Anjaan Rahen ~ A Passionate Love – Update 33

Anjaan Rahen ~ A Passionate Love
Reading Mode

UPDATE 33

Saily gurrati huyi uss se puchhne lagi, Gaurav thoda sanjida hote huye apne ander ho rahe haal ko bayan karne laga …..
Gaurav…. Ab jane do na, abhi to happy hun na, ab kya biti baten yaad karna.
Saily…. Batate ho ya main jaun, kab se dekh rahi hun, bas mere sawal ko tal kar idhar udhar ki baten kar rahe ho.
Gaurav mann me kahta hua….. “Yaar, maine apna dil rakh diya iske samne, par jiddi ladki, isse to bas meri bebasi ki kahani me intrest hai, bata de crazyboy, nahi to ruth kar bhag gayi to phir aaj jagna par sakta hai”
Gaurav, phir bolna shutu kiya……….
“Saily, jab tum kal padesan si mere pass ro rahi thi, to mujhe ander se dard ho raha tha, pata nahi kya ho gaya mujhe par tumhe udas dekh kuch bhi achha nahi lag raha tha. Main room par aa kar bas leta tha”.
“Saam me Nainu aaya, aur is tarah se lete hone ka karan puchhne laga, maine baat ko taal diya, tab usne sidhe sabdon me kaha, ki yee sab tumhari wajah se ho raha hai”.
“Maine karan pichha to usne phir kal ke subah ki ghatna batayi, wo jaise he bataya mujhe lag gaya ki tum Nainu ki baton ko dil se lagayi ho, aur issi wajah se udas bhi ho. Jhooth nahi kahunga lekin iss baat ke liye maine Nainu se narjgi bhi jatayi, ki usse tum par chillana nahi chahiye tha”.
“Main uske taraf se manfi mangta hun. Kal subah wali ghata ka bhi jimmedar sayad main he hun, kyonki do dino se main Nainu ke sath kahin nahi ja raha aur to aur yadi kal subah main wahan hota to itni baten bhi nahi hoti”.
“Hum dono ek dusre se kaphi jude hain, aur sach to ye hai ki do teen dino se mujhe wo khoya-khoya dekh kar, usse laga main uss ae dur ja raha hun aur phir tumhe in sab ka karan mante huye, jo uske mann me aaya wo kah diya. Mujh se bahut pyar karta hai na, aur uska haq pahla hai, par sayad maine he uss se alag ho rah hun”
“Aur haan subah maine Nainu ko saza bhi de diya, wo ab dobara nahi kuch kahega tumhe, subah main bas tum dono ka cold-war khatam karna chah raha tha isliye wahan gaya tha, par jab tum nahi aayi to mujhe laga ab bhi baat ko sayad dil se lagayi ho… Aur main ………
Saily bade gaur se sun rahi thi Gaurav ko, bas jo Saily ko samjh me aaya wo uske liye kaphi tha. Thoda uljha tha dost ko lekar, aur dono ko chahta tha isliye dono se sayad dur nahi jana chahta tha. Par do baten clear thi… Ek wo Saily ko chahta tha aur dusri ki Nainu sirf dost nahi uss se badh kar tha.
Saily…. Pagal, do logon ke bich to jhagre hote rahte hain, tumhara sulah karna bhi jayaj hai ye bhi manti hun, par aise bhikariyon ki tarah bhukhe pyase din bhar ghumne se kya solution milega. Jaldi batao ye pagalpan kya soch kar kiye ….
“Saily tum isse pagalpan kahti ho par ye mere dil ko sukun de raha tha. Main tumhe rota dekh bardast nahi kar paya”.
“Kya tumhe pata hai, jab bhi main tumhe dekhta hun, ye yahaan, middle of heart ek ajib sa flow paida hota hai. Ye kya hai pata nahi, par jab bhi tum pass hoti ho kuch-kuch hota hai”.
“Har samay bas tumhara he chehra aankhon ke samne hota hai, main samjha nahi pa raha ab bhi ki actually ander se kya hota hai, bas itna kahna chahunga tum jab sath hoti ho to sab happy-happy ho jata hai, mera mann jhumne ko karne lagta hai, nachne ko karne lagta hai. Tumhe bahon me bharne ka dil karta hai”.
