Update 06
M.com. Karne ke baad meri bank mai nokri lag gayi or joining Dehradun hui. Baato ka silsila is ke baad thum sa gaya. Lekin uske yaade mere man mai bani rahi.
Ek baar Diwali par ghar aaya to Maa ne yo he dil ke taar cher diye, ‘tujhe yaad hai. Humare paros mai Verma jee rahte the, Wahi jin ke beti Nupur ke sath tu aksar khelta rahta tha.’
‘Ha,’ Mera Dil dhak se kar gaya, ‘kaha hai wah?’
‘Pichle dino uske Ma aka phone aaya tha. Apni beti ke riste ke baat karne lagi.’
‘To kya kaha aapne?’ Maine utsukuta se saase thamte houe pucha.
‘Mai bhala kya kahti. Jab bhi tujhe se riste ke baat karti, to tu taal jata tha. Mujhe laga tere man mai koi hai or jab samy aayega tu khud he bata dega.’
‘Nhi , Maa, mere man mai aisa kuch bhi nhi tha, na hai, ‘ Maine sara sanoch tyag kar Maa se manihaar ke , ‘Chaho to ek baar fir se baat kar ke dekh lo.’
Or jab tak Maa ne baat ke bhut der ho chuki thi. Maa ne rowasi se ho kar batya ke Nupur ke shadi tere sath karne ka un logo ka bada man tha or Nupur ke bhi rajamandi thi par samay se mai jawab na de saki to we udas ho gaye. Ab to Nupur ke sagai bhi ho chuki hai.
Mera Dil bhari ho gaya or agle din mai wapas Dehradun chala gaya. Us jaisa fir man ko koi payra na laga. Maine us se ka aastitw he bhula dena chaha par bhulne ke liye mujhe hamesha yaad rakhna pada ke mujhe us bhulna hai jo shaj na ho saka.
Aaj Itne saalo ke baad sari baato ke punawriti ne mujhe jhakjhor kar rakh diya. Maine dhire se aankhe Mund le par fir bhi aanso ka ek katra na jane kaha se nikal kar mere galo par aa gaya.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.