Update 110
Kehte hai dubte huye ko tilke ki sahara chahiye hota hai.Jinko woh sahara mil jatah hai woh jee leta hai aur jinko nahi milta woh dubh jata hai.Zindaghi mein logh dard jhel jhel kar age badhte hai.Jinka dard nasur bann jatah hai woh jee nahi pateh.
Pari- Humne unko bachane ki bahot koshish kiya lekin bacha nahi paye.Unka ek beta aur beti huye hai.
Rouna dhona shuru ho gaya tha waha par.Divya bua Sonali bua ko sahara de rahi thi.Mere samne bas Komal ki khilkhilata huya chehra nazar a raha tha.Uski masoomiyat ki woh lamhe mujhe yaad ane lagah.Itna masoom ladki kabhi maar nahi sakti.Dadi ne mere khyal rakhne ke liye usko bola tha.Woh aapna vada nahi todh sakti.
Main- Nahi Komal ko kuch nahi huya hai.
Mere baat sunkar Pari meri taraf dekhi.Woh dekh kar shocked ho gayi.Woh mujhe dekh rahi thi.Sonali bua ko hosh a chuki thi woh rou rahi thi.Main unke pas chala gaya.Main unkii asu pochte pochte kahan.
Main- Nahi maa aap rou kyu rahi hai.Komal ko kuch nahi huya hai.Meri Komall kabhi mujhe chhod kar nahi ja sakti.Usne mujhse vada kiya tha kabhi mujhe chhod kar nahi jayegi.Main abhi usko lekar ata hoon.
Mere ankhon se paani ka sehlav nikal raha tha.Par kyu mujhe patah nahi tha.Main janta tha Komal ko kuch nahi huya hai.Phir bhi kyu nikal raha tha malum nahi.Main bhag kar operation theatre ke andar ghus gaya.Mere piche sabh ghus aya.Maine dekha safed kapde mein Komal leti huyi hai.Uska masoomiyat ka jhalak main dekh raha tha.
Pas mein bed mein bachche the.woh rou rahe the.Main naam ankhon se muskurate huye Komal ke pas jakar khada ho gaya.Main Komal ko hilane lagah.
Main- Komal utho na.Dekho na Maa rou rahi hai.Yeh majak chhodo aur jaldi se uth jao.Main janti hoon tum nautanki kar rahi ho jaise mere sath karti thi.Utho na.
Komal hil bhi nahi rahi thi.Aab mere asu nikalne lagah.Mere halat dekh kar Divya bua boli.
Divya Bua- Beta sambhal khud ko.
Main- Bua abhi dekhna Komal uth jayegi.Hamisha aisi nautanki karti hai.Utho na Komal.
Komal hil bhi nahi rahi thi.Aab main roune lagah.
Main- Tum aapna vada todh rahi ho.Tumne kahan tha mujhe chhod kar kabhi bhi nahi jaoge.
Sabh rou rahe the waha khade hokar.Mere halat dekh kar sabhke ankhon se asu nikalne lagah.
Main bilakh bilakh ke roune lagah.
Main- Komal uth jao.Main tumhare bina jee nahi sakta.Dadi ne tumhe mera khyal rakhne ke liye kahan tha na.Tum Dadi ka baat nahi manoge.Uth jao plss.Main main tu tumhe kabhi t t tang nahi karunga.J jo bhi kahoge woh woh karunga.Plss uth jao.T t tumhe maa shabd sunna tha na.D d dekho hamare doo bachche huyr hai.Tumhe maa pukarne ke liye.Tum nahi sunoge.Chalo uth jao.
Main bahot roune lagah.Aakash uncle mere pas akar bola.
Aakash uncle- Beta woh aab kabhi nahi uthegi.
Maine jor se unko dhakka diya woh jhakar deewar se takrayaa.
Main- Nahi mera Komal ko kuch nahi ho sakta.
Main Komal ko bahon mein bhar liya kaske.
Main- Komal uth jao.Dekho na yeh sabh kya bakwas kar raha hai.Hamare bachche ki khatir uth jao.Woh logon ko maa ki jorurat hai.Main unko kya kahonga.Plss uth jao.Tumhe meri Kasam.
Tabhi maine mehsus kiya Komal ek lambi saans lekar awaaz kiya.Machine mein bhi awaaz hone lagah.Main ahista se Usko alagh kiya.Maine dekha uska ankh khula tha.Mera khushi ka koi thikana nahi raha.Main uski pura muh chumne lagah.Main ahista se usko letakar kahan.
Main- Dekha maine kahan tha na meri Komal mujhe chhod kar kabhi nahi ja sakti.Tabhi sabh hamare taraf nazar dala.Sabh daud kar ayi hamare pas.
Sonali Bua- Meri beti zinda hai.
Pari daud kar ayi.Kuch nurse bhi a gayi.Komal shayed bahot weak thi isliye baat nahi kar rahi thi.Woh bas hame dekh rahi thi.
Nurse- Madam inka heartbeat achanak rukh gayi thi.Patah nahi kaise chalu ho gaya.
Pari- Aap sabh bahar jaiye.
Pari bhi shayed rou rahi thi.Main aur sabh bahar akar khade ho gaye.Aab hum sabh ke muh par thoda khushi tha.Hum bahar wait karne lageh.Kuch der mein Pari nikal ayi.
Pari- Yeh ek miracle tha.Bachcha hone ke baad achanak rukh gaya tha dil ke dhadkan.Hame lagah we lost her.Par aab woh thik hai.Par ek baat hai.
Hum sabh khush the ki woh thik hai.Par baat kya hai.
Divya Bua- Kya baat hai.
Pari- Komal aab kabhi bhi maa nahi bann sakegi.Scissoring ke time hame unka nas band karna padah.
Sonali Bua- Meri beti thik hai.Yeh hi mere liye badi baat hai.Mera nati natni kaisa hai.
Pari- Woh dono thik hai.Kuch der mein room mein shift kar diya jayega.Par Komal ko rest karne dijiyega.
Sonali Bua- Jee.
Pari waha se chali gayi.Hum sabh rahat ki saans liya.Subah ki 6 baj raha tha.Mera khushi ka koi thikana nahi raha.Main aaj papa bann gaya.Mujhe uska yeh saas hote hi dil mein alagh sa khushi ho raha tha.Main waha par khada tha aur bua bench pe bethi huyi thi.Kuch der baad Aakash uncle ne chay lekar aya.Sonali bua khana nahi chahti thi lekin jabardasti khila diya.Mujhe bhi chay diya lekin main sirf lekar khada raha.
Kuch der baad nurse akar hume khabar diya ki hum mil sakte hai.Hum uss cabin mein ghus gaye.Komal sou rahu thi.Uski bed ke sath jhule mein dono bachchon ko rakha gaya tha.Main jakar Komal ke pas uski hath pakad kar beth gaya.Woh nind ke agosh mein thi.Uncle aur bua bachchon ke pas chala gaya.
Divya Bua- Yeh dono kitna cute hai.
Sonali Bua- Kisika nazar nahi lageh.
Sonali bua dono ki balaiya li.Woh sabh bahot khush the.
Kajol Bua- Didi pehle mein ghod mein lungi.
Divya Bua- Are tu choti hai.Main pehle lungi.
Aakash uncle- Main sabh se badah hoon toh main lunga.
Sameer uncle- Yeh thik nahi hai jija ji.Main lunga.
Sonali Bua- Nahi nahi main lungi.
Woh sabh jagdha karne lagah.Main unke samne jakar khada ho gaya.
Main- Main kuch kahun.
Sonali Bua- Haan beta tum hi kuch kahon.
Main- Yeh tohoh doo hai.Toh ek ko maa lijiye aur ek ko Divya bua lijiye.Phir ek ko Kajol bua lengi aur ek ko Aakash uncle.
Sameer uncle- Yeh kya baat huya.Main last mein.
Sabh hanse lageh.
Main- Aap dono ko bari bari le lena.
Sameer uncle- Tabh thik hai.
Phir woh sabh ek ek karke lene lagah dono ko.Dono aab sou rahe the.Unke lene par jhagh gaya aur roune lagah.Ek Sonali bua ke pas tha aur ek Divya bua ke pas tha.Sabh dono ko chup karane lageh.Sameer uncle ajeeb ajeeb muh banakar chup karane lageh.
Sonali Bua- Are inn dono ko bhuk laghi hai.Aap dono bahar jaiye.Hum doodh pila dete hai.
Phir Aakash uncle aur Sameer uncle ke sath main bahar a gaya.Dono uncle ne mujhe badai diya.
Aaksh uncle- Patah nahi Aakshay aurur Sahil kaise honge.Hum ghar chalte hai.Khana bhi toh lana hai.
Sameer uncle- Haan yeh thik rahega.
Main- Uncle aap teeno bua ko bhi ghar lekar jaiye.Sabh thak gaye honge.
Aakash uncle- Tum bhi thak gaye ho.Tum logh jao main yaha rukh raha hoon.
Main- Nahi uncle aap jaiye sabh ko lekar.Dopeher ko a jana.Main thik hoon yaha par.
Aakash uncle- Thik hai.
Phir badeh mushkil se sabh ko razi kiya jane ke liye.Sonali buaua toh jana nahi chahti hai.Maine jabardasti kiya.Woh sabh ja rahe the main dekh raha tha.Tabhi achanak Divya bua mere pas ayi aur mujhe gale lagah liya.Mujhe toh jaise jannat mil gaya.Pehli baar woh mujhe galeh lagayi thi.Phir woh mere mathe ko chum kar boli.
Divya Bua- Hamisha khush rehna.
Phir woh sabh chale gaye.Main aaj bajot khush tha.Mujhe sabh kuch mil gaya tha aaj.Main Komal ke pas akar beth gaya.Woh abhi bhi nind mein thi.Bachche bhi sou gaya tha.Main raat mein naa soune ki bajase mera ankh lagh gaya.

