Update 5
” par wo aatmayein aakhir hain koun? aur bahar waale logon se hi nafrat kyun karti hain wo?” Buddhe ke har khulase ke sath Nitin ki utsukta badhti ja rahi thi.. sab kuchh jaan lene ke liye.. halanki wo ‘aatma’ ke chakkar ko nahi maanta tha.. par aaj raat ka anubhav usko unke baare mein aur sun’ne ko vivash kar raha tha…
“ab sachchayi toh bhagwan hi jaanta hai beta.. humare paas toh suni sunayi baate hain.. kahte hain ki uss peepal ke ped ki jagah pahle kisi raja ka mahal hua karta tha.. teen raniyan thi uski.. teeno ek se ek sundar.. fir kisi mughal smraat ne uss Raja ko hara kar raniyon ke saamne hi uss par chakla (Roller) chalwa kar marwa diya aur uss mahal ko apna ‘haram’ bana liya.. teeno raaniyon samet mehal ki sabhi auraton ko apna bandi banakar rakha… jo kuchh ‘wo’ unn raniyon aur auraton ke sath karta tha wo batane layak hai nahi.. tum mere beton ke jaise ho.. par haan.. har subah ek arthi uthti thi mahal se.. ye silsila tab tak jari raha jab tak ki mahal mein ek bhi aurat bachi… kahte hain ki ye ‘aatmayein’ usi raja aur unhi Raniyon ki hain…”
“ohhh..!” Nitin ne pratikriya vyakt karte huye kaha…
tabhi shruti khana le aayi aur usko table par sajane lagi.. Rohan lagatar uski aankhon ki aur dekh raha tha.. iss taak mein ki Shruti uski aur dekhe aur wo uski aankhon mein apne liye ‘apnapan’ dhoondh sake.. par badkismati se aisa hua nahi.. Shruti ne najrein upar hi nahi uthayi aur khana lagakar boli,” aapke liye bhi le aaun bapu?” aawaj mein itni mithas thi ki Rohan uske munh se apna naam sun’ne ko taras gaya.. agar bapu na hota toh wo kab ka usko tok chuka hota…
“Nahi beti.. thodi der pahle hi toh khaya tha.. tum jao.. jakar so jao.. main aata hoon thodi der mein…”
“achchha bapu.. main kundi nahi lagaaungi.. aap aakar band kar lena..” Shruti ne apne pita ki aur dekhte huye kaha aur fir wapas mud gayi…
“aapke ghar mein aur koun koun hain uncle ji?” Rohan ka interest sirf Neeru ke baare mein jaan’ne ko hi tha..
“bus hum do jan hi hain beta.. biwi isko janam dete hi gujar gayi thi.. so aur koyi aulaad nahi hai.. kuchh din baad toh main akela hi rah jaaunga..” Buddhe ne jawab diya..
“wo kyun?” khana khate huye hi Rohan ne uski aur dekha…
” Shadi nahi karoonga kya beta.. ladki toh paraya dhan hoti hai..”
Roti ka tukda rohan ke halak mein hi atak gaya,” kab.. kab kar rahe hain shadi..?”
“Abhi toh ye maan hi nahi rahi.. kahti hai padhayi poori karne ke baad sochoongi… nadan aur bholi hai par jiddi bhi bahut hai.. jo soch liya wo soch liya.. fir kisi ki nahi sunti ye..”
“ohh.. ” Rohan ki jaan mein jaan aayi.. pahle usko laga tha ki kahin shadi pakki na ho gayi ho iski..
khana khane ke baad Buddhe ne bartan uthaye aur unko subah milne ko kahkar chala gaya..
uske jaate hi Rohan ne aankhein matkate huye Nitin ki aur dekha,” kyun..? kaisi lagi..?”
“yahi hai wo?” Nitin ko shak toh tha.. par tajjub uss’se kahin jyada…
“humm..” Rohan khushi se foola nahi sama raha tha.. ajeeb si khumari mein usne takiye ko apni chhati ke neeche dabaya aur pate ke bal late gaya..
“par iska naam toh Shruti hai.. tu toh Neeru kah raha tha..?” Nitin ne dusre palang par lat’te huye dusra sawaal kiya…
“Naam mein kya rakha hai yaar.. bus.. itna jaan le, jiske liye main aaya tha.. mujhe mil gaya hai.. main tere iss ahsaan ka badla kabhi nahi chuka paaunga.. main na kahta tha.. Meri Neeru mujhe jaroor milegi..” Rohan par pyar ka bhoot sawaar tha..
“abey saale.. isne tere ko dekha tak nahi aur tu aise uchhal raha hai.. kahin tujhe bhool na gayi ho… kitne time pahle mili thi..?” Nitin uthkar baith gaya..
“wo sab main tere ko baad mein bataaunga.. par tu ye toh bata ki lagi kaisi tujhe..?”
“bahut pyari hai.. sach bolun toh.. iske jaisi koyi ladki maine aaj tak nahi dekhi.. agar ye Neeru na hoti toh main iske baare mein apne liye soch raha tha.. aur ab bhi kya pata.. ye Shruti hi ho.. teri Neeru ki hamshakal.. teri Neeru toh tujhe wahin milegi.. purane teeley par… he he he” Nitin ne shararati muskan apne chehre par laate huye kaha…
” aisi baat mat kar yaar.. mujhe achchha nahi lagta..” Rohan ne munh banakar kaha..
“majak kar raha hoon be.. par ek baat meri samajh mein nahi aayi…!” Nitin ne ko jaise kuchh achanak yaad aa gaya ho..
“wo kya?” Rohan bhi uthkar baith gaya..
“isne tere ko wahan kyun bulaya..? aur bulaya bhi toh wahan milna chahiye tha.. ab kisko pata tha ki humari gadi mein puncture ho jayega aur hum wapas aakar isi ghar ka darwaja khatkhatayenge.. agar hum seedhe nikal jate toh shayad hi kabhi dobara aate.. yahan par..” Nitin ki baat mein dum tha…
“haan yaar.. woh toh hai.. jab baat karegi toh jaroor poochhonga ye baat…” Rohan ne jawab diya…
” par ab toh bata de ye tujhe kahan mili? kaise mili.. aur kaise pati?” Nitin jaan’ne ke liye utsuk tha…
“ek baar baat ho jane de.. fir sab kuchh bataunga.. hamara milna uncle ji ki bhootn wali kahani se kum dilchasp nahi hai.. mujhe khud visvas nahi tha ki main iss’se mil paaunga…”
“abhi bata de na.. abhi kya dikkat hai..?” Nitin ne iss baar jor dekar kaha tha..
“na.. abhi nahi.. bahut dilchasp baat hai.. par abhi kuchh nahi kah sakta.. pahle iss’se baat kar loon…!” Rohan ne kaha aur wapas late gaya,” chal ab so jate hain.. subah jaldi uthna hai..”
“theek hai beta.. log matlab nikal jaane ke baad kis kadar rang badalte hain.. ye main dekh raha hoon.. chal achchha hai.. main intjaar karoonga, teri iss’se baat hone ki.. gud night!”
“gud night bhai gud night!” Rohan ne kaha aur sir ke neeche se takiya nikal kar seene par rakh liya.. dono haathon mein daboch kar…..
To be continued…

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.