SAAND
UPDATE- 275
Vivek—haan, aayi thi lekin usne usko hath bhi lagane nahi diya. Usne saaf saaf kah diya ki uske jism ka malik ab koi aur hai, aur usne usse vada kiya hai ki uske siwa kisi ko bhi apna sharir chhune nahi degi bhale hi jaan chali jaye. Ye ussi din ki baat hai jab tum dono uske piche hath dho kar pad gayi thi raat ke andhere me. Main vahi paas ki jhadiyo ke piche chhupe ye sab dekh sun raha tha. Ussi din mujhe ye sachchayi malum padi ki black star mera bhesh badal kar uska fayda uthata aa raha tha.
Sheetal (shocked)—kyaaa..uss raat ganga mousi thi…? (mann me)…iska matlab ki raj ne ganga mousi ko bhi pel diya. Lekin mujhe aur sadhana ko to do raat me koi mili thi.Agar ek raat milne wali ganga mousi thi to dusri bar milne wali koun thi…?
Ab aage…….
Vivek—haan, uss raat tumhari ganga mousi hi mujhse milne aayi thi.
Sheetal—hmmm, lekin aapne kaha ki maa aapse baat karna aur dekhna tak nahi chahti…? Jabki maa ko to ye pata bhi nahi hai ki aap jinda ho…? Uss ghatna ke baad to usne dekha hi nahi aapko phir aapne ye kaise kah diya ki maa aapse nafrat karti hai aur baat bhi nahi karna chahti…? Ye kaise ho sakta hai…? Iska matlab ki aap mujhe raj ke baad ab maa ke khilaf bhi bhadkana chahte hain…?
Vivek—nahi beti, main tumhe bhadka nahi raha balki jo sach hai vahi bata raha hu. Malti ye janti hai ki main jinda hu.
Vivek ki baat ne sheetal ko buri tarah se chounkne par majbur kar diya. Kyon ki jo baat koi nahi janta tha vo maa kaise janti hai… ? sheetal hairani se apne papa ki taraf dekhne lagi jaise ki usne koi avishwasniya baat kah di ho.
Vivek—yahi sach hai beti, malti ko mere baare me sab pata hai.
Sheetal (hairan)—kyaaa…? Lekin ye kaise ho sakta hai…? Maa ne kisi ko kuch bataya kyo nahi agar ye sach hai to…? Mujhe aapki baat par yakin nahi ho raha hai.
Vivek—yahi sach hai. Tumhe yaad hai ki ek bar tum aur sadhana dono raat me ek aurat ke piche pakadne ke liye daudi thi gaaliya dete huye aur sadhana bol rahi thi tumhe ki danda phenk kar maar jaldi se…?
Sheetal—hmmm, achchi tarah yaad hai, aur ye bhi yaad hai ki uss din vo hamari pakad me aate aate rah gayi thi, bas uska blouse hi meri pakad me aa paya tha. Magar aap kahna kya chahte hain…?
Vivek—vahi jo tum samajh kar bhi samajhna nahi chahti. Jis aurat ko tum dono ne uss raat pakadne ki koshish ki thi aur jiska blouse tumhare hath laga tha, vah aurat aur koi nahi balki malti hi thi, jise maine uss raat milne ke liye bulaya tha.
Sheetal (shocked)—kyaaaaaa…vo maa thi..‼ OMG…nahi..ye nahi ho sakta…aap jhuth bol rahe ho…maa aisa kabhi kar hi nahi sakti, vah to raj ko apni jaan se bhi jyada chahti hai, vo raj aur sadhana ko maarne ka kabhi soch bhi nahi sakti..ye sab jhuth hai.
Vivek—maine ye kab kaha ki malti ne kisi ko marne ki koshish ki hai…? Main to kewal tumhare sawal ka jawab de raha tha jo ki tumne raat me milne wali dusri aurat ke baare me pucha tha.
Sheetal (hairan)—lekin maa ko kaise malum hua ki aap jinda ho…? Aur agar malum chal bhi gaya tha to raat me vo bhi nadi ke paas chori chori milne ki kya jarurat thi apne hi pati se…?
