Reading Mode

Update 133

Komal Payal ko lekar tehel rahi thi aur Aditya khada khada pray kar raha tha.Kaafi waqt ke baad Pari bahar ayi.Pari ke bahar ate hi Komal uske pas chali gayi.Pari ka chehra murjhaya huya tha.

Komal- Anu ko kya huya.

Pari keh ankhon se asu nikalne laghi.Komal yeh dekh kar aur darr gayi.Woh darne laghi.

Komal- Bolna kya huya.

Pari- Woh Anu ka dono kidney damage ho gayi.

Yeh baat sunkar toh Komal ki pairon taale zameen khisak gayi.Yeh kya bol rahi hai.

Komal- Yeh kya bakwas hai.Meri Anu ka kidney kaise kharab ho sakti hai.Tu majak maat kar.

Pari- Kash yeh majak hoti.

Komal ke ankhon se asu behne lagah.Pari Komal ko dhilasa de rahi thi.

Pari- Didi hamari Anu ko kuch nahi hogi.Hum kidney transplant karenge.Phir hamari Anu thik ho jayegi.

Pari ki baat sunkar Komal ko kuch rahat mili.

Komal- Par yeh huya kaise.

Pari- Kabhi kabhi aisa hota hai ki kidney ahista ahista kharab hone laghte hai.Jis chiz ke karan kidney kharab hote hai agar hum woh chiz na bhi karen tabhi kharab hote hai.Jaise ki bachchon ke liye.Shayed paida hone se hi uski kidney par problem rahi hogi.Par mujhe ek chiz samajh mein nahi ayi ki usse pehle bhi usse dard huya hoga phir hame kaise malum nahi padhi.

Pari ki baat sunkar Aditya age akar bola.

Aditya- Mummy Anu ko pehle bhi dard huyi thi lekin usne aap logon ko kuch nahi batayi thi.Aap dono bahot sad the na.

Aditya ki baat sunkar dono ko aur rouna ayi.Ek choti si bachchi kitni sochi thi.Par woh logh maa ki kartavya palan nahi kar payi isliye dono ko aur rouna ayi.Woh achi maa nahi bann payi.

Pari- Tumne hame pehle kyu nahi bataya.Yeh kis time ki baat hai.

Aditya- Koi 3 Mahine pehle ki.

Pari- OMG tumne pehle agar bata dete toh shayed dono kidney kharab nahi hote.

Aditya roune lagah.

Aditya- Sorry choti maa.Anu thik toh ho jayegi na.

Aditya ko route huye dekh kar Komal usko gale se lagah li Payal ko niche utar kar.Payal jakar Pari ki ghod mein chhadh gayi.Woh bahot darr gayi thi.

Komal- Hamari Anu bilkul thik ho jayegi.

Payal- Mummy didi thik ho jayegi na.

Pari- Haan bilkul thik ho jayegi.Didi hame fatafat Anu ko shahar2 ki hospital mein admit karni padegi.Waha par acha facilities hai.Kidney ka intezam bhi karni padegi.Sirf rishtedar hi kidney de sakte hai.Toh hame tamam rishtedar se puchni padegi.

Komal- Haan haan hame jaldi nikalne chahiye.

Phir Komal ne Mahesh ko bhulaya.Kyu ki doo ladies kitna kar sakte hai.Aditya aur Payal ko bhi sambhalna padhta hai.Mahesh ne sabh kuch intezam kar diya.Ananya ko nind ki injection dekar Ambulance mein karke shahar2 ke taraf le ja rahe the.Ananya ke sath ambulance mein Komal thi.Pari bachche aur Mahesh ko lekar car mein a rahe the.

Sabh shahar2 ki hospital pohonch kar Ananya ko admit karva di.Kidney specialist hai naam hai Dr.Karim.Woh hi Ananya ki treatment karenge.Pari toh ladies ki doctor thi.
Dr.Karim ne Ananya ko check karke bola.

