Dead Never Lie ~ A Love Story – Update 18

Dead Never Lie ~ A Love Story - Written by shakespeare002
Reading Mode

Update 18

Shruti kone mein khadi khadi sookhe patte ki tarah kaanp rahi thi.. Aatank ke mare uska gora chehra peela padne laga tha.. Rah rah kar usko ghar mein uska intzaar kar rahe apne bapu ki yaad aa jati aur wah sisakne lagti.. Ab tak toh uske liye chinta bhi karne lag gaye honge…

“Mem’shaab khana!” Darwaja kholkar andar aaye Bhagwan daas ne table par ek thali rakhte huye kaha.. Ek baar Shruti ke man mein aaya ki wah bhagne ki koshish kare.. Par uske kadmon ne uska sath nahi diya.. Usko bhagwan daas ki baat yaad aa gayi.. ‘sahab ne mujhe bata rakha hai ki aap bhagneki koshish karein toh mujhe kya karna hai…’

sahmi huyi Shruti ne khane ki aur dekha tak nahi.. Bhagwan Daas ke wapas jate hi wah apne aansoo ponchhte huye bistar par jakar baith gayi…

—————————————–

“Toh kya baat huyi uss ladki se?” Rohan Nitin ke paas akele mein baitha tha…

“kuchh khas hasil nahi ho paya… Usko ghar jane ki jaldi thi aur wo gidgidane lagi.. Mujhe uss’par daya aa gayi aur maine usko jane diya… Fir milne ka wada lekar…” Nitin ne badi safayi se jhooth bola…

“Mujhse ab aur intzaar nahi hota bhai.. Main kal subah hi Punjab ja raha hoon.. Chal na mere sath.. Maine mummy papa se bhi poochh liya hai…” Rohan ne Nitin se sath chalne ka aagrah kiya…

“kya bataya tune unko? Tujhe sapne mein unki bahu mil gayi hai?” Nitin kahkar zor se hansa…

“main pagal hoon kya?”Rohan ne Nitin ki baat khariz ki..

“toh?”

“bus bol diya aise hi kuchh.. Tu bata na.. Sath chal raha hai na?” Rohan ne Nitin se fir poochha….

“Kyun? Wahan bhi bhoot woot milne ke chance hain kya?” Nitin fir se hansa..

“mera majak mat bana yaar.. Tujhe pata hai mujhse itni lambi driving nahi hogi.. Aur driver ko main lekar jana nahi chahta… Chal pado na bhai…” Rohan ne asli wajah batayi…

“dekh mere paas ek din se jada ka time nahi hai.. Tujhe khud hi kuchh karna padega….” Nitin ne saaf mana kar diya…

“waise toh maine Ravinder ko sath chalne ke liye mana rakha hai.. Par jana padega bus ya train mein….” Rohan ne sapast kiya…

“toh kounsa pahad toot jayega.. Chala ja.. Driving ka jhanjhat hi khatam.. Chal abhi main chalta hoon.. Subah jaldi uthkar ek kaam niptaana hai…” Nitin kahte huye uth gaya…

Rohan usko darwaje tak chhod kar aaya aur wapas aakar apne bister mein dubak gaya….

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply