Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 13

Dead Never Lie ~ A Love Story - Written by shakespeare002
Reading Mode

Update 13

“kya matlab?” Rohan uski baat samajh nahi paya….

“tu ab meri baaton ka matlab poochhna chhod aur apne iss wahyat natak ka manchan shuru kar.. pahle tu mujhe jid karke wahan le gaya jahan aadmi toh kya aadmi ki jaat bhi nahi rahti.. fir wapas aate huye tujhe wo ladki mil bhi gayi.. ab iss ladki ne inkaar kar diya toh tu kah raha hai ki wo ye nahi koyi aur hai.. matlab kya hai teri baaton ka.. yeda samjha hai kya?” Nitin uski aur gurrata hua sa bola..

“nahi bhai.. main tujhse jhooth kyun boloonga.. hamesha maine tujhe bade bhai ki tarah mana hai.. par sach mein, meri khud samajh mein nahi aa raha ki ye sab aakhir ho kya raha hai.. mere sir mein hamesha chakkar sa rahta hai.. ye baatein sochkar.. tu hi bata main karoon toh kya karoon..” Rohan ne seat se sir tika apni aankhein band kar li…

“humm.. par ab ye tu kis aadhar par kah raha hai ki ‘wo’ ladki koyi aur hai.. fir se fone aaya tha kya…?” Nitin ne uss’se poochha…
“ummm.. haan..!” Rohan ne yunhi kah diya…

“laat maar na yaar baat ko.. ye ladki kitni mast hai.. kahe toh isko patwa doon.. chalegi na…?” Nitin ne sari baat chhod kar Shruti ki baat utha di…

“kaise?” Rohan aankhein band kiye huye hi bola…

“wo tu mujh par chhod de.. sirf ye bata, uske baad toh tu theek ho jayega na.. matlab tere dimag ka fitoor…” Nitin ne gadi rok kar uske kandhe par hath rakh diya…

Rohan kuchh der chup baitha raha, fir bola,” nahi yaar.. mujhe uss’se milna hai ek baar.. uske baad tu jo kahega main kar loonga…”
“uss ladki ko dekha hai tune?” Nitin ne sawaal kiya…

“nahi..” Rohan ne fir apni aankhein band kar li…

“yahi baat… isi baat par itna gussa aata hai ki.. kyun apni achchhi khasi jindagi ko gadhe par laadna chahta hai.. tune usko dekha tak nahi hai.. fir kyun uske peechhe pagal hua ja raha hai.. main shart lagakar kah sakta hoon ki wo ladki shartiya iss’se sunder nahi ho sakti.. dekha hai kabhi najar bhar kar isko.. kitni thandak milti hai kaleje ko..” Nitin ne kahte huye dil par hath rakh liya..

“tujhe thandak milti hai toh tu hi le aa na bhai..!” Rohan uski baaton se tang aa gaya.. uska dimag toh ab wahin ghoom raha tha.. Batala!

“aur tu kya samajhta hai.. aaj bhi main isiliye chup raha ki ye teri hai.. warna main toh ticket kaat kar rahoonga.. kum se kum ek baar…” Nitin ne visvas ke sath kaha..

“hunh.. bada chup raha tu aaj.. baaton hi baaton mein balatkaar kar daala bechari ka.. aur kah raha hai.. main chup tha.. apne sath meri bhi dheeli karwa di…tujhe lagta hai ki ye ladki ab teri taraf dekhna bhi pasand karegi…?” Rohan ne vyangya kiya..

“tune mujhe kya apni tarah lalloo samajh rakha hai.. ek ek din mein do do ladkiyan patayi hain maine.. aur fir ye toh bechari bahut nadan hai.. iska toh ghante bhar ka bhi kaam nahi.. ladkiyon ki psychology, geography, chemistry.. sab jaanta hoon main..” Nitin ne seena fulate huye kaha…

Rohan Nitin ki iss baat par hanse bina nahi rah saka.. Nitin ne galat nahi kaha tha.. Rohan ke nature ke ulat wo ekdum T-20 style ka khiladi tha.. jis ladki par man aa gaya, usko bister par laye bina nahi chhoda.. aur fir agle match ki taiyaari.. yahin par Nitin aur Rohan mein jameen aasmaan ka farq tha..

“chal tu jo marzi kar lena.. par mera toh kuchh hal kar…”

” ab wo ladki kahan milegi..?” Nitin turant serious ho gaya…

“batala!” Rohan ne turant jawab diya…

“batata? ye kounsi jagah hai? aur wo tujhe kaise janti hai…?” Nitin ne shayad naam dhang se nahi suna tha…

“batata nahi Batala.. aur hum kabhi mile nahi hain..” Rohan ne baat spast kar di…

“ye le.. toh kya sapna aaya tha?” Nitin ne majak mein kaha..

“sach bataaun ki jhooth..?” Rohan ne aankhein kholkar uski aur dekha…

“ab bhi jhooth bolega toh kaan ke neeche doonga.. samjha kya hai mujhko..? chal shuru ho ja…” Nitin ne usko pyar se jhidki di…

“haan.. sapna aaya tha…!” Rohan ne bina ruke kah diya…

“what..?” Nitin ko uski baat majak lagi thi..

“sapna hi aaya tha bhai.. tumhari kasam…!” Rohan ko aakhirkaar kisi na kisi se toh apni vidambana share karni hi thi.. so apne sabse achchhe dost se kar li..

“lagta hai tujhe nasha ho gaya hai.. chal aa.. beer peete hain.. baad mein baat karenge..” kahkar hanste huye nitin ne gadi start karke wapas shahar ki aur ghuma di…

To be continued…

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply