Update 125
Subah ka waqt tha.Aaj Sunday hai isliye sabhi ghar mein the.Aditya Ananya aur Payal teeno garden mein khel rahe the aapne nana ke sath.Komal aur Pari balcony mein bethkar unko dekh rahe the.Shakuntala unke pas ayi.
Shakuntala- Kya main yaha beth sakti hoon.
Dono Shakuntala ko dekhi.
Pari- Are betho na maa.
Komal- Haan haan maa bethiye.
Komal ki maa kr jaane ke baad Shakuntala ko hi maa phukarti hai.Shakuntala bhi Komal aapni beti ki tarah pyaar karti hai.
Shakuntala- Beti kuch baat karni thi.
Pari- Kya baat hai maa.
Shakuntala- Dekho hamari zindaghi nadi ki leher ki tarah hoti hai.Bas chalta hi rehti hai.Par tum dono bas ek jagah par rukh gaye.Age bade tum dono.
Pari- Aap kya kehna chahte hai.
Shakuntala- Dekho beti 1 saal se dekh rahi hoon tum dono ghut ghut kar jee rahi ho.Khud ko azad kar doo.
Pari- Aap kya karne ke liye keh rahi hai.
Shakuntala- Dekho mann ki shanti bahot badi shanti hoti hai.Tum dono Veer ko divorce doo.
Yeh baat sunkar dono ki dil rou utha.Dono mayus ho gaye.Veer par naraj toh hai lekin usko divorce dene ke bareme woh dono nahi sochi thi.Agar sochi hoti toh kabh ki de deti.
Pari- Nahi maa main yeh nahi kar sakti.
Komal- Haan hum yeh nahi kar sakte.
Shakuntala- Dekho main samajhti hoon ki tum logon par kya beet rahi hai.Par aise jiya nahi jatah.Dekho teeno bachchon ko kaise khel rahe hai.Tum dono bas mayus rehte ho.Unke sath waqt bitana toh bhul hi gaye ho.Isilye keh rahi hoon ki azad ho jao.Tum bhi jeeyo aur bachchon ko bhi aapna maa dedo.
Aab dono sochne laghi ki baat toh sahi hai.Unn dono ko yaad hi nahi kabh dono ne bachhon ke sath waqt bitayi thi.Unko bhi aab yeh sahi laghi aapne ke liye.
Pari- Thik hai maa main tyaar hoon mere bachche ke liye.
Komal- Main bhi.
Shakuntala ko thodi khushi mili.Usko dekhi nahi jayi ki yeh dono mayus hokar rahe.
Shakuntala- Thik hai main tumhare papa se baat karke ek advocate milta hoon.
Phir woh waha se chali gayi.Komal aapni kamre mein jakar bahot royi.Kabhi sochi nahi thi ki aisa bhi din ayegi.Pari bhi roune laghi.Kya patah aab unke zindaghi aab kya hoga.
Phir woh din bhi aye jis din Veer ke liye ek dardnak din hai.Veer office jane ke liye tyaar hokar betha tha.Tabhi ek courier wala aya.
Courier- Veer Pratap Singh kyon hai.
Veer uske samne jakar kahan.
Veer- Main hoon.
Courier- Aapke liye courier hai.
Phir woh Veer ko courier dekar chala gaya.Veer courier kholne lagah.Courier kholkar dekha ki doo kagaj hai.Woh jabh kagaj padh kar dekha toh hairan ho gaya.Woh fatak se sofe par beth gaya.Komal aur Pari ki sighn kiya huya divorce paper hai.Uske sara duniya jaise loot gaya.Ankhon se asu behne lagah.Woh aapne kamre mein chala gaya aur family photo dekh kar cheek cheek kar kahan.
Veer- Nahiii Komal Pari.Tum dono aisa nahi kar sakti.Main maar jayunga.Mere jeene ka aas toh tum logh ho.Aisa kyu kiya tum dono ne.Mera akhri ummid ko bhi tumne aaj maar dala.
Yeh kehkar bed mein beth kar roune lagah.

