Update 69
Saily ki chintaon ne aisa Gaurav ka dimag kharab kiya, ki phir wo bhul he gaya, ki kya dr, aur kya hospital … Phir jo hua wo koi hungame se kam nahi tha… Par wo aadmi Gaurav ke sare kosison ke baad bhi ek rahasya he bana hua tha…..
Gaurav gusse me aankhen laal karta dr se kahne laga…. Dekhiye, ye aap sab ki mili bhagat hai, jaroor Saily ke sath kuch hua hai, jo aap sab chhipa rahi hain, sidhe-sidhe bata dijiye, warna achha nahi hoga….
Gaurav ki tej awaz sun kar, wahan log ikattha ho gaye, Gaurav ka gussa pure uffan par tha, aur gusse ki hunkar bhadi sansen lete huye dr ko dekh raha tha.
Dr….. Dekhiye, aap ke chillane ya hungama karne se kuchh nahi hoga, yadi aap ko aisa he lagta hai ki maine ya humare hospital ke kisi bhi dr ne koi galti ki hai, to bula lijiye police, wahi iss baat ko tay kar legi kaun galat hai kaun sahi. Kha-m-kha chillakar yahan hungama mat khada kijiye, warna majbooran aap sabko yahan se mujhe nikalna padega…
“Sorry madam, Saily ki haalat dekh kar, Gaurav thodey gusse me hai, isliye bhadak gaye. Main inki ore se manphi mangti hun, aap please gussa na kijiye”…. Riti, badi masumiyat se Gaurav ka bachao karti dr se vinti karne lagi.
Gaurav…. Koi jaroorat nahi inse aise pyar se baat karne ki. Ab to inka faisla police he aakar karegi.
Jitne dost the sab samjhate rah gaye, “police ko call karna bekar hai, Saily ko jab hosh aayega to wo khud bata degi”… Par Gaurav tha ki nahi mana, aur police ko bula he liya…
Police aate he sare mamle ki jankari leta hua, sidhe dr ke chamber me chala gaya, aur dr se taftees karne laga….
Dr… Sir, iss ladki ke sath kya hua wo main nahi bata sakti, maine kisi se wada kiya hai. Aur na he ye ladki ko pata chalega ki iske sath kya hua hai. Manph kijiye main asamrth hun.
Inspector… Madam, kya aap janti hain, aap ka ye bayan aap ko jail bhijwa sakta hai. Ek patients ki sahi haalat na batana, aur uske sath kya hua ye chhipana, dono he baten, kayi sawal pichhe chhirte hain.
Dr…. Haan pata hai, par kya aap ko pata hai ki ye case kiska hai, aur kaun isse yahan le kar aaya, aur sath he mujhe mana bhi kiya ki uss ladki ke haalat ka pata kisi ko nahi chalna chahiye…
Insector…. Kya koi minister ka case hai madam….
Ispector bahut he utsukta se puchhta hua, sayad ye kisi mnister ka case ho, to aaj to lamba hath lagega….
Dr… Ji nahi, koi minister ka case nahi hai, balki Mr. Nain ka case hai. Kahiye to main baat kara dun…..
Inspector ke jehan me jab Nain ka khyal aaya to uske mathe se pasina aur chehre se sikan saaf jhalakne laga, wo bina kuchh kahe he bahar chala aaya….
Gaurav kaphi jigyasa se inspector ki ore dekhne laga, wahan ke logon ke haalat ko bhapte huye, inspector kahne laga….
“Dekhiye aap sab bewajah padesan hain. Phir bhi, yadi aap ko lagta hai ki kuchh galat ho raha hai to main complane darj kar leta hun, par hum tabtak kuchh nahi kar sakte jabtak Saily ko hosh na aa jaye. Meri salaah maniye, aur unke hosh me aane tak thoda dhairya rakhiye”.
“Yadi koi galat hai to usse saza jaroor milegi, ye mera wada hai aap sabhi se, par tabtak please dr ko apna kaam karne dijiye aur hospital me shanti banaye rakhiye. Aap sab ke hungama karne se kuchh bhi hasil nahi hoga”…..
Sabhi Gaurav ko samjhane lage. Inspector ki baat sunkar, Gaurav bhi sahmat ho gaya, aur kuchh der hospital me rukne ke baad, sabhi wapas chale aaye.
Raste bhar, sabhi Saily ki haalat ke bare me chinta karte rahe, par Gaurav hataash chup-chap he raha. Gaurav ki iss haalat ko, Vasu bhali-bhanti samjh sakti thi, apne pyar ko koi kaise buri haalat me dekh sakta hai….
Vasu ne Riti ko aankhon se Guarav ki ore ishara ki, Riti bhi Gaurav ki mayus dekh samajh gayi, ki Gaurav ke dil ne kya chal raha hoga. Par dil ki tarap ko koi kya jaane, ki bina dilbar ke, har pal dil me aag lagi rahti hai.
Vasu, Gaurav ke kandhey par hath rakhti…. Yaar, ye rona ladkiyon ka kaam hai, tum kyon ganga-jamuna baha rahe ho….
Gaurav, thoda gambhir aawaz me bola…..
“Nahi Vasu, thoda sa udas hun bas. Dekh na kal maine usse gussa dila diya aur wo gusse me mujh se ruth kar chali gayi. Aur phir ye sab ho gaya. Main bas ander se guilty feel kar raha hun”.
“Bahut pyar karta hun na uss se, isliye kal mere phone kw respond na karne se chidh gaya, main bhi pagal he hun, thoda shant rah jata, aur pyar se mana leta kal, to aaj ye sab na hota. Vasu ander se itna guilty feel ho raha hai ki mujhe kuchh bhi achha nahi lag raha”.
“Lekin koi baat nhi, jab teen din baad hosh me aayegi, to usse bas main pyar se sorry he kahunga, aur kuchh nahi. Waise bhi wo ruthi rahti hai, to mujhe manane me bahut maza aata hai, par manaun tab na jab wo baat karegi, aur jabtak baat nahi karegi, marne-marne jaisa feel hota rahega. Mujh se to thik se sans bhi nahi liya ja raha hai, lagta hai dum ghut jayega”.
Gaurav ka bepanaah pyar sabko najar aa raha tha, sab bas Gaurav ki baten sunte huye bhawnao me bah gaye. Bas yahi dua thi upar wale se sabki, Saily aur Gaurav ki baat jald se jald kara de, warna ye afsos me roj til-til marta rahega.
Sab log hostel pahunche, aaj kisi ka bhi mann nahi lag raha tha, kisi kaam Chhote-bade jhagre sab apni jagah the, par sath ka koi aisi haalat me ho to dil me thodi to tarap rahti he hai.
Teen din baad, Saily ko hosh aa gaya. Ander se kaphi kamjor mehsoos kar rahi thi Saily, najar guna kar jab chari ore dekhi to, khud ko hospital me dekh chakit ho gayi. Baith kar bas wo tukur-tukur hospital ko he dekh rahi thi.
“Kaisi hai tabiyat tumhari”…. Dr ne Saily se puchha…
Saily…. Madam main yahan kaise pahunchi…
Dr…. Tumhara accidient ho gaya tha, raste par pari thi to kisi ne tumhe admit kar diya. Teen din se yahin ho….
Saily chaukti huyi …. Kya teen din…….

