update 89..
Ab aagee
………………..
Didi ye sab ab tak aaye kyu naii…mera mann bhut ghbra raha hai..”geeta
“Pata nai ab tak kyu nai…..”(kavita bich me hi ruuk gai) bahar jeep l j band honne ki awaj aai isse pahle ki kavita uthti..neha lapak kar ja kar darwaja kholii …sanju ko ek traf se ramesh toh dusri traf se priya pakree tii..
Geeta toh bolti band ho gaii..wai kavita ka b haal kuch aaisa ta kavita lapak kar aage badhii..”ye sabb kya hai…ye khun…”
“Maa sab thik hai..sanju bilkul thik hai bas choot haii…”..tabhi sanju hath churate huwe geeta ki traf langrate huwe daura jo ki kaht p behos ho chukii tii..sabka dhyan uss traf gaya..
Bich me gira b dadi hangama sunn bahar aai toh geeta ko behos dekh pani le daurii..
Tabtak sanju maa ko good me le bolaa..”mai thik hu maa tera samne hu aankhe kholna ma..”
Dadi me geeta k chehre pani chirka ..
Geeta hosh me aate hi sanju se lipat parii..”kyu re kyu satata rahta hai..mujhe..kyu. ….”
“Nahi maa nahi..ab mai teri har baat manunga tu jo kahegi..mai wo karunga..dekho mai sahi salamat hu…”
“Fir ye pattiya ye khun kaisee….”
“Bhiya k rahte bhala mujhe kuch ho sakta hai..ye toh bas chote motte jhakm hai bhar jaienge…”
Geeta bare sneh se ramesh ki traf dekhi.use bulaya..”beta ..tu nai janta aaj kya kiya hai aaj tune iss abjagin ko binn moll kharid liya…”wo ramesh galle se laga..
“Maa kar diya na paraya ..aaisa bol k …beta b bolti ho ..aur ahsan ki baat v karti hai..”
“Nai re mai toh hu pagal tu toh mera ladla bara beta haii..mujhe fakr hai tum p…”
Chaliye ab sab aaram kijiye..raat bahut ho chuki haii..
Ramesh ..
“Aaj tohh mera beta mere pass hi soyega..”geeta..
“Ha maa mai maa k sath hi sounga par mujhe apni bari maa k pass b sona hai ..(kavita ki aankhe chalchala aaii)..mujhe aashirwad nai dengi maa”
Kavita jo tab se nai kuch boli ti sanju ko apne sine se laga li…”maa ka ashirwad toh hamesa bete k sathi hota hai beta bina mange hii…”wo sar ko chum li…
Sanju apna hath jor diya bhabhi k aage neha b nam aankho se bas ha me sar hilla di..
Geeta aaj din me jitni dukhi hui ti uss se kahi jada iss waqt khus tii…
Sanju ne dono maa k hath se thora khana khaya..firr dono k bich hi soya..ek traf choti maa toh ek traf badi maa..
Dadi bas pyar se sab ko dekhti rahi ki aaj unka priwar firr se sahi maino me ek ho gaya..
To be continued……