Itna bolne me magan tha crazyboy, ki jo dil me aaya bol diya. Saily chakit najron se dekhti bas uske muh se nikla …. “Kyaaaa”
Gaurav ko jab dhyan aaya to badi pyari mukaan dete muh se dhime nikal gaya “arreee”, kya jawab deta wo, isliye chup rahne me he apni bhlai samjha, aur shant hokar baitha raha…
Saily…… Flirtin hunnn ! Mujhe pata rahe ho mr crazyboy, aakhir tum jante he kitna ho mujhe, main jaisi dikhti hun waisi bilkul nahi, pahle mere sath kuch samay to bita lo… Khatnaak hun main.
Gaurav….. Madam, kayi salon ki mulakkat nahi, pyar ki bas ek najar chahiye dil me utarne ke liye. Rahi baat tumhe jan’ne ki, to dil jise chahta hai usse apna bana leta hai, isme official jaan pahchahn ki kya jaroorat. Aur rahi baat aap ke khrnak hone ki to i feel really awesome … Jab tum kharnak sa roop dikhaogi.
Saily…. Achha seriously batao, kitne din huye mile aur kitni mulakaaten hui hain ?
Gaurav…. Ruko jodne do…. Ummmmm, 1,2, 3, 4, 5 …. Haan panch baar mile hain, aur phone call msg include kar do to 8 baar.
Saily…. Bravo, aap ko to auditor hona chahiye. Shant raho, aur ye batao, ki kya itne mulakaton me kisi ka bharosa kiya ja sakta hai ?
Gaurav ke pass koi jawab nahi tha, wo bas iss sawal ka jabaw dhundne ki kosis kar raha tha, practically “nahi” jawab tha, aur dil ander se chinkh-chinkh kar kah raha tha, “kyon nahi viswas kiya ja sakta, haan bilkul, tum soch bhia nahi sakti ki main tum par kitna viswas karta hun”
Gaurv ko shant dekh Saily ek baar phir bol pari…. “Achha bahut hui idhar udhar ki baten, main direct point par aati hun … Kya tum mujhe chahte ho, kya tum mujh se pyar karte ho” ?
Gaurav kuch der bas shant raha, Saily ki baton ko sochta raha aur thoda space lene ke baad kahne laga ….
Yadi issi ko chahat kahte hain to …. Haaannnn ! Yadi issi ko pyar kahte hain to …. Haannnn ! … .. I am in love .. Aur dil ke mamle me dimag nahi nipta’te, phir kya hua jo main tumhare bare me nahi janta, ya tum se mulakaaten nahi hui, par ek atoot viswas mujhe pahli mulakkat se thi”
“Aur mera kya” ….. Itna kah kar Saily bikul shant ho gayi. Itni shant baithi thi ki Gaurav ke dil me ek dard paida karne ke liye kaphi tha, usse laga “kahin apne bare me he to kewal nahi soch liya….. Saily ka khyal kyon nahi raha,….. kya koi aur hai uski jindgi me…….. main koi jabrdasti to nahi kar raha”….
Pal me aaye mann me itne sare sawalon ne Gaurav ko bilkul hilaa diya, usse phir Saily dur najar aane lagi. Ajib hayyy re ishq, bolne se jyada shant rahna dil me dard ka ehsaas kara jata hai…..
Gaurav…. I am sorry Saily, par kya karoon jab bhi tumhe dekhta hun khud par kabu nahi rahta. Yadi tumhe main pasand nahi to koi baat nahi, main wada karta hun ki tumhe kabhi padesan nahi karunga …. Bas jaisa tumne puchha main bhi ek baar jan’na chahta hun…… Kya tumhare dil me bhi mere liye feelings hai ?
Dil ki dharkno ko sun’na tha “haan”, mann kah raha tha kahin “naa” na kahe. Kah to diya Gaurav ki dur ho jayega, par dur hokar rahega kaise … Mann aisa vichlit hua ki pis kar rah gaya haa-naa me.
Saily bhi shant, bilkul maun thi, chehre par bina koi bhaw ke, jis se Gaurav aur duwidha me chala ja raha tha … Har pal bit’ta, aur har pal me jaise Gaurav ki ghutan badh’ti ja rahi ho……..

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply