Update-7
**Charo taraf lashe hi lashe padi hue hai aur uske bich me ek ladka hath me chaku aur axe jo khoon me bilkul sane hue hai khada hai
Uska chehra thik se dikh nahi Raha kyuki chehra bhi pura khoon se lath path hai
Apne baju se muh par Laga khoon saaf karte hue vo aage chalne Laga vaha etni Jada lashe the ki usse chalne me bhi problem ho Raha thi
Badi muskilo se lasho par pair rakhte rakhte vo bilkul saamne pahuch Gaya jaha par ek aadmi buri tarah jhakmi halat me pada hua tha
Uske chehre par Dard aur dar saaf dikh Raha tha
Aadmi- kya soch Raha hai ab
Sab Ko to tune maar diya
Ye kaam khatam karde ab
Ladka Jor Jor se haste hue
Etni bhi kya jaldi hai
Essi me to maza hai
Jab dusre log Dard aur dar dikhate hai tabhi to Dil Ko Khushi milti hai
Vohi to main chahta hu
Aadmi- tu Insaan nahi havan hai
Havaan
Ladka- sahi pahchana aur tune us hawan Ko jagaya hai
Ab ye hawan teri jindagi me aisi hawaniyaat laega ki log aage se Hazar bar sochenge meri havaniyaat jagane ke liye
Vo Abhi aur kuch bol pata vahi dhay dhay ki aawaz hue aur us aadmi ne aapne aapko Goli mar li**
Esse ke sath jey jhatke ke sath apni nind se utha aur sarir par aaye pasino Ko pochte hue
Jey- ye nightmare sale ek din Jaan lelenge
Meri nahi re kisi aur ki
Ab nind uski aankhon se kooso door thi esliye uth kar bahar Aya aur hall me bane bar se ek daru ki bottle uthae aur vaha se chalne Laga
Dad Ko pasand nahi koe unki chhije Bina puche le
Piche se ek awaz aae
Jey aawaz Ko ache se pahchanta tha esliye Bina mude hi
Jey- ye mere liye hi banaya Gaya hai
Aur vaha se chal diya aur vo aawaz bhi uske sath sath chalne lagi
Aur ruki uske kamre me
Nisha ha ye aawaz Nisha ki hi thi
Nisha- to maine bahut socha ki aap kon ho sakte ho
Sabse pehle khayal aaya bhai ka
Par humara koe bhai nahi tha
Fir socha step brother ho Sakta hai par mere se bade ho matlab nahi
Kyuki aapne bola tha ki main janti hu to vo bhi nahi ho sakte
Fir dimag par Jada Jor diya to kuch nahi pata chala aur dimag kharab hua vo alag
Humare mostly relatives Jinda nahi hai aur Jo Jinda hai unka kuch aata pata nahi hai to relatives bhi nahi ho sakte
Ab baari aati hai koe Bachpan ka dost
Par main to yaha kabhi Rahi nahi aur bachpan ki koe yaadein bhi nahi hai to mujhe nahi pata chala
End me main es natije par pahuchi ki I’m sorry mujhe nahi pata aur Masoom chehra Bana kar jey ke bed par bath Gaye
Jey jo apna dusra peg khatam karne wala tha
Jey- to tumhe Apne bachpan ke bare me kuch yaad nahi hai
Ye kaise ho Sakta hai
Sabko apna bachpan hi Sabse Jada pyaara hota hai
Nisha- ha par kisi Ko kuch yaad nahi rahta
Vaise us din jis tarike se aapne mujhse baat ki mujhe bilkul acha nahi Laga
Jey-I’m sorry
Gussa aagaya tha
Aage se Aisa nahi hoga
Agar tum chaho to Apne dad se bol Sakti ho unke do char thapad sayad tumhe Khushi de
Nisha- mujhe kyu Khushi milegi agar vo aapko mare to
Mujhe to bahut dukh hoga
Main bas sorry se hi kaam chala lungi
Jab jey ki taraf se koe reply nahi aaya tab
Nisha- to aap nahi bataoge ki aap kon hai
Jey- ek hi sawal Ko Baar Baar nahi pucha jata jab aapko answer pata ho
Nisha- answer kaha pata hai
Aur Jo pata hai vo sahi nahi hai
Jey- I don’t understand why you are so much worried about a gulam
Nisha- I hate you and I hate you more when you said yourself a gulam
Jey- I said because I’m
Nisha- no you are not
Jey- you know what maine expect Kiya tha ki tum sharati, hasmukh hogi par tum to serious nikali
Es ghar me do serious hi khafi hai aur ki jarurat nahi hai
Nisha- aapne kaise expect Kiya aur aap kaise jante the mere bare me
Jey- okay let’s make a deal
Ask me anything about you
I mean anything
Agar maine sach bataya to tum Abhi mere room se Chali jaoge aur vapas kabhi raat me nahi aaoge aur agar sach nahi Bata paya to I will tell you everything
Nisha- pagal samjha hai kya
But let me rephrase it
Agar sach bataya to Abhi ke liye Chali jaungi par Baad ke liye promise nahi kar Sakti
Aur agar juth bataya to you have to give me a kiss
Muskurate hue boli
Jey ne socha aaj ke liye to musibaat talegi
Jey- okay but only one question
Nisha- par main kuch bhi puch Sakti hu
Jey- only about you
Kuch bhi
Nisha- okay
Aaj vo bahut Jada excited hogaye thi
Man me dosto ke bare me pata ho Sakta hai, school ke bare me bhi, boyfriend Ko tha nahi,kaha rahti thi aur kiske sath ye bhi pata ho Sakta hai
