Anjaan Rahen ~ A Passionate Love – Update 29

Anjaan Rahen ~ A Passionate Love
Reading Mode

UPDATE 29

Hostel pahunchne ke baad to jaise raat bhari ho gayi ho, aur Gaurav ki aankhon se nind koso dur ho. Guarv bas khuli aankhon se upar chhat ko dekte huye…..
“Hayyy ! Kya muskaan thi, ufff ye kya komal nirmal honth, aur hasne ki wo adaa … Main to lut gaya. Ahhh ! Aaj tak kisi ka carzyboy bolna achha nahi laga, aur aaj lagta hai kaash mera orignal naam he crazyboy hota. Pata nahi mere bapu ko kyon na ye naam sujha. Jaanu tum kab iss dil ki dhakan bani pata he nahi chala, ab to lagta hai ye jiana marna tere sang”.
Gaurav ke dil ke armano ne aisi aanhhh bhari ki raat uski puri karwaten badal-badal gujri. Khyalon ka daman itna gahra tha ki nind ka sath chhut gaya, aur jab din me class attend karne gaya to nini rani ne basera dal liya. Kyonki ring, piston aur engine sun’na waise he boring tha upar se raat bhar ka jaga.
Faculty ne bhi kya khub punish kiya, Gaurab ko apne jagah par kahdey hokar attend karne ke aadesh mile, aur sath me mila extra assignment. Bechara, aaj raat chhat ko dekhte apni hussn-e-mallika ko yaad bhi nahi kar sakta tha.
Idar Ankit aur Saily wapas laut’te waqt college se apni jab bahas kar rahe the to Ankit ki charchaon me bas Gaurav he tha, aur wo Saily ko chherte huye …
“Kyon jungli, lagta hai tere bf ki talaash khatam ho gayi.”
Saily……. Jyada bola to tere baap ko teri aur Archna ki kahani bata dungi. Mote tu kya soch kar bola ye.
Ankit ….. Arre sochna kya hai, tu bhi pagal aur wo tera naya poet dost, uska to naam he crazyboy hai. Dono pagal, kundli to bhagwan ne he upar se bana kar bheji hai.
Saily…. Chup kar jyada ulta bola to, muh tod dungi.
Sam ke 7.30pm ke karib Nainu, Gaurav ko sath lene pahuncha uske kamre, dono sam ke iss waqt sath ghuma karte the, par aaj Gaurav ne assignment pura karne ki duhayi dekar ghumna tal diya.
Raat bhar ka jaga hua aur uske baad padhai karna kaphi mukil kaam tha, Gaurav na to so pa raha tha uar na he assignment puri kar pa raha tha, 8pm bajte-bajte Gaurav ne ghari ka alaram 1am baje ka set kiya aur finally sone ki taiyari me lag gaya.
Abhi bistar par leta he tha ki Gaurav ke mobile ki ghanti baji, char galiyan deta phone ko liya hath me, aur display par naam dekh kar teji ke utkar baith gaya aur do baar aanken mijte phir se dekha dispay……
Display bhi sahi tha aur naam bhi, magar kuch jo nahi sahi tha wo tha wo Gaurav ke dil ka aalam. Jiski ummid uske jahan me bhi nahi thi wahi ho raha tha, Saily ka phone…. Gaurav phone pick karte huye ….
“Main kya sapna dekh raha hun, ya aap wahi khubsurat mohtarma hain, jiska naam Shrylin hai”
Saily…. He he he he, ji bilkul mr. Carzyboy.
Gaurav…. Ummid se pare hai aap ka call, mere khayalon ke bhi kabhi aisa nahi tha ki aap ka call aane wala hai.
Saily…. Thik hai, main call disconnect kar rahi hun.
Gaurav… Kya koi bhul ho gayi, jo aap naraj ho gayi.
Saily…. Nahi aisi koi baat nahi, lekin jab se call pick kiye hain, ek he sawal par baat kiye ja rahe hai, ki call kaise aa gaya. Matter ye nahi ki call kaise aaya matter ye hai ki call kyon aaya, aur aap hai ki mukhya mudde ko chhor kar galat mudde uthaye hai.
