” humm.. ho sakta hai…” Rohan ne baat ko badhana nahi chaha.. usko Nitin ke nature ka pata tha.. agar wo abhi Nitin ko wo batein bata deta jo abhi thodi der pahle huyi toh Nitin ko wapas wahin ja kar chhanbeen shuru kar deni thi..,” ab toh seedhe chal rahe hain na.. Shruti ke ghar?”
“aaye haye.. kya baat hai meri jaan..? tu toh bada utawala ho raha hai.. chinta na kar.. aaj sara din wo tere sath hi rahegi.. bus hulka sa ishara kar dena usko…” Nitin shararati sur mein bolte huye muskurane laga…
“tujhe wo kaisi lagti hai…?” Rohan ne Nitin se poochha…
“kya matlab?”
“bus aise hi.. bata na.. kaisi lagti hai…?” Rohan ne fir jor diya…
“sweet hai, sundar hai, sharmili hai.. kul milakar meri bhabhi ban’ne ke layak hai.. par agar tiley par bula kar darane ki sazish mein uska ya uske baap ka kuchh hath mila toh main unko chhodunga nahi.. pahle bata raha hoon.. mujhe dhokhebaazi se sakht nafrat hai…” Nitin ne saamne aa gaye gaddhe ko dekh kar gadi neeche utaar di…
“main kya poochh raha hoon.. aur tu kya jawab de raha hai..?” Rohan ne kaha..
“abey de toh diya jawab.. jhakaas hai ekdum… le lena aaj… bahon mein.. ha ha ha..” Nitin ne maskhara kiya…
“aur agar… mujhe kisi aur se pyar ho toh…..?” Rohan ne uske chehre ki aur dekhte huye kaha…
“saaale.. apne sath meri bhi durgati kyun karwa raha hai.. kitni ‘basanti’ hain tere paas.. kal iske liye fat rahi thi aur aaj.. ab mujhe mat batana wo nayi ladki koun hai.. samjha..!” Nitin ne jhalla kar banawati gusse se uski aur dekha…
“mmain toh majak kar raha hoon yaar…!” Rohan ne hichkichate huye baat kahi aur bahar dekhne laga.. gaanv kareeb aa gaya tha..
“majak kar raha hoon..” Nitin ne ajeeb sa munh banakar uski nakal utaari.. aur ghar ke saamne gadi rok kar horn diya… buddha lagbhag bhagta hua bahar aaya..
“wo.. taiyaar ho gayi kya uncle ji..?” Nitin ne gadi ka sheesha neeche karte huye poochha…
“haan.. beta.. wo toh taiyaar hai.. tum khana kha lo ek baar.. Shruti ne bana rakha hai.. tum dono ke liye…”
Nitin kuchh bolne hi wala tha ki Nitin ne pahle hi bol diya,” theek hai uncle ji.. ek baar aur sahi…” kahkar dono gadi se utar kar andar aa gaye…
Andar jate huye, khana khate huye aur fir bahar aate huye.. Nitin apni bareek najar se ghar ke kone kone ka muayana kar raha tha.. shayad unke sath pichhli raat huyi ghatna se sambandhit kisi bhi suraag ki talash mein.. par kuchh hota toh milta.. aakhirkaar charon ghar se bahar nikal aaye.. Shruti ke liye rohan ne pichhli khidki khol di aur wo chupchap gadi mein ja baithi,” achchha bapu.. main char baje tak aaoongi..!”
“theek hai beti..” aur fir Nitin se mukhatib hote huye bola,” achchha beta.. aaram se jana.. aur isko bus-stand utaar dena.. wahan se chali jayegi.. apne aap..”
“kyun chinta karte ho uncle ji.. hum college hi chhod jayenge.. achchha.. namastey..”
“bhagwan tumhara bhala kare beta…” buddhe ke aisa kahte hi Nitin ne gadi ko raftaar de di…..
To be continued…

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.