Reading Mode

Update 90

Nain ki baten sun kar Saily ka chehra bilkul laal ho gaya. Usse samjh me aane laga uske sharmindgi ka karan kaun hai, kaun aastin ka sanp hai jo uske sath khel-khel raha hai…. Saily bilkul gusse me…….. Jitni jillat uske dil me mehsus ho rahi thi, ab sab wo Indu ke liye gussa ban kar phut raha tha……
“Nainu wo kahan milegi, main aaj he uska khun kar ke phansi chadh jaungi. Ye sara kiya dhara ussi kamini ka hai. Sahi kaha tumne, uss ghatiya disco me ussi ke sath gayi main, uska wo botiqe center, aur phir wahan wo kamina sab. Waise bhi mujhe ab jine ki koi khas khwaish nahi bachi, par marne se pahle usse saaf kar dun”
Nain….. Shant ho jao. Tum kuchh nahi kar sakti abhi. Pata chala usse marne gayi aur phir koi naya kand kar aayi. Waise dusre tum se maze le, to fir mujh me kya burai hai….
Saily nain ki baat sun kar gusse se fufkar marne lagi….. Aankhen gusse me bilkul laal, aur pass para kainchi utha kar sidha uske hath me ghusa di. Ye sab itna chhanik tha ki nain sambhal nahi paya.
Nain….. Mera he khun baha do tum. Suno Saily tumhare is gusse ki wajah se tumne sab ko rulaya hai. Tumhe iss gusse ko kabu karna hoga aur sath me abhi tumhari isthiti nahi kuch bhi karne ki. Tum nashe ki gulaam ho gayi ho, pahle apne nashe se izad pao.
Saily, nain ke isharon ko samjh gayi, lekin uska yahi kahna tha … “Mujhe tabtak chain nahi milega jabtak main badla na le lun”
Nain ne Amit ko bula kar report file de diya…. Report file dekh kar Amit muskurane laga….
Nain…. Kya dekh rahe ho Amit
Amit…. Kuch nahi sir, pahli baar aap ko kisi ka favour karte dekh raha hun..
Nain…. Amit hum imandari se logon ki sewa karte hai, to thode apne friends & family ke liye paksh-paat kar he liya to kya bura kiya. Crime nahi ki thi isliye isse consider kiya ja sakta hai.
Amit ke jane ke baad discharge ki sari formalities puri hui. Sab log wahin se sidha nain ke flat pahunche. Sab bas Saily se baat karne me lage the, aur nain ko apne purane dino ki yaad aa gayi.
Sari ghatnao me Saily ne sab kuch kar ke to manphi mang liya, par nain par lagaye ilzam ke ghatna se lekar ab tak ke bich ka jo dard mila tha usse uska kya. Saily to phir gair thi lekin Gaurav, wo to dost tha…. Dono ek sath kai sal gujare the…..
Mahol gum-gin tha… Nain kitchen me gaya, fridge se ek wine ki bottol nikali aur jaldi-jaldi do pak mar liya. Baitha bas purane dino ko yaad kar raha tha…
“Kya main ander aa sakta hun”…. Gaurav ne bare dhime aur sankoch bhare awaz me puchha. Nain hath ke isharon se usse bulaya…. Gaurav bhi uske pass bas chup-chap baith gaya.
Nain…. Kaise ho Gaurav
Gaurav….. Thik he hun.. Tu kaisa hai
Nain….. Bilkul mast, bindas ji raha hun…
Phir se khamosi, ek aur pak nain ne banaya, Gaurav bhi pass para ek glass utha liya aur nain ke aage badha diya…. Nain ne usme ek pak dal diya…. Dono ek sans me pikar glass niche rakh diye.
Gaurav bagal mud kar nain ke gale lagte….. “Manpf kar de yaar ladki ki baton ne akal par parda dal diya tha…. Main samjh nahi paya kya sach hai aur kya jhoot”
Nain….. Jante ho Crazy boy sabse jyada dard kya deta hai, jispar sabse jyada bharosa ho wahi sabse pahle bharosa tor de. Kisi ki baten utni buri nahi lagti jitni apno ki lagti hai. Isliye ab mere pariwar ke alawa koi mera apna nahi. Sara jahan mera dost hai, aur ab kisi ki baten chubhti nahi.
Gaurav…… Sorry yaar ab galti to insan se he ho jati hai na…
Nain chillate huye….. Bhai mana tha tujhe maine, dard nahi hota dost, kisi ki baat ka dard nahi hota. Galti ho gayi thi mujh se jo maine tujhe bhai mana… Yadi na mana hota to chubhti nahi baat. Mere charecter ko uchhala gaya tha…. Rahi baat manpfi ki to mere dil me biti baton ke liye koi jagah nahi.
Nain ke chillate he sare log kitchen me jama ho gaye… Hospital ki baton se Saily ko laga tha nain ke dil me biti baton ke liye koi gum nahi, lekin yahan jab uski baten suni to usse ehssas hua ki uss din ki ki hui baten nain ko aaj tak chubh rahi hai.
