Har koyi apne ghar aa kar khus hota hai par mai aise haalaat mein ghar aa kar bilkul khus nahi thi.
Mammi aur sonu ( mera chota bhai ) ne mujh se kuch nahi pucha, shaayad papa ne unhe samjha diya tha. Mere liye to ye acha hi tha. vaise bhi mai kisi ko kuch bhi bataane ya samjhaane ki haalat mein nahi thi.
Chintoo apne nana, nani ke ghar kayi dino baad aaya tha ishliye kaafi khus tha. Sara din vo ghar mein uchal kud karta phirta tha. Vo ish baat se bilkul anjaan tha ki ushke ma baap ki jeendagi, ek toofaan mein fansi hai.
Aisa lagta hi nahi tha ki mai apne ushi ghar mein aayi hun, jahaan bachpan se lekar jawaani tak maine bahut saare hasin lamhe gujaare the. Mai har vakt apne kamre mein padi rahti thi.
kuch din yu hi beet gaye. Par mere man ko koyi shaanti nahi mili. Sanjay ne koyi phone nahi kiya aur na hi mera phone uthaaya.
Ek din subah subah dipti milne aa gayi, mujhe ushe dekh kar bahut khusi huyi.
Maine pucha, tumhe kaise pata chala ki mai yaha ghar par hun.
Vo boli, aunty ne kal phone kiya tha ki tu yaha aayi huyi hai, ishliye milne aa gayi.
Mai samajh gayi ki mammi mere liye pareshaan hai, shaayad ishliye unhone dipti ko phone kiya hoga ki vo mujh se milne aayegi to mujhe acha lagega. Aur mujhe vaakayi dipti ka aana bahut acha laga.
burey vakt mein agar koyi halka sa daaman thaam ley to mushkil se mushkil rasta aasaan ho jaata hai. mujhe bhi kisi aisey sahaare ki jaroorat thi. vo dipti hi thi jissey mein apni aap biti khul kar shuna sakti thi. vo college ke dino se meri best friend rahi thi.
thoda haal chaal puchne ke baad, dipti ne pucha, yaar tu kuch khoyi khoyi si lag rahi hai, aunty bhi kal phone par kah rahi thi ki tum aajkal gum-sum si rahti ho, aakhir baat kya hai.
maine gahri saans ley kar kaha, dipti jish ritu ko tum jaanti thi vo ab mar chuki hai.
dipti hairani bhare shabdo mein boli, ye kya kah rahi hai, deemag to theek hai tera ?
maine kaha, deemag theek hota to mai ish vakt yaha nahi hoti.
Dipti boli, arey tum apne maayke mein hi to ho, ishmein yaha, vaha ka kya matlab !!
Maine kaha, dipti, sanjay ne mujhe ghar se nikaal diya hai.
Dipti boli, kya ?? ye kab kaise !! kyon ??
Maine kaha, kyonki maine unhe dhoka diya hai, ishliye.
Dipti boli, ye kya bol rahi hai tu, mujhe kuch samajh nahi aa raha.
Maine kaha, tumhe ajeeb lagega, par mere kitchen ki khidki ne mujhe barbaad kar diya.
Dipti boli vo kaise ?
Maine gahri saans ley kar kaha, ek din mai yu hi taaji hava lene ke liye kitchen ki khidki mein aayi thi ki achaanak ek ladka mujhe pesab karta huva deekh gaya.
maine bina ruke dipti ko saari baat bata di.
Dipti boli, yaar mujhe bilkul vishwaas nahi ho raha ki tumhaare saath itna kuch ho gaya, vaakayi mein saari galti tumhaari hi hai. ush kamine ashok ne tujhe fansa hi liya.
Maine kaha, haan mai jaanti hun ki galti meri hi hai tabhi to khud par sharminda hun. lagta hai mai ab kabhi jeendagi mein muskura nahi paaungi.
Dipti boli, aisa kuch nahi hai, vakt har zakham bhar deta hai, mujhe dekh mai bhi to apni jeendagi mein khus hun, varna jeendagi ne kaun se jhatke nahi diye
Maine pucha, tumhe kya huva hai ?
Dipti boli, rahne de yaar phir kabhi, tu khud abhi pareshaan hai.
Maine kaha, dard baantne se kam hota hai, mai khud tumhe sab kuch bata kar, khud ko halka mahsus kar rahi hun.
Vo boli, meri kahaani tere jaisi tragic to nahi hai par phir bhi mai bahut pareshaan hun aajkal.
Maine kaha, bataao to sahi kya baat hai.
Dipti boli, tujhe koyi paanch mahine pahle maine bataaya tha na ki meri sagaayi pakki ho gayi hai.