Vivek—tumhari maa ko ye malum nahi tha ki main jinda hu, vah to ganga ne mere kahne par use bataya tha aur mere kahne par hi usne malti ko mujhse milne ke liye nadi kinare jane ko kaha tha raat me. Lekin jab maine malti ke aane par use pyar karna chaha to usne mujhe dhakka de diya aur kahne lagi ki main uske liye mar chuka hu, uska ab mujhse koi rishta nahi hai. Yaha tak ki jab maine use raj ki sachchayi batayi to usne gusse me mujh par hath bhi utha diya. Itne me tum dono bhi pahuch gayi aur vo darr kar vaha se bhag gayi.
Sheetal (shocked)—kyaa, maa ne aisa kiya…?
Vivek—haan beti, itna hi nahi usne to yaha tak kah diya ki mera uss par ab koi haq nahi hai, vo ab kisi aur ki biwi hai. Ye sun kar to main dang hi rah gaya tha beti. Main samajh gaya ki ye sab uss harami naqli raj ka kaam hai, usne hi malti ke kaan mere khilaf bhare hain. Dil kar raha tha ki vo mil jaye to uske tukde tukde kar du saale harami ke…
Sheetal (chillate huye)—papaaaaa…dubara raj ke khilaf ek shabd bhi mat bolna warna main bhi ye bhul jaungi ki aapka aur mera rishta kya hai..
Vivek—lagta hai ki sab ko usne mere khilaf bhadka diya hai.
Sheetal—usne kuch nahi bhadkaya…galti aapne ki hai, khair vo sab baad me baat karungi…abhi mujhe aap ye batao ki agar maa ne aapke sath aisa kiya tha to phir mujhe unke paas se jo blouse mila tha, usme se ek kagaz ki parchi kaise mili jisme ki raj ko rajasthan bhejne ko likha hua tha…?
Vivek—vo parchi to maine hi malti ko di thi lekin usne kuch padhe bina hi use mere munh par phenk diya tha aur phir tum dono ke aane par vo bhagne lagi to maine jaldi se vo kagaz utha kar uske blouse me daal diya tha. Malti ko to pata bhi nahi tha ki kagaz me likha kya hai…?
Sheetal—aur aapne aisa kyo kiya…?
Vivek—kyon ki uss harami ko main yaha lana chahta tha .
Sheetal (gusse me)—bas bahut ho chuka…aap itna niche gir sakte ho, maine kabhi socha bhi nahi tha. Ab agar ek galat shabd bhi raj ke baare me bola to main aapko sidhe shoot kar dungi.
Vivek—tum bhi apni maa ki tarah pagal ho gayi ho…
Sheetal (gusse me)—haan ho gayi hu pagal akhir pagal ki beti jo thahri..vo sab chhodo aur ye batao ki sadhana ki izzat lutwane aur use jaan se maarne ki koshish karne wali aurat koun thi…?
Jaha sheetal apne papa se sawal jawab karne me lagi huyi thi vahi black star apni alag hi khichdi pakane me vyast tha. Ek jagah baithe huye vo kuch soch vichar kar raha tha. Uska soch vichar karna jayaz bhi tha kyon ki raj ne jis tarah se use phone par dhanraj ko maarne ki dhamki di thi, vaisa usne kar dikhaya tha. Iske sath ne raj ne use bhi 13th din tapkane ki dhamki de dali thi. Pahle to vah iss dhamki se koi khas vichalit nahi hua tha kintu dhanraj ki mout ne use sochne par vivash kar diya tha.
Black star (mann me)—saale iss saand ka koi bharosa nahi hai. Harami ne dhanraj ko maar kar mera kothe ka ek dhandha aur choupat kar diya. Agar wasiyat ki majburi nahi hoti to saale ko kab ka tapka diya hota. Anguthi milne ke baad agar usne mujhe vo ring dene se mana kar diya aur yaha nahi aaya to gadbad ho jayegi, usko saale ko yaha kisi bhi tarah se lana hi padega. Ek kaam karta hu sadhana ko yaha se bahar nikal deta hu. Vo yaha rahe chahe bahar, usko to marna hi hai, par agar bahar rahi to uski kharab tabiyat dekh kar vo saand use bachane ke liye mere aage ghutne tek dega. Vaise bhi inn dono jungli billiyo ka yaha ek sath rahna theek nahi hai, dono mere plan ki aisi taisi kar dengi.