Kya puchu kya puchu
Are ha marks
Marks vo bhi subject wise mujhe khud mere marks yaad nahi rahte esko kaise yaad honge
Par agar hue to
Kya pata dad ke paas marks sheet jati ho
Fir usne socha chalo bluff karte hai
Nisha- a common thing about my pet and my boyfriend
Jey smile karte hue utha aur gate khol diya
Nisha Ko Jane ke liye Ishara karne Laga
Nisha jey ke chehre Ko dekh kar hi samjh Gaye ki esse answer pata hai vo khud Ko hi galiya dene lagi
Nisha dheeme dheeme chal kar gate tak pahuchu bahar nikal kar
Nisha- pehle answer to do
Jey- you never had a boyfriend nor a pet
Aur gate band kar deta hai
Nisha bechari ka Sara excitement hi khatam ho Jata hai
Sad face Bana kar Apne room me Chali jati hai aur sochne Lagati hai kal ke liye question
Aur sochte sochte so jati hai
Subah breakfast par
Priya- dad maine kuch list banae hai un logo par mujhe Shak hai
Thakur- acha kaam Kiya beta
Tum jey ko leke chale Jana aur ha yaad rakhna usse sirf jarurat ki chhije batana
Priya- samajh Gaye dad
Par un logo ka kya karna hai
Thakur- ab tum Sambhal Rahi ho to tum jano kya karna hai
Priya- aaj meeting Karti hu sabke sath fir dekhte hai kya karna hai
Thakur- jaisi tumhri marji
Fir sab Shanti se breakfast karte hai aur Apne Apne kaam ke liye nikal jate hai
Priya jey Ko lekar factory aajati hai aur jey Ko bol kar jo list usne tayar Kari thi un sabko meeting hall me bula leti hai par jey Ko bahar hi rahne deti hai
Usse dar tha ki Kahi jey Ko pata chal Gaya to vaha kya ho Sakta hai
Under kya baate hue na jey Ko pata hai aur na mujhe vo sayad room me hi rah Gaye karib ek do gante Baad Priya bahar nikali aur uske piche piche bake sab log jinke chehre par dar saaf jhalak Raha tha
Bahar aate hi
Priya- lo yaha ka to kaam hogya ab humare paas bahut time hai gumne ke liye
Chalo Kahi chalte hai
Jey- ghar chale
Priya- ghar to har roj jate hai
Chalo Kahi gumne chalte hai
Kya apni behan Ko gumaoge nahi(behad pyaar se bolti hai)
Aur jey mana nahi kar pata
Aur vo log factory se nikal kar aise hi shadko par ghadi gumane lagte hai kyuki jey Ko pata nahi tha ki Jana kaha aur Priya sehar me new thi
Jey to gumne ke liye Kahi bhi shant jagah par bath kar daru pee leta tha esse Jada usne na kabhi socha aur na kabhi Kiya
Priya- kab se yahi car guma rahe ho
Kahi chalna nahi hai kya
Jey- aap bataoge tabhi to chalunga
Priya- main to new hu yaha
Tumhe pata hona chahiye jagah ke bare me
Kahi bhi chal lo bas Jada bhid nahi honi chahiye
Jaha Shanti se kuch der bath sake
Ya fir ek kaam karo vo us din wali jagah par hi chal lo vo thik rahega
Bahut Shanti rahti hai vo to us din un lafango ne Maja kharab kar diya nahi to khub enjoy kar rahe the
Jey bhi Bina kuch kahe us side me car guma deta hai aur halki fulki baate karte karte vo jagah par pahuch gaye
Priya- tumhe ye jagah bahut pasand hai na
Jey-hmmm
Priya- sayad kuch purani yaadein Judi hue hai
Jey- kind of
Priya- acha us din tum kisi ladki ke bare me Bata rahe the fir achanak badhak Gaye
Kon hai vo batana chahoge
Jey- main bhi kabhi ek aam Insaan hua karta tha
Hasta tha,khush rahta tha khub Masti bhi karta tha
Akela tha par khush tha par fir ek din jindagi me vo aae pata nahi kyu aae par sath me mera sab kuch leke Chali Gaye
Maine kabhi kisi Ko nahi bataya ki yaha Aakar maine jo bhi Kiya kyu Kiya par asliyat ye thi ki main gusse me tha main toota hua tha aur mujhe sab Apne dusman najar aane Lage the
Mujhe pyaar karne wala koe nahi aur na koe samjhane wala tha
Main bas ek tuta hua Insaan tha jisne apni insaaniyaat kho di thi aur usse pata bhi nahi chala ki kab vo ek shant hasmukh ladke se havaan ban Gaya
Main usse belame nahi karta Esme uski koe galati nahi thi
Galati meri hi thi ki mujhe usse pyaar hogya tha aur uske liye I’m just an another person in her life
Maine hamesha yahi sochta tha ki jo maine Kiya vo sabki vajah vo thi par ye sach nahi tha
Sach ye tha ki jo main aaj hu that’s who I’m and that’s who I always was
Mujhe bas ek mokke ki talash thi aur usne bas mujhe vo mokka de diya aur fir maine kabhi piche mud ke nahi dekha
I don’t know why I’m telling you all this may be you are the only one who can understand or you are the only one who always understand..
NOTE- you guys wants to guess something??
There is a hint in this Update

