Update 123
Komal- Main aur mere bachche tumhare liye maar chuke hai.Tumhare sath hamara koi rishta nahi hai.
Pari- Tumne hamara vishwas todah hai.Hum tumhe kabhi maaf nahi karenge.Kya kaami thi hamare pyaar mein.
Main bas roye ja raha tha aur Komal aur Pari ko samjha raha tha.
Main- Mera vishwas karo maine aisa kuch nahi kiya.
Komal- Tumhe vishwas karoon.Jo hamara dil todah hai.Tumhare sath hamara koi rishta nahi hai.
Pari- Kabhi hamare pas ane ki koshish bhi maat karna.
Yeh kehkar dono ghar ke bahar chale gaye.Main bhi bhag kar unke piche gaya.Woh logh car se waha se chala gaya.
Main- Maat jao mujhe chhodke.
Tabhi mera ankh khul gaya.Main bistar par beth gaya.Aaj bhi mujhe woh din yaad ata hai jisdin mujhe chhodh kar mera dil aur dhadkan chale gaye the.Mera bachche bhi mujhe chhodh kar chale gaye the.Aaj 1 saal ho gaya.Main mere bachche se nahi mil paya.
Aab main iss pure ghar mein akela reh gaya.Aab mere ghar mein bachchon ki kilkariyan nahi rahe.Aditya aur Ananya ki jhagde mujhe yaad ata hai.Ananya ki pyaari pyaari baate yaad ata hai.
Main hamara family photo lekar dekhne lagah.Iss ek saal mein main har din mera family photo dekhta raha.Aaj ke hi din mera zindaghi badal gaya tha.Mera sabh kuch loot gaya tha.Komal aur Pari mujhe chhodh kar chali gayi.
Main unke photo par hath fera raha tha.
Main- Komal Pari kyu mujhe chhodh kar chale gaye.Dekho main pura akela padh gaya.Tadap raha hoon.Mera koi galti nahi tha.Pls laut ayo.
Yeh kehkar main roune lagah.Kaafi der roune ke baad main bathroom chala gaya aur fresh ho gaya.Office ke liye tyaar hokar niche chala aya.Kamla ne khana banah kar table mein rakh di thi.Main bas thoda sa hi khaya.
Kamla- Sahab aap thikse khana nahi khate.Inn 1 saal mein aapne thik se khana bhi nahi khaye.Aapki swast bhi bigad raha hai.
Main kuch nahi bola aur aapni car lekar nikal gaya.Main aapni car mein beth kar office jane lagah aur sochne lagah.Kash uss din mein drink nahi karta.Kash mujhse galti nahi huya hota.
Komal aur Pari aab Rishabh uncle ke ghar reh rahi hai.Bachchon ki admission shahar2 mein karva di hai.Pari aab shahar2 ki hospital mein kaam karti hai aur Komal shahar2 wala office mein.
Main mera shahar1 wala office pohonch gaya.Har roj ki tarah kaam karne lagah.Kaam karte karte waqt ka patah nahi chalta kabh waqt ghujar jatah hai.Jaise 1 saal ghujar gaya.
Main office se nikal kar shahar2 jane lagah.Har roj main waha jatah hoon.Bachchon ki school mein.Bachchon ko dekhne ke liye.Main school mein pohoch gaya.School chutti hone mein abhi bhi 15 min baaki tha.Kuch 5 min ke baad Komal aur Pari car mein ayi.Main ek pedh ke niche school se kuch dhuri par khada rehta hoon.Har roj main yeh karta hoon.Shayed Pari aur Komal ko mere upar taras a jaye.Par aaj tak unko mere upar taras nahi aye.Kyu ayenge maine vishwas jo todah hai.Lekin koshish karta rehta hoon.Bachchon ko bhi dekhne ko mil jatah hai.
Woh logh ek baar mere taraf dekhi phir muh fer li.Yeh mere dil ko chir deta hai.Phir bhi main yaha akar khada rehta hoon.Tabhi school ke chutti hota hai.Bachchon bahar nikal a rahe the.Pehle pehle bahche mere pas ana chahte the lekin Komal aur Pari unhe nahi ane dete hai.Aab woh kuch nahi kehkar sirf mere taraf ek baar dekhte hai phir car mein beth jateh hai.Main bhi unko hi dekhta rehta hoon.Phir Komal aur Pari waha se chale jateh hai.
Main bhi namm ankhon se unhe dekhta rehta hoon.Phir main gaon laut aya.Zindaghi mera yehi hai aab.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.