Ye sochne ke baad usne raj ko call laga diya. Teen char ring jane ke baad raj ne uska call pick kiya.
Raj—hello, koun hinjada bol raha hai…?
Black star—Star black star
Raj—achcha achcha..bol chhakke kya kaam hai…?
Black star—uss anguthi ka kya hua…?
Raj—maine haweli me jitni bhi diamond rings thi, vo sab dekh li lekin kisi me kuch nahi mila. Mujhe to sab bakwas lagta hai ki ring me koi wasiyat ka koi clue hoga..
Black star—tumse jitna kaha hai, utna karo…mujhe kisi bhi kimat par vo anguthi chahiye…aur haan, ye mat bhulna ki sadhana aur sheetal mere kabze me hain.
Raj—dekh, unko kuch nahi hona chahiye, agar unhe kharonch bhi aayi to tu samajh lena ki terahvi se pahle hi teri barsi ho jayegi.
Black star—to phir vo anguthi mujhe jaldi se la kar de de agar dono ko sahi salamat dekhna chahta hai to…?
Raj—maine bata to diya bhosdike ki yaha koi vaisi anguthi nahi hai. Ja ja kar apni amma ke phate bhosde me dhoond, shayad vaha mil jaye… ?
Black star—theek hai, teri marzi…main chala teri mahbooba ko masalne..bahut mast maal hain dono..aur iss samay to vo khoon ki ulti karte huye behosh padi hai. Aisi halat me uske sath kuch bhi karne me mushkil nahi hogi…hahaha
Raj (mood kharab)—madarchoddd, agar dono me se kisi ko bhi hath tak lagaya to bhosdike, teri maa chod dalunga aaj hi..
Black star—anguthi..
Raj—theek hai dhoondta hu…
Call cut karne ke baad black star phone par abhay se baat karne laga. Baat karte huye hi achanak uske hath me bandhi ghadi me light blink hone lagi. Ye dekh kar uske chehre par kutil mushkan tair gayi.
Black star (khush hote huye)—ohhh…to sheetal madam apne baap se milne pahuch hi gayi…hahahaha…achcha hai, mera kaam aur bhi asaan ho gaya…hihihihihi
Udhar dusri taraf maine uss anguthi ki jagah par vaisi hi dusri diamond ring rakh di aur usme ek kagaz ke tukde me kuch likh kar use pack kar ke usko uski vahi jagah par rakhne ke baad pahle ki hi tarah tiles set kar di. Aur phir bahar aa kar uss paheli ke baare me sochne laga.
Kafi der tak sochne ke baad jab mere mann me adiwasiyo ka khyal aaya to uske sath hi uss adiwasi aurat dwara diye gaye uss lakdi ke tukde ka bhi dhyan aa gaya. Maine turant uss lakdi ke tukde ko apni jeb se nikala aur usme lagi huyi mitti ko saaf karne laga.
Jaise jaise lakde ke tukde me lagi mitti ki parat saaf hoti ja rahi thi vaise vaise usme kuch akshar ubharte ja rahe the. Poori mitti saaf hote hi main uss par likhe shabdo ko dhyan se padhne laga.
“Jo Sab Ka Path Prakashit Karta Hai, Vahi Tumhe Bhi Rasta Dikhayega.”
Raj—madarchod, abhi ek paheli suljhi nahi ki ye dusri ek aur dimag chatne ko aa gayi, iski maa ko chodu, ab iska bhala kya matlab hua…?
Maine lakdi ke tukde ko palta kar dekha to dusri taraf bhi kuch likha hua tha. Pahle ek shayari likhi huyi thi jise padhne laga lekin uske niche kuch aisa likha tha jise padhte hi main chounk gaya.
“Saanche Me Kisi Aur Ki Mohabbat Me Hamne,
Khud Ko Kabhi Dhalne Nahi Diya,
Inn Ankho Ko Aaj Bhi Tera Intazar Hai
Hamne Gaalo Me Gulaal Kisi Ko Malne Nahi Diya.”

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.