Gaurav…. Oopsss ! Duffer he hun main. Sooo sorry miss. Btaeye banda aap ki kya khidmat kare.
Saily…. Treasure Island (shopping mall) aayi thi, aur mera bag uthane wala koi nahi. Feeling lonliness, socha kyon na crazyboy ko yaad kar liya jaye.
Gaurav…. Woo hooo ! Bilkul sahi number dial ki hain aap. At your service miss. Abhi aayaaa….
Saily hasti hui phone rakhi aur akeli mall ke gate par fulki ka aanand lene lagi. Bahar khadi aate jate couples ko dekh rahi thi aur kuch khoyi thi. Pichhe se aisa laga jaise uske gardan par koi funk raha ho. Saily palti … Aur Gaurav ko dekh kar muskurati hui …
“Thanks, thoda akeli feel rahi thi. Sorry yadi aap ko distrub kiya ho to”
Gaurav….. Mere hote huye aap akeli feel kaise kar sakti hain, bura to tab lagta jab aap ye khud ko akeli feel karti. Mere hote huye khabrdar jo kabhi akeli feel kiya to.
Na jane Gaurav ki baat sun kar kya hua Saily ko, jaise laga ki issi tarah ki baton ki najane kab se talaash thi. Koi ho uska bhi, jo uski care kare. Usse pata nahi kya hua Gaurav ki iss ek baat se. Aankhon me do bund aansu aa gaye aur sine se lag gayi Gaurav ke.
Gaurav ko to na jane kya hua, uske liye ye adbhut chhan tha, sayad dil ke haal ne itni bhi siddat nahi dikhayi thi ki chand mulakaton me uski husn ki mallika uske sine se lag jaye. Jaise koi chamtkaar ho raha ho ya phir kuch chahten Saily ki bhi thi.
Gaurav kho sa gaya iss pal me, par kuch he der me ehsaas hua ki wo dono kisi public place par hai, aur log unhe dekh rahe hain, kandhe ko sahlate huye ek khumari bhare swar me Gaurav ne Saily ko vastvikata se awgat karaya.
Khamosh Saily alag huyi, palken upar kar ke ek bar Gaurav ko dekhi, air najren jhukate huye shanti ke bhaw se sirf sorry bol kar dono khamosh ek dushre ko dekhte rahe.
Gaurav…. Arrree, hum yahan bahar khambe ki tarah kyon khadey hain.
Saily….. Matlab…
Gaurav… Matlab ye miss ki mujhe laga aap kuch shopping karegi, aur main bag utha kar aap ke pichhe-pichhe chalunga, par aap hain ki bahar khadi hain.
Saily pyari si ek muskan apne chehre par bikherti huyi…. Oo, bhul he gayi, chalen shopping par.
Dono ne 10pm baje tak shopping kiya. Gaurav ki baton par pure samay Saily hasti he rahi, aur pure shopping ke dauran Saily ko entertain karta raha Gaurav.
Saily ko uske ghar ke pass chhor kar Gaurav wapas hostel jane ke liye nikla, do kadam aage jakar ek baar pichhe mur kar dekha, Saily apne darwaje par khadi usse he jate dekh rahi thi.
Gaurav jab ye dekha ki Saily ab bhi darwaje par khadi usse he jate dekh rahi hai, to usne apne balon par hath ferte chehre par ek cute sa expression diya, aur hath hila kar bye bolte phir mur gaya.
Kuch dur fir aage gaya, aur fir ek baar pichhe mura. Dono he muskura rahe the ek dushre ko dekh kar, aur dono ke dil ke haal ka andaj-e-bayan usnki pyari si muskaan kar rahi thi.
Haal kya jane dilon ka, jo ishaq ki kasak paida ho gayi iss dil me. Ab to kisi ke na hone par bhi Gaurav muskurate chala ja raha tha. Jab jab yaad karta ki Saily uske sine se lipti royi thi, ander ke bhaw aise umarte ki sadak par he khada nachne lagta.
Aaj to gaurav ke liye sara jahan jhoom raha tha, aur masti me nachta Gaurav hostel pahuncha.

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply