Update 113
Zindaghi ka safar aisa safar hai jo khatam hi nahi hota jabh tak maut na aye.Iss safar mein kitne logh kamiyab hote hai mujhe nahi malum.
Gaalon par kisi ke hath ferane se mera ankh ahista ahista khul gaya.Jabh pura khul gaya toh maine dekha koi darwaza se bhag kar ja rahi thi.Dekhne mein koi ladki lagh rahi thi.Maine bhi bhag kar gaya.Jabh main bahar aya toh koi ladki bahar ki taraf bhag rahi thi.Main bhi piche piche bhag raha tha.Tabhi main dekha woh ladki ek room mein ghus gayi.Main bahar rukh gaya.Jabh main darwza ki upar naam padah toh waha likha huya tha Dr.Pari.Pari kyu hamare kamre mein ayi thi.Andar jaon ki nahi.Kafi sochne ke baad main ulte pair bapas a hi raha tha ki mujhe sisakne ki awaaz sunai diya.Main bapas darwaza ke samne khada ho gaya.Main darwaza thoda sa khol kar andar dekhne lagah.
Andar Pari aapni chair pe bethi huyi thi aur asu baha rahi thi.Mobile mein dekh kar bol rahi thi.
Pari- Sisakte huye….Veer main tumhe bhul nahi pa rahi hoon.Itne saalon mein main tumhe bhul nahi payi.Doo din baad mera sagai hai Raj ke sath.Papa ke jor dalne par mujhe raaji hona padah.Raj acha ladka hai.Lekin woh tumhare tarah nahi hai.Patah nahi woh kaisa hai.Par papa ke baat main taal nahi saki.Unhone aapna kasam dila diya tha.Socha tha tumhare yaad mein sari zindaghi kaat lungi.Main tumse bahot pyaar karti hoon Veer.Hamisha karti rahungi.Tum khush rehna aapni zindaghi mein.Mera zindaghi mein kya likha hai yeh main bhi nahi janti.
Yeh kehkar woh roune laghi.Mera ankhon se bhi asu nikalne lagah.Kya kiya maine.Kya main Pari ki zindaghi barbad kar diya.Main Komal ke pas a gaya.Komal sou rahi thi.Main bachchon ko dekhne lagah woh bhi sou rahe the.Main jakar ek chair mein beth gaya.
Main aapni zindaghi mein khush ho gaya.Lekin Pari khush nahi ho payi.Main Komal ke sath sukh ki anand leta raha par Pari woh anand nahi le payi.Maine Pari ke sath acha nahi kiya.Kya main Komal ke sath acha kar raha hoon.Mujhe Komal ko sabh kuch pehle bata dena chahiye tha.Maine Komal ke sath dhoka kiya hai.Main beth beth kar asu girate raha.Maine yeh acha nahi kiya.
Tabhi Komal ne mujhe pukara.Maine dekha woh bed mein adh leti bethi huyi thi.Mujhe aapne pas bulaya.Main jakar uski pas jakar beth gaya.
Komal- Kya huya tum rou kyu rahe ho.
Main- Maine tumhe dhoka diya hai.
Komal- Kaisi dhoka.
Main- Jo mujhe tumhe pehle bata dena chahiye tha.
Komal- Kya.
Main- Yehi ki main kisi aur se pyaar karta tha.
Komal- Yeh toh main janti hoon.
Main- Haan par mujhe tumhe batana chahiye tha.
Komal- Par maine toh tumhe kuch nahi kahan na.Toh udas maat ho.
Main- Par main aaj tooth gaya.
Mere ankhon se asu nikalne lagah.
Komal- Kya huya.
Main- Main khud ki zindaghi mein khush raha lekin Pari khush nahi reh payi.Woh aaj bhi mujhse pyaar karti hai.Woh rou rahi hai.Patah nahi kaise itne saal dard ke sath jee rahi hai.Main aaj guilty mehsus kar raha hoon.
Komal kuch nahi kahin bas mujhe dekhti rahi.
Main- Maine bahot galat kiya Pari ke sath.
Komal- Tumne nahi maine.Agar tum mujhse mojburi mein shaadi na karte toh aisa nahi hota.Mere bajase Pari ko itna dukh jhelne padi.Main hi unko sukh dungi.
Main hairani se uski taraf dekhne lagah.
Main- Matlab?
Komal bhi asu baha rahi thi.
Komal- Matlab tum unse shaadi karoge.
Uski baat sunkar toh main hairan reh gaya.Main khada ho gaya.
Main- Yeh kya bakwas kar rahi ho.
Komal- Tumne mujhse vada kiya tha na ki main jo mangunga woh doge.Aaj main mangti hoon ki tum Pari se shaadi karo.
Main- Yeh kabhi nahi ho sakta.
Komal- Dekho Pari ne itne saal bahot dukh jheli.Aab usko thoda khushi de doo.
Main- Uski sagai tay ho chuki hai.
Mere baat sunkar Komal shocked ho gayi.Woh aur kuch nahi kahin.
Main- Aab tum sou jao.
Maine Komal ko sula diya.Main uski pas mein beth gaya.Woh mere taraf dekh rahi thi.Main bas niche dekh raha tha.Khamoshi mein kabh dono sou gaye patah bhi nahi chala.

