Update 03
Sarkari lite ke pole ke pass niche hari gass mai hum dono he ek dusre ko muk sahmati se baith gaye. Tik waise he jaise bachpan mai baitha karte the, Us ke sarir se chu kar aane wali thandi hawa mujhe bihtar take k sukhad ehsas de rahi thi.
“Or Kaun Kuan hai yaha tumhare sath??” Maine dubte hue dil se pucha.
“Koi nhi. Bas mai, Bhaiya bhabhi or unke 8 year k eek beti. Or Tumhare sath kaun kaun hai???”
“Bas mai he ho” Mera swar udas ho gaya.
Bato bato maiusne batya ke sadi ke 10 saal ke baad he us ke pati ek road accident mai chal base the. Ek beti hai jo vasthali mai padhti hai or wahi hostal mai rahti hai. Combined family hone ke nate sab kuch waisa he chala jo nhi chalna chalna chahiye tha. Us ghar mai rahna or tane sahna uske majburi ban chuke thi. Pati ke gujar jane ke baad kuch din to sahanubhuti mai kat gaye. Bas us ke baad sab ne apne apne kartwyoo se itishri maan lee.
“Pichle saal beti ke hostal jane ke baad thodi rahat mahsus ke par man bhut udas or akela ho gaya. Zindgi ke ladaiya kitni bhayankar hoti hai, man bhut udas hota hai to kuch din ke liye yaha chali aati ho.”
Sach, bhut kuch saha hai maine. Itna bol kar wo bilkah rahi hai or mai paasan bana chupchap uska rudran suntan raha. Mere man mai is icha ne baar baar janam liye ke kisi bahane usko sparsh karo, usko sine se lagoo, us ke lambe keshoo ko shala kar usko chup kara do par suru se he sankuchi sawbhaw ka hone ke karan kuch bhi nhi kar paya.
Meri aankhe bhar aayi. Mai muh dusari taraf kar ke subkane laga. Ek lambi thandi saas le ke mai ne kaha, “Pata nhi ye sanyog hai ya ke tumhe ek baar dekhne ke hasrat puri ho gayi.””

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.