock kiya aur tapak se andar baith gaya…
“kya hai bhai sahab?” yuvak ne apne goggles aankhon se hatate huye poochha…
Ravi ne uski baat par koyi dhyan nahi diya aur pichhli khidki bhi khol di,” Baith na Rohan.. bhai sahab bhi batala ja rahe hain..”
Rohan ne uss yuvak se najrein milayi toh usne apne kandhe uchka diye… Rohan pichhe ja baitha… Yuvak ne gadi douda di…
“kitni door hoga batala yahan se…?” Yuvak ne fir poochha..
“aage chalkar poochh lete hain na.. tension na le bhai.. ab main sath hoon..” Ravi ne muskurakar uski aur dekha…
“matlab tumhe bhi nahi pata..?” yuvak ne chehra ghumakar Ravi ki aur gour se dekha…
“ummm.. aisa hai bhai sahab.. actually hum bhi pahli baar hi aaye hain… maine socha.. ek se bhale teen.. aapki bhi madad ho jayegi.. aur ham bhi pahunch jayenge…” Ravi ne jawab diya…
“ha ha ha.. kamal ke aadmi ho yaar… lo.. cigarette peete ho?” Yuvak ne cigarette nikalte huye poochha…
“na bhai na.. aur jab tak hum gadi mein hain.. isko sulgana bhi mat..” Ravi ne gadi par hi kabja sa kar liya…
Yuvak ne achanak break laga diye.. aur Ravi ko ghoor kar dekhne laga..
“kya hua bhai..? aage chalkar poochhte hain na…” Ravi ne uske hath se cigarette lekar wapas packet mein daal di…
Gadi mein baitha wo yuvak achambhit sa tha.. achanak thahaka lagakar jor jor se hansne laga aur gadi chala di…

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.