Reading Mode

UPDATE 40

Par ab ek fresh start. deal done par ek shart par….
Saily…. Kya ?
Nainu….. Gaurav ko roj pappi deti ho, mujhe kam se kam jhappi he de diya karna
Saily…. Chhi, gande Nainu. Tumhari soch he gandi hai mujhe pakka yakin ho gaya. Dekhna ye puri chat main Gaurav ko dikha dungi.
Nainu…. Dikha dena, mujhe kya fark parta hai. Jhappi ka purposal accept ho to baat karo…
Iss msg ko dikhane ke baad Saily, apne mobile ki kuch recordings bhi suna di sab ko jo abhi-abhi purposal ke dauran kahi gayi baten thu…. Wo bhi kewal against Nainu ke he tha.
Bahut he shandaar dhang se Saily ne apne maksad ko anjaam diya tha. Uske dil me Gaurav ke liye kuch feelings ho ki nahi ho, lekin party wali raat ke liye jo nafrat Nainu ke liye thi wo uske badle ke roop me yahi tha… Dono doston ko alag karna.
Kamre me Saily bas recording sun’ne gayi thi, jahan kahin bhi laga ki ye nahi hona chahiye usse edit kar di, jab editing ho gaya to badi bechani se Gaurav ko bulayi aur door bell bajte he, usne apne pados me rah rahe Ankit ko ek msg send kar di…. Ghar aao jaldi musibat me hun…. Aur sara drama shuru ho gaya tha.
Planning to pahle ye tha ki Nainu ko phasna aur Gaurav ko alag karna hai, baad me Nainu ko bejjat kar ke dil tod dena. Par Nainu ka rujhaan kabhi Saily par tha he nahi, isliye sab ulta karna para.
Gaurav jab sath me tha tab surwaat me he Saily ne dono ki dosti par attack ki, par tab inke riste kaphi majboot the aur wahan har baar Saily ko he muh ki khani padi. Isliye anth me Saily ne apni chhal ulti ki, pahle gaurav ke parti apni parwah dikhana shuru ki.
Usse jyada se jyada apne pass aur Nainu se dur, sath me wo Nainu ke liye achha he bolti, jabki ulta Nainu he kai baar gussa dikhaya tha Gaurav ko Saily ke sath hone par.
Aam baat chit ke dauran huye mazak ko ek aise sazjis ke tahat pesh ki, ki ghut kar rah gaya Nainu. Kal bhi din me Nainu se milne ka matlab he itna tha ki, koi casual talk me usse kuch aur baten mil jaye Nainu ke khilaph istmaal karne me, kyonki nafrat ki aag usse bardast nahi ho rahi thi, aur wo jald se jald Nainu ko sabak sikhana chahti thi.
Par sayad kismat Saily ke sath he thi, randon ye jhagra aur Nainu ka Saily se contact karna, phir uske ghar aana…. Sab ussi ke favour me tha. Usse jyada mehanat bhi nahi karni pari.
Jab Ankit ke mom dad ne sawal uthaya ki kyon wo iss ladkey ko ab tak bardast karti aa rahi hai, aur aisa tha to isse ghar me kyon ghusne di … Iss baat par badi safai se Saily kah gayi….
“Main, Gaurav se alag nahi rah sakti, main mar jaungi iske bina, aur bas issi baat ke liye bardast kar rahi thi. Mujhe apne pyar par bhi gussa aa raha hai, ki usne Iss kamine ka pura msg dekha apne mobile me phir bhi isne isse kuch nahi kaha, ye to gair tha Gaurav tum to mere apne, tumhe kyon nahi samjh me aayi meri baat, aur rahi baat isse ghar me aane dene ki, to girgirata kahne laga bas main yahan manphi mangne aaya hun, apne kiye ki …. Manph kar do chala jaunga”.
Jab msg ki raat yaad aayi ki kaise Saily ne Gaurav ko uss raat ke baad msg nahi ki, tab dimag ne simple sa do calculation bitha liya….. Ek ki Nainu ki wajah se wo wapas kabhi msg nahi ki, aur dusri ye ki usne exam time isliye nahi charcha ki kyonki iss se padhai me badha hogi, jo Saily kabhi nahi chahti.
Gaurav gusse se aankhen laal pili karta hua… Saily ko apna mobile dekar bas itna kaha…. “Iss kamine ne msg puri delete kar di, nahi to main khabar usi din le leta, tum rona mat, iske kiye ki saza isse main dunga”.
Itna kah kar Gaurav, Nainu ke pass gaya… Collor pakar kar khinch kar do thappad diye, dhakka deta kahne laga…. Ander se itna kala hoga mujhe pata nahi tha, aaj ke baad shakal nahi dikhana apni, nahi to jaan se maar dunga.
Sara mamla Nainu ke aankhon ke samne chalta raha, par usne na to apne defend me kuch kaha aur na he safai dene ki kosis kiya, wo janta tha ki kuch sunane ki gunjayish nahi yahan par, bas do bund aanshu tab nikal aaye jab dost dur ho gaya.
Chupchap Nainu wahan se chala gaya, phir na to hostel me dikha aur na he college me, uska koi pata he nahi tha. Ye ek ladki ka badla tha jisne than li thi ki usse kisi tarah apna badla lena hai aur wo le bhi li.
In sab mamlo me lekin ek bhul ho gayi Saily se ki usse Gaurav ke bare me sabko batana para aur sath me ye bhi ki wo “mar jayegi uske bina”
Isliye Gaurav ussi ke sath he raha. Saily ke badle ki udan jitni unchi thi utni he uski chahat ne bhi udan bhara. Ussi saal aayi Priyanka Chopra ki “faishon” movie ne uske dimag par glamour world ka aisa bhut sawar kiya ki wo faishion desiner ban’ne ka faisla ki.
Aaj Gaurav aur Saily dono sath me Delhi ke liye nikal, dono faishon desiner ban’ne kyonki jo Saily ki chahat thi wahi Gaurav ki bhi……

Please complete the required fields.