Reading Mode

Update 15

“main aaj hi chala jaaun ghar? mummy bhi chinta kar rahi hongi..” Rohan uske khurapati dimag ki karastaniyon ke chakkar mein nahi padna chata tha…

“ye toh aur bhi achchha rahega.. waise bhi mujhe aaj tujhe wapas bhejna hi tha… gadi dekar.. par ab toh tujhe taxi karni padegi…” Nitin ne khush hote huye kaha….

“wo koyi problem nahi hai… bus tu dhyan rakhna.. uska najayaj fayda uthane ki koshish mat karna.. bechari bahut masoom hai..” Rohan ne gadi se nikalte huye kaha…

“tu chup rah na yaar.. main kounsa uska balatkaar karne wala hoon.. kuchh poochhna hi toh hai.. haan.. apni marzi se degi toh fir tujhe koyi problem nahi honi chahiye.. theek hai na…” Nitin hanste huye bola…

Rohan ne koyi jawab nahi diya.. wo chupchap Nitin ki aur dekhta raha… beshak Nitin ne koyi galat kaam na karne ka wada kiya tha.. par usko jabardasti raat bhar roke rakhna bhi toh balatkaar se kam nahi tha.. kitni najuk aur kamsin hai bechari.. soch kar hi Rohan ka mann rah rah kar gadi se utar jane ko kar raha tha.. par ‘Neeru’ ki sachchayi jaan’ne ki utsukta usko kuchh bhi karne ya kahne se rok rahi thi.. Nitin ne jo tark usko iss mayavi rahasya ko sazish sabit karne ke liye diye the.. kahin na kahin uske mann mein bhi kahin koyi gadbadi hone ki aashanka ghar karne lagi thi….

“fir bhi yaar..” Rohan ab bhi Nitin ki jid ke khilaf tha…

“chinta mat kar yaar.. tujhe pata hai.. main dil ka bura nahi hoon…” Nitin ne Rohan se hath milaya aur gadi start kar di….
—————————-
college ke gate par ghanta bhar intjaar karne ke baad ussko Shruti bahar aati dikhayi di….

“oye.. aa gayi….” Nitin ne mann hi mann kaha aur gadi start kar di…

“chakk le beta..” badbadate huye Nitin ne Gadi thoda aur aage karke usi taraf le gaya jahan Shruti road cross karke aane wali thi…

shruti ne gate se bahar nikalte huye hi unki gadi pahchan li thi aur Nitin ko bhi apni aur taakte dekh liya tha.. usne apna sir jhukaya aur usko najarandaj sa karke college se thoda aage gayi hi thi ki Nitin ne gadi uski barabar mein rok di,”Hi Shruti!”

Shruti ne tirchhi najar se Nitin ko dekha aur bina kuchh bole aage badh gayi.. Nitin ne ek pal bhi nahi ganwaya.. fatafat gadi se utra aur tezi se chalkar uska raasta rok kar khada ho gaya,” main bhi gaanv hi ja raha hoon.. aao na.. baith jao..”

“Shruti ne najrein uthakar Nitin ko ghoora,” mujhe jane do.. main bus mein hi chali jaaungi.. hato mere raaste se..”

“tum toh bewajah uss baat ko dil par le rahi ho.. wo sirf hulka sa majak tha.. agar main serious hota toh tumhe yahan kyun chhodta.. maan bhi jao.. main wahin ja raha hoon.. gaanv mein..” Nitin ne usko pyar se mana’ne ki koshish ki..

Nitin ki baat ka hulka sa asar usko Shruti par hota dikhayi diya.. uski aankhon ke jhuk jane se ..

“tum samajh kyun nahi rahe ho? ye mera college hai.. yahan sab mujhe jaante hain.. koyi kya sochega..? pls hat jao aur jahan jana hai chale jao.. main bus mein ja sakti hoon.. roz hi jati hoon… pls mujhe jane do..” kahte huye Shruti ne anunay ki mudra mein hath baandh liye…

Nitin ko bhi uski baaton se baat ban’ti dikhayi di..,” Mujhe pata nahi tha ki tum itni komal hriday ho ki jara se majak se tum aahat ho jaogi.. maine toh sirf ‘apna’ maankar majak kiya tha.. yunhi.. tumhare sweet se chehre par gussa bilkul bhi achchha nahi lagta.. kaho toh main yahan sabke saamne kaan pakadne ko taiyaar hoon.. par pls.. maaf kar do.. aur maan jao.. aayinda kabhi aisi galati nahi karoonga.. tumhari kasam…!” aur Nitin sach mein hi apne kaano ko hath lagakar khada ho gaya…

Shruti sharminda si ho gayi.. halanki Nitin ki kahi baaton ne uska dil chhoo liya tha.. fir bhi.. wahan sabke saamne gadi mein baithna asambhav tha.. pahle hi usko apna tamasha banta najar aa raha tha.. jane kya sochkar Shruti ke munh se nikal gaya,” thodi aage aa jao pls.. yahan mera yun tamasha na banao.. kahkar wo uski bagal se nikalkar aage badh gayi..

Nitin khushi se uchhalta hua gadi ki aur badha..

Nitin dheere dheere karke gadi aage badha raha tha…

bus-stand kareeb aate hi Shruti ki chal dheemi pad gayi thi.. shayad usne man bana hi liya tha, gadi mein baithne ka.. uske Nitin ke paksh mein faisla karne mein iss baat ne aham prabhav daala ki unhone subah usko sahi salamat College chhod diya tha…

“aa jao ab!” Nitin ne gadi uski barabar mein rok di…

Shruti ne jhijhakte huye sadak par moujood logon par nigah daali.. kisi ko bhi jaan kar na pakar usne fat se khidki kholi aur andar aa baithi..

“jaldi chalo pls… ” ek lumbi saans lete huye Shruti ne kaha aur aage wali seat se sir lagakar baith gayi….

To be continued…

Please complete the required fields.