Dr.Karim- Dekhiye jald se jald kidney ka intezam kijiye.Agle doo din ke andar operation karna padega.Aap logh aapke rishtedar ko boliye.

Pari- Ji doctor hum intezam karte hai.

Komal aur Pari ne tamam riahtedar ko sabh kuch batah diya.Divya bua Kajol bua Aakash uncle Sameer uncle sabh hospital a gaye.Shakuntala aur Rishabh bhi a gaye.Jabh Sabh a gaye toh Dr.Karim ne pucha.

Dr.Karim- Kya yeh logh aap logon ki rishtedar hai.

Pari- Ji haan.

Dr.Karim- Chaliye aap logon ka kidney match hote ki nahi yeh dekhte hai.

Sabh doctor ke sath chale gaye.Bachche Mahesh ke sath bethe rahe.

Aaj Veer ki dil bahot jor jor se dhadak raha tha.Naa jaane usse aaj aapni dil mein ek dard sa mehsus ho raha tha jaise koi aapna taklif mein ho.Woh bechain ho gaya.Woh aapna shop band karke samundar ke kinare jakar beth gaya.Dhur samundar ko dekhte dekhte usse aapni bachchon ki yaad ane lagah.Naa jaane kaise hai woh logh.Woh unn logon ka hulchul puchne ke liye Mahesh ko phone lagaya.Mahesh tabhi cabin ke bahar khada huya tha.Jabh mobile ring huya toh usse malum nahi tha ki kyon hai.Woh bachchon se dhur jakar call receive kiya.

Mahesh- Hello kaun.

Veer- Mahesh main hoon.

Veer ki awaaz pehchanne mein Mahesh ko derr nahi lagah.

Mahesh- Sir aap.

Veer- Haan main.Waha par sabh thik hai na.Naa jaane aaj bahot bechaini si mehsus kar raha hoon.

Mahesh- Kuch thik nahi hai sir.

Aab Veer thoda sidha hokar beth gaya.

Veer- Kyu kya huya.

Mahesh phir sabh kuch Veer ko batah diya.Veer yeh baat sunkar toh hairan ho gaya.Uska dil tadap utha.Uska Anu taklif mein hai.Uska ankhen namm ho gaya.

Veer- Main a raha hoon.Tum airport a jaana.Kisi ko maat batana.

Mahesh- Ok sir.

Phir Veer call cut kar deta hai.Veer ki mobile ke screen par Aditya Ananya aur Payal ka wallpaper tha.Woh Ananya ko dekh kar kahan.

Veer- Main a raha hoon meri bachi.Papa sabh thik kar denge.Main a raha hoon.

Veer bhag kar aapne shopp par gaya aur aapna saman pack kiya.Woh airport jakar ticket karvaya.Kuch deer mein hi flight take off karega.Woh flight mein beth gaya aur flight take off ho gaya.Woh plane mein beth kar asu bahata raha.Woh bas Annaya ki photo ko hi dekh raha tha aurur uske liye dua mang raha tha.Naa jaane uska beti kaisi hogi.

Mahesh phone par baat karne ke baad phirse usi jagah par akar khada ho gaya.Sabhi waha par a gaye.Unke ate hi Payal jakar Shakuntala ki ghod mein chhadh gayi.Aditya ke pas Rishabh beth gaya.Kuch der baad Dr.Karim akar bola.

Dr.Karim- Dekhiye aap mein se sirf ek hi insan ka kidney match hota hai jiska kidney hum nahi le sakte.

Komal- Kiska.

Dr.Karim- Ji Mr.Rishabh ka.

Rishabh samne akar bola.

Rishabh- Kyu kay problem hai.

Dr.Karim- Dekhiye aap ka umar ho chuka hai aur aapko blood pressure aur diabetes hai.Isliye hum aapke kidney nahi le sakte.

Sabh mayus ho gaye.Komal ka toh asu behne laghi.

