Main Aur Mera Gaon – Update 98 | Adultery Sex Story

Xossip
Reading Mode

Update 98

Jabh kisi ke samne zindaghi ka kadvi sachai ata hai toh koi usse jhel leta hai koi jhel nahi patah.Duniya mein strong logh bhi hai aur weak logh bhi hai.Kitno ko himmat hota hai sachai janne ka.Jabh kisiko malum padhta hai woh ek bastard hai tabh usko kaisa react karna chahiye.Yeh shayed wohi samajhta hai jo aisi situation se gujra hai.

Kahan ja raha hoon main.Mujhe khud nahi malum.Main bas car chala raha tha aur asu baha raha tha.Mere bajase kitno ki jeevan barbad ho gaya.Main car chalate chalate ek bar ke samne akar ruka.Car se bar ke taraf dekh raha tha.Woh bar mera kalija ka aag nibhane ka jariya dikh raha tha.Main car se utarkar bar ke andar ghus gaya.Bar ke andar ladke aur ladkiyan dance kar rahi thi.Main jakar table mein beth gaya.Waha par waiter aya.

Waiter- Boliye sir kya laun aapke liye.

Mujhe toh bas sharab chahiye tha.

Main- Sharab lao.

Waiter- Konsa brand laun.

Main- Kuch bhi jisse nasha chadhta hai jabardast.

Waiter- Thik hai sir.

Main bas woh chitti ke bareme soch raha tha.Main sirf mere baap ka aish ka nishani hoon.Waiter ek bottle le aya.Main jindaghi mein kabhi sharab nahi peeya.Main bottle kholkar ek baar mein hi muh mein lagakar peene lagah.Bahot kadvi tha.Par mere zindaghi ke kadvai se jyada na tha.

Waiter- Are are sir yeh kya kar rahe hai soda toh dal lete.

Mujhe jabardast nasha chadh gaya tha.

Main- Tum sharab lekar aye tumhara kaam ho gaya aab tum jao yaha se.

Waiter waha se chala gaya.Main sharab aise hi pi raha tha na koi soda na paani.Jabh sunta tha ki logh sharab peete hai toh bahot kharab laghta tha ki kyu yeh pee ta hai.Par aaj malum padah kyu peete hai.Sach mein kuch acha feel ho raha hai.1 ghante mein maine doo bottle pee liya.Aab mujhe itna nasha chadah huya tha ki samne kuch dikhai nahi de raha tha.Sabh kuch double double dikh raha tha.Main bill pay karke ladhkhadate pair mein bahar a gaya.Tabh raat ke 9 baj raha tha.Main shahar1 mein tha.Main ladhkhadate huye bahar akar teesra bottle hath mein lekar raste mein chalne lagah aur aapni zindaghi ke bareme sochne lagah aur sharab pee raha tha.

Main chalte chalte market area mein a gaya.Bahot sara logh tha.Main sabh ke upar ludhakte huye chal raha tha.Main ek aadmi ke upar gir gaya.

Aadmi- Aabe saale sharab pee kar mere upar hi gir raha hai.

Main sharabi ki tarah ladhkhadate huye bola.

Main- Aabe saale tu kisko gaali de raha hai janta hai.Main Veer hoonThakur Veer Pratap Singh.Tu mujhse iss tarike se baat kar raha hai.

Tabh mujhe yaad aya ki main thakur woh ka kuch toh laghta hi nahi.Tabh main pagalon ki tarah hasne lagah.Aajo bajo sabh logh mujhe dekh kar samajh rahe hai ki main koi pagal hoon.Tabhi mera mobile bajne lagah.Main aapne mobile mein dekha toh Komal ka phone tha.Main chalte chalte baat karne lagah.

Main- Hello sweetheart.

Komal shayed rou rahi thi.

Komal- Tum kahan ho.Phone kyu nahi lagh raha tha aur tum sharabi ki tarah kyu baat kar rahe ho.

Main hasne lagah.

Main- Sharab peyunga toh sharabi ki tarah baat karunga na.

Komal- Tumne sharab kyu peeya.

Main- Aapni bajood ko jankar kalija jaal raha hai usko nibhane ke liye.

Komal bahot rou rahi thi.

Komal- Tum kahan ho.

Main- Main jaha bhi hoon tumhe janne ki jarurat nahi hai.
Komal I am sorry main tumhe khush nahi rakh paya.

Komal- Kisne kahan main khush nahi hoon.Main bahot khush hoon.Batao na kahan ho tum.

Main- Nahi Komal main janta hoon.Main tumhe woh pyaar nahi de paya shayed jo tum chahti thi.Mujhe maaf kar dena.Maine bahot koshish kiya tumhe woh pyaar dene ke liye.Main sirf ek bastard hoon.Aapni baap ka aiyashi ka natija.Tum khush rehna Komal.

Main yeh bolkar phone todh diya aur roune lagah.Main ek sunsan jagah mein a gaya.Main ek khamba ke kinare beth gaya.Raat ke andere mein main sirf akela hi betha tha.Kabhi do aad logh ate jateh aur mujhr aise dekh rahe hai jaise main koi athoba ajooba hoon.Teesra bottle bhi khali ho gaya.Kuch der mein main behosh ho gaya aur ek taraf ludhak gaya

Please complete the required fields.




Comments

Leave a Reply