Maine kaha, haan, haan, aur maine kaha tha ki der aaye durust aaye, kya naam tha tumhaare fiance ka ?
Dipti boli, mahesh
Maine kaha, arey haan mahesh, to kya pareshaani hai ?
Dipti boli, arey yaar vo sagaayi hote hi baar baar phone karne laga
Maine pucha, to ish mein buraayi kya hai, aaj kal to phone aam baat hai.
Dipti boli, shun to sahi yaar,
Maine kaha, theek hai, bataao mai shun rahi hun.
Dipti ke shabdo mein :—-
Pehle pehle jab mahesh ka phone aaya to mujhe sab kuch normal laga, vo din mein koyi ek ya dau baar hi phone karta tha. aksar yahi puchta tha ki kaisi ho dipti, aaj kaam jayada hai kya ?
par achaanak, vo din ho ya raat, baar baar phone karne laga,
Ab tumhe to pata hi hai ritu, mai assistant manager ki job par hun aur mujhe har vakt office mein kuch na kuch kaam hota hai, aur vo kisi bhi vakt phone khadka deta tha.
chalo yaha tak bhi theek tha, dheere dheere vo mujh se ashleel baate karne laga. jaise ki ek baar mai office mein jaroori project report bana rahi thi ki achaanak mahesh ka phone aa gaya.
Maine kaha, mai abhi busy hun, kya hum thodi der mein baat karein.
Vo bola, shaadi ke baad kabhi agar mujhe fuck karne ki icha huyi to kya tab bhi yahi kahogi ki baad mein fuck karenge.
I just couldnot say a single word, I never ever in my life heard something like this.
Maine kaha, mahesh ye kya majaak hai, mujhe aisi baate bilkul pasand nahi.
Vo bola, meri jaan shaadi ke baad kya tum mere saath ramaayan ka paath karogi ?
Maine phone kaat diya aur phone ko switch off kar diya. mai dubaara ushki bakwaas nahi shun-na chaahti thi.
Apna saara kaam khatam kar ke hi maine phone on kiya.
Phone on karte hi mahesh ka phone aa gaya.
Vo bola, sorry tum to bura maan gayi, mai to majaak kar raha tha.
Maine kaha, majaak ?
Vo bola, haan majaak.
Maine kaha, par mujhe aisa majaak bilkul pasand nahi hai.
Vo hanste huve bola, kahi tum lesbian to nahi ho ?
Maine pucha, kya matlab ?
Vo bola, kuch nahi dipti, bas yu hi majaak kar raha hun, tum to baat baat par pareshaan ho jaati ho. Tumhe nahi lagta ki hamein ab khul kar baate karni chaahiye
Maine kaha, mahesh, mujhe bahut kaam hota hai, tum samajhte kyo nahi ?
Vo bola, chalo theek hai, jab tum free huva karo to mujhe miss call kar diya karo, mai khud phone kar lunga.
Maine kaha, please bura mat maano, mujhe thoda vakt do.
Vo bola, theek hai, tum chinta mat karo mai to yu hi hansi majaak kar leta hun.
Ush din ke baad kuch dino tak ushne mujhe pareshaan nahi kiya.
Par ek din achaanak vo mere office aa gaya. Lunch time tha, mai apne cabin mein thi aur kuch jaroori paper work kar rahi thi.
Vo seedha mere cabin mein ghuss gaya, aur bola, socha aaj khud chal kar dekh lun ki kitni busy hai meri hone waali patni ? tum to lunch break mein bhi kaam kar rahi ho !!
Mai mahesh ko vaha dekh kar chonk gayi thi.
Mai foran apni sheet se uth gayi.
Vo mere saamne rakhi kursi par baith gaya.
Vo bola, tumhe kahin bura to nahi lag raha ki mai bina bataaye aa gaya ?
Maine kaha, nahi, nahi, koyi baat nahi.
Ushne kaha, phir theek hai. par ek baat hai, aaj tum bahut sunder lag rahi ho, man kar raha hai ki abhi tumhaare saath shaadi kar ke tumhe honeymoon par ley jaaun.
Mai sharma kar rah gayi. Par mai hairaan thi ki abhi mere aur mahesh ke bich koyi gahra rista nahi bana hai, sirf engagement hi to huyi hai, abhi to ek dushre ko ache se jaante bhi nahi hai, phir bhi vo mujh se aisi baate karne laga hai.
Thodi der vo yu hi yaha vaha ki baate karta raha.
Choti Si Bhool – Update 65 | Adultry + Romance

Published Date:
Written by:
Prefix:
Story:
Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.