sofe par baithne ke baad bhi Nani ki aankhein samne khade insaan ko ghoor rahi thi … bade kasht ke saath nani ke halak se samne wale ke liye do shabd foote …
Nani — D…Diya tum ???????
par Diya ( Meera aur Viraat ke bachpan ki dost ) ko nani ki baat sunne ki bhi fursat nahi thi … wo Yun to gusse me aag baboola bas Sahil ko ghoor rahi thi jabki dil ka koi kona Sahil ke masoom chehre me apni dost ko khoj raha tha … nafrat use Meeru aur uski maa se thi jabki sahil to tohfa tha uske liye ishwar ka … par kya karti gussa bhi bahut aa raha tha Nani ko dekh kar …
Diya — sun ladke aaj to tune jurrat kar li par yaad rakhna dobaara aisi himaakat ki to tera wo haal karungi ki tu soch bhi nahi sakta hai …
Diya ki baat sun sabhi sakpaka gaye jabki Meera (j) ko Sahil ki fikar huyi …
Meera — mom please use chhod dijiye …
Diya — ye sab kya ho raha hai Meera kaisa shor sharaba macha rakha hai … kaun hain ye log aur tune inko andar kaise aane diya …
Diya ne nani ko andekha karte huye kaha … uske chehre par bhi nafrat ki lali fail chuki thi …
Nani — Diya mujhe pahchaan mai Meera ki maa .… teri bachpan ki dost Meera ?
Diya — pahchaan liya hai maine … aapne kaam hi aisa kiya hai ki aapko koi bhool hi nahi sakta … kaise aana hua aunty ji …
Nani — Tum Meera ki maa ho …
Diya — hmm .… sahi samjhi aap mai hi Meera ki maa hoon …
Sahil — ye ho kya raha hai kya koi mujhe bhi batayega ?
Meera — are tumko nahi bataya kya tumhari nani ne kuchh bhi … hmm samjh sakti hoon apni kaali kartuton ka khulasa khud karne me unko sharm aa rahi hogi … uff ye girgit rishte nibhane wale log bhool jate hain ki karmo ki saja yahin isi duniya me bhugatni padti hai … dekho kal jo kaam inko nagwaar tha aaj wahi khud kar rahi hain…
Sahil — Meera kya bakwas kiye jaa rahi ho tum itni der se …
Meera — mujh par bhadkne se achha hai apni Aadarniya Nani se poonchh lo ?
Sahil — Nani baat kya hai kuchh batayengi ? Aap ro kyu rahi hain aakhir hua kya hai ?
Nani siva rone ke kuchh nahi bol payi … kaise bolti ki unke paap ka lekha jokha ho raha hai … Diya ne apni Meera ko daant kar uske room me bhej diya kyu ki wo hadd se jyada khoonkhar hoti jaa rahi thi … jabki Ishu ne nai karistani kar dali thi …Sahil ki maa Ko bula liya tha yahan … Meeru ke aate hi ek baar fir mahaul ajeeb ho gaya …
Meeru — Diyaaa …
Meeru ki aankhein bhar aayi thi wahi Diya ke chehre par bhi tadap thi par usne khud ko samhal liya tha …
Diya — hmmm
Meeru — mujhse abb bhi naraaj hai ?
Diya — Meeru iss bare me baat naa kar to hi theek rahega …
Meeru — abb itni bhi nafarat naa kar Diya … 30 saal baad mile hain yaar kam se kam gale to laga le …
Diya — tu meri nafarat ke bhi qabil nahi hai …
Sahil — Aunty please aap mom se aise baat mat kariye … meri mom ka koi dosh nahi hai …
Sahil itna hi bola tha ki chhoti Meera wapas hall me aa gayi aur gusse se boli …
Meera — Sahil tum bhi meri mom se tej awaaj me baat mat karo …
par Diya ne wapas use wahan se bhej diya …
Diya –Meera tum andar jao beta abhi ke abhi …
Diya ki baat sun Meeru ne Meera ka chehra apne haathon me bhar liya … dabdabaai aankhon me beshumaar pyaar bharti huyi boli wo …
Meeru — ye teri beti hai Diya … kitni pyaari hai bilkul pari bitiya hai … kya naam rakha hai …
Diya — Meera Viraat Singh …
Meeru ke dil par ek tej waar hua iss naam se …
Meeru — M… Meera V … Viraat singh … Ye kya majjaq hai … t… tu pagal ho gayi hai kya …
Meeru ki aankhon se bahte aasuon ne uska gaal bhigana shuru kar diya tha … abb Viraat bhi hall me aa gaya tha …
Viraat — ye majjaq nahi hai Meeru … wo meri bitiya hai jisme meri jaan basti hai … wo apne naam ki tarah hai thodi si pagli … usse koi bhool huyi ho to mai aap sabhi se maafi mangta hoon … bahut pyaar karti hai mujhe to nadaani kar di hogi …
Viraat ne sabhi ke aage haath jodte huye kaha …
Diya — are waah … tum kyu maafi maangoge … maafi to wo maangte hain jo galat hote hain … tumne kya galti ki hai …
Meeru — Diya tu aur Viraat i mean kaise ? Kab ?
Diya — itni jaldi me kyu hai tu Meeru ?? Abhi to tujhe bahut kuchh jaanna baki hai …
Viraat — Diya please …
Diya — Viraat please … kam se kam aaj to mujhe bolne do Viraat … 30 saalon se tumhare seene me kaid ghutan ko tumhari gunehgaar ke saamne lane do … wo tamaam raatein jo tumne iss sangdil ki yaadon ke sadke ki hain unki keemat to wasoolne do … hamaari nanhi si beti ne apna bachpan jis papa ki muskaan ko hasil karne me gum kar diya uska badla to lene do … please Viraat aaj mujhe tumhari ghutan khatm kar lene do …
Meeru — Diya karti bhi kya mai … majboor thi yaar … aisa kya hua tha Viraat ke sath jo meri jinda laash se hokar nahi gujra … mai bhi tadpi … mai bhi jaagi … mai bhi tarsi … mai kaise ho sakti hoon uss dard se anjaan to har raat ko jaagti aankhon se jiya hai maine …
Diya — par tumhari aankhon ke samne tumhare maa baap to jaleel nahi huye naa ?? Tumko peet peet kar jaan se marne ki koshish to nahi ki gayi naa ?? Tum maheeno jindgi aur maut ke beech jhoolti to nahi padi rahi naa … tum paaglo jaise har saaye ke peechhe kisi ka naam pukarte huye to nahi bhagi naa ?
Meeru — mera sir fat jayega Diya please bata de kya hua tha Viraat ke saath … mai tere pair padti hoon …
Diya — tune kabhi palat kar dekha ki tere jaane ke baad wo kaise mar – mar ke jee raha hai ? kitna tanha hai wo ?
Meeru — kis muh se aati mai Diya … maine apno ke liye apne ko dhoka diya tha … uske sath vishwashghaat kiya tha … kya uske jale par namak chhidkne aati mai ?
Diya — waah re chu**** insaan pyaar ko khilwaad bana ke rakh diya tumne … are jisne tumhare naam tak ko seene se laga rakha hai use tumhara aana namak nahi malham lagta … wo to aaj tak apne naam se kisi ka naam bhi nahi jodd paya aur tune usse pyaar , dosti sab chheen li khair tum apni maa jaisi ek no ki neech nikli …
Meeru — Diyaaaa … k… kya matlab naam nahi jod paya wo ?? To tu aur Meera ?? Baat kya hai… please bata…
Uske baad Diya ne jo bhi bataya Meeru ka kaleja fatt gaya use sun kar …

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.