Update 154
Kunal ghar jakar aapni mummy aur papa se baat kar raha tha lekin woh logh nahi mann rahe the.
Kaveri- Beta uss ladki hamari khandan ki bohu banne ke layek nahi hai.
Kunal- Mummy main Priya se pyaar karta hoon.Mujhe koi farak nahi padhta ki Priya ka kaal kya tha.Main bas aaj ke sath rehna chahta hoon.Agar aap logh nahi mane toh main ghar chhodh kar chala jayunga.
Aab Kaveri aapni emotional atyachar karne laghi.
Kaveri- Roune laghti hai….Doo din ki pyaar ke liye tu aapni maa ko chhodkar chala jayega.Kya isi din ke liye maine tujhe pal pos kar badah kiya tha.Aaj aapni maa ko chhodne ki baat kar raha hai tu.Jaa chala jaa.Magar yaad rakhna agar tu chala gaya toh main atma hatya kar lungi.Main marne ke baad shaadi kar lena uss ladki ke sath.
Yeh kehkar Kaveri roune laghi.Bas yehi hai jo Kunal she nahi patah.Bachpan se uska maa hi uske sath tha.Har khushi uska maa hi usko diya hai.Bachpan ki woh lamhe yaad ane lagah usko jo lamhe aapni maa ke sath bitaya tha.
Kunal aapni maa ke pas jakar bhigi ankhon se bola.
Kunal- Mummy aap janti hai ki aapki ankhon mein asu main nahi dekh sakta.Thik hai aap jo chahti hai wohi hoga.
Kunal yeh bolkar aapni kamre mein chala gaya.Aapni kamre ki darwaza band karke fut fut kar roune lagah.Kaafi roune ke baad Kunal ne Priya ko message kiya.
Veer Kajol bua ko phone lagata hai.
Veer- Namaste Bua.
Kajol Bua- Namaste beta.
Veer- Bua woh Priya ko koi objection nahi hai.Aap logh kaal a jaiye aur pandit se shaadi ka date fix kar lete hai.
Kajol bua bahot khush ho gayi.
Kajol Bua- Are wah yeh toh bahot achi baat hai.Hum kaal hi ayenge.
Veer- Thik hai bua rakhta hoon.
Veer phone rakh ke kuch der betha raha.Komal aur Pari Priya ko kuch der ke liye aapni kamre mein chhodh kar niche a gyi.Veer ko hall mein betha huya dekh kar dono uske pas akar beth gayi.
Pari- Kya soch rahe ho.
Veer unke taraf dekh kar kahan.
Veer- Kuch nahi.Kaal bua ko bhulaya hai shaadi ka date fix karne ke liye.
Komal- Yeh kuch jaldbazi nahi ho jayega.Priya ko thodi time dena chahiye.
Pari- Abhi abhi yeh sabh huya hai.
Veer- Main nahi chahta Priya inn baton ko soche.Isliye main uski shaadi karvana chahta hoon.
Komal- Kya yeh sahi samay hai.Kya Priya ke liye yeh acha rahegi.
Veer- Dekho Priya bahot choti thi jabh woh anath ho gayi.Maa Papa ki pyaar kya hota hai woh kabhi samjha hi nahi.Isliye main unko aisi jagah par shaadi karvana chahta hoon jaha beti wala pyaar mile.Jabh main uss ladke ki maa ki behaviour dekha Priya ke liye toh main samajh chuka tha ki yeh rishta Priya ke liye thik nahi hai.
Kajol bua aur Sameer Uncle usko maa aur Papa ki pyaar de sakte hai.
Komal- Tumhara baat sahi hai.
Tabhi waha par bachche a jateh hai school se.Komal aur Pari bachchon ke sath lagh jateh hai.Veer aapni kamre mein chala jatah hai.
Priya aapni kamre mein bethi huyi thi.Tabhi Kunal ka message ata hai.Priya phone mein message dekhti hai.
Kunal’s Message: Priya kabhi nahi socha tha ki aisa hoga.Tumhe zindaghi ki sathi banana chahta tha.Par shayed uparwale ko yeh gabara nahi tha.Main aapni mummy ki ankhon mein asu nahi dekh sakta.Tumhare bina zindaghi katna mere liye bahot kathin hai par kabhi kabhi hame zindaghi se samjhota karna padhta hai.Bas ek hi kamiya reh gaya zindaghi mein ki tumhe paa na saka.Maaf kar dena.KUNAL.
Kunal ka message padhkar Priya roune laghi.Kunal ko hi sabh kuch mann li thi usne.Par aaj sara sapna toot gayi.Kabh woh route route sou gayi usko patah bhi nahi laghi.