Komal- Aap kaise bhi karke meri beti ko thik kar dijiye.

Dr.Karim- Dekhiye agar kidney nahi mila toh hum kuch nahi kar sakte.Jyada tar bhai bahen ki kidney match karte hai.Lekin woh dono toh chote hai.Aapke husband ka kidney match ho sakta hai.Aapke husband kahan hai.

Dr ki baataat sunkar Komal jor se roune laghi.Divya bua ghusse se boli.

Divya Bua- Uss nalayak ke bareme puchiyega maat.

Dr.Karim- Phir toh main aapki beti ko bacha nahi sakta.

Dr waha see chala jatah hai.Divya bua aur bhi bhalahala bhura kehti hai Veer ki bareme.Jisse sunkar Komal aur Pari ko ghussa ane laghi.Komal chillate huye boli.

Komal- Mami pls Veer ke bareme main kuch bhura nahi sunn sakti.

Divya Bua- Usne itna badah kand kiya aur tu mujh par bharas rahi hai.

Phir Komal sabh kuch batati gayi uss din kya huya tha.Jisse sunkar Divya bua aur sabh ko bahot sharmandegi mehsus huyi.Unn logon ne Veer ko bahot bhala bhura kahan tha lekin Veer ne ek shabd bhi nahi kahan tha.Divya bua namm ankhon se boli.

Divya Bua- Hey bhagban yeh maine kya kar diya.Maine Veer ko kya nahi kahan.Par usne toh kuch kiya hi nahi.Uss din bhi usne mujhe call kiya tha lekin maine kuch nahi suni.

Divya bua ki baat sunkar Komal ko hairani huyi.Veer ne Divya bua ko phone kiya tha.

Komal- Kahan hai woh.

Divya Bua- Woh toh patah nahi.

Komal- Aapke pas number hai.

Divya Bua- Hai mere mobile par.

Divya bua mobile nikal kar woh number search karne laghi.Jabh mil gayi toh Komal ki diya.Komal ne call kiya lekin band a raha tha.Kyu ki tabh Veer plane mein jo tha.

Komal- Veer ka phone band a rahaa hai.

Komal bethkar roune laghi aapni beti ki halat ko dekh kar.Itna paisa hone ke baad bhi wohoh aapni beti ke liye kuch nahi kar paa rahi thi.

Aakash uncle- Beti himmat rakh.Sabh kuch thik ho jayega.

Komal- Kahan se thik hoga mama ji.Kidney nahi mil raha hai.Meri beti ko bacha lo mama ji.

Yeh kehkar Komal roune laghi.Phir bachchon ko Divya bua ke ghar bheh diya gaya.Mahesh bhi nikal gaya airport ki taraf.Hospital mein sirf Komal aurur Pari thi.Komal Ananya ki pas bethi huyi thi.Ananya jaise ek bhejan sharir ho.Ananya upar ki taraf dekh rahi thi.

Ananya- Mummy kya main maar jayungi.

Ananya ki baat sunkar Komal ki dil rou utha.

Komal- Nahi meri bachchi tujhe kuch nahi hoga.

Ananya- Papa kahan hai mummy.

Komal- Papa a jayega.

Ananya- Papa ko akhir baar dekhna chahti hoon.

Ananya ki baat sunkar Komal ki dil chir rahi thi.

Komal- Tujhe kuch nahi hogi meri bachchi.Tu bilkul thij ho jayegi.Papa sabh kuch thik kar denge.

Komal dil mein bas Veer ko ane ke liye dua mang rahi thi.Woh bas dil se keh rahi thi laut ane ke liye.Ananya ko nind ki injection dekar sula diya gaya.Rishabh aur Aakash uncle aapni tamam riahtedar ko puch rahe the kidney dene ke liye.Lekin koi nahi mann rahe the.Pari bhi try kar rahi thi kaise bhi karke Kidney ka jhugad karne ke liye.

Please complete the required fields.