Anu….. Jab se Delhi wapas aaya hun main to darsak ho gaya hun… Sab aapas ki gile sikwe kahe pare ho, mujhe bhi koi samjha do kya ho raha hai, thoda main bhi situation enjoy kar lun..
Anu ki baten sun kar Vasu usse aanken dikhati shant hone ke liye kahi… Riti ki najar jab wine aur glass par gayi to gusse me kahne lagi….
“Aap ye sab kya pi rahe hain. Hosh me to bare pyar se baat kar rahe the in logon se, aur do pak pite he ander ka janwar bahar aa gaya”
Gaurav…… Bhabhi do pak nahi char pak piya nainu ne….
Vasu….. Hoooo Riti char pak piya nainu ne, waise Gaurav kitna achha hai dekh tujhe bhabhi bula raha hai.
Riti…. Thank you devar ji. Iss nainu ki to khabar main leti hun. Kyon Mr. ye sab kya hai aur pi kar kya nautanki kar rahe ho. Bechare devar ji kitna ro rahe hain… Unke aanshu nahi dikh rahe. Ek to Saily ne rulane me isse koi kasar nahi chhori, upar se aap bhi…
Nainu muh latkata hua…. Sorry, wo biti baten yaad aa gayi to main thoda sa pi liya…. Par main bhi kya karoon … In dono ki wajah se mujhe wo jagah chhorni pari thi… Itni aasani se bhula dun baat.
Gaurav….. To kya badla lega ab hum sab se…
Nainu…. Ja bhul gaya main sari baat. Par tujhe uske badle me tum dono ko ek kaam karna hoga.
Saily aur Gaurav dono ek sath puchhe …. “Kya”
Nain…. Saily ko nasha mukti kendr roj le jana aur wapas lana tumhara kaam hoga… Khair ye to tum kar he lete. Lekin uss se bhi muskil hoga isse nashe ke chijon se dur rakhna…. Chahe kitna bhi roye girgiraye tum iski ek nahi sunoge…
Gaurav…. Hmmm ! Main wada karta hun aisa he hoga…
Nain….. Aur tum Saily… Yadi tumhe apne sath huye har baat ka badla lena hai to tumhe pakke irade ke sath pahle nasha chhorna hoga…. Jis din mujhe yakin ho gaya tum nasha chhor chuki ho mera wada hai main tumhe uss se badla lene ka pura mauka dunga…. Tabtak dono sath raho aur Gaurav tumhe madad karega nasha se mukti dilane me.
Anu…. Nasha se mukti dilane ke liye dono sath rahenge…. Ye saza hai ya maza hai… Nainu bhaiya ki jay ho.
Anu ki baat sunkar sabhi hasne lage… Utne me Vasu bhi bol pari…. “Sp saab aap sab to kaam bant liye aur humara kya hoga”
Nain…. Tumhe pata nahi Vasu, Anu yahan ek flat bhi le chuka hai… Dwarika sector 1 ke pass. Afsos hai ki ye tumhe koi baat batata nahi…. Aur Riti ab akeli hostel me rah kar kya karegi…. Mera flat khali he rahta hai, yahin rahegi… Mujhe bhi bahar ke khane se mukti milegi…
Riti…. Chalu nainu… Koi kahin nahi jayega…. Main nainu ki sari baton par stay lagati hun… Saily hum dono ke sath he rahegi aur humara kaam hoga isse un sab chijon se dur rakhna… Haan baki nasha mukti kendr le jana aur lane ka kaam Gaurav ka hoga.
Vasu…. Sach kahi Riti. In ladkon ko to bas mauka chahiye…. Bhukhe bheriye kahin ke … Hamesa sikar ki talash me rahte hain… Aur iss Anu ko to main batati hun… Thanks nainu ek aur information ke liye.
Anu…. Sweetyyyy.. Sach me main tumhe surprise dene wala tha, lekin pata nahi nain har baat pahle se kaise janta hai… Meri bahut khabar le li, ab plz aur khabar mat lena…
Gaurav…. Tum logon ko sayad pata nahi, lekin nainu ki baton ko yakin mat karna…. Ye jhagra laga kar maze lene walon me se hai….
Nain…. Oyee crazyboy careless kahin ke, hum sab ke bich se Saily gayab ho gayi kisi ne dhyan bhi diya. Mehfil lagti hai to jo baat na kare usse log ignore he kar dete hai. Waise suno iss waqt Saily ko tum sab ki jyada jaroorat hai…. Jyada se jyada sath raho…. Aisa main kyon kah raha hun .. Wo jab abhi tum log dekhoge usse to khud samjh jaoge.
Sab log Saily ko dekhne nikle… Saily dusre kamre me baithi mili. Sab ko nain ki baten samjh me aa gayi ki wo kya kahna chah raha tha. Saily apna bal noch rahi thi … Kisi pagal ki tarah idhar udhar kar rahi thi… Uski talab itni badhi hui thi, ki uski bechani dekh kar sab ke hosh urr gaye.

Please complete the required fields.