Update 78
Raat ke karib 12 baje mera pet mein khalbali machne lagah.Main uthkar dekha toh Komal abhi tak nahi ayi.Main daud kar bathroom mein ghus gaya.Main 10 min baad bahar nikla.Bahar nikal kar mein bed par gir gaya.Aab kya hoga.Mera toh pet kharab ho gaya.Kuch der baad phir se khalbali machne lagah.30 min mein 5 bar gaya main bathroom mein.Mere jism mein aab shakti nahi tha.Main pair jhulakar leta raha.Mujhe koi takat nahi mil raha tha.Jamai adar kuch jyada hi ho gaya tha.Kuch der baad Komal room mein ayi.Woh mujhe dekhkar boli.
Komal- Aise kyu lete ho kya huya.
Main thoda sa ankh khulkar bola.
Main- Jamai adar jyada ho gaya.
Woh mere pas bethkar boli.
Komal- Matlab?
Main- Are mera pet kharab ho gaya hai.
Mere baat sunkar Komal hasne laghi.
Main- Yeh pagal ki tarah has kyu rahi ho.
Komal- Nahi aise hi.Jamai ke sebah karte karte kuch jyada kar diya.
Main- Are woh saab chodo pehle mere pet ka kuch karo.
Komal- Are ruko main kuch karti hoon.
Komal bahar chali gayi.Main kamre mein leta raha.Kuch der baad Komal andar ayi aur hath mein ek glass tha.
Komal mere pas akar boli.
Komal- Chalo yeh pi lo.
Main- Yeh kya hai.
Komal- Yeh nimu paani hai.
Main- Usse kya hoga.
Komal- Isse takat milega.
Phir main nimu paani pi liya.Phir Komal mujhe ek tablet khila diya.Main sidha sou gaya.
Komal- Aab kaisa lagh raha hai.
Main- Kuch acha lagh raha hai.
Komal mere pas let gayi aur mere seene mein sar rakh kar leti rahi.Kuch der baad woh boli.
Komal- Tumse ek baat puchon?
Main- Haan pucho.
Komal kuch der rukh kar boli.
Komal- Kya tum mere sath khush ho.
Komal ka baat sunkar main shocked ho gaya.Itne saal baad yeh mujhe yeh sawal kyu puch rahi hai.
Main- Yeh kaisi baat kar rahi ho.Aaj huya kya hai tumhe.
Komal- Kuch nahi bas janne ka mann huya.
Main- Woh kyu?
Komal- Hamare shaadi jis halat mein huya hai uske liye puch raha hoon.
Main kuch der sochta raha Komal ke bareme.Main aapne zameer se pucha ki kya main Komal ko khush rakh paya.Main Komal se pucha.
Main- Kya main tumhe khush nahi rakh paya.
Komal fatak se uth gayi aur bheege ankhon se mujhe dekh kar boli.
Komal- Tum mere liye woh insan ho jiske liye maine sapne sajaye the aapne sapno mein.Tum mujhe woh saab khushi diya jo main hamisha chahta tha.Lekin main tumse janna chahta hoon ki kya tum mere sath khush ho.
Komal ka baat sunkar main aapna zameer se puchne lagah ki kya main Komal ko pyaar kar sakah.Kya main usko aapni biwi ke jagah de paya.Mere zameer mujhe haan bola.
Main bhi uthkar beth gaya aur Komal ko aapni pas bethakar uski ankhon mein ankhen dalkar bola.
Main- Haan main tumhare sath bahot khush hoon.Dadi ke baad agar koi mere liye mayne rakhte hai toh woh tum ho.
Yeh bolkar main Komal ke honth ko kiss kar diya.Komal mujhse jor se chipak gayi.Main bhi Komal ko bahon mein bharkar let gaya.
Komal- Mujhe kabhi chodkar maat jana.Agar tum chale gaye toh main jee nahi payungi.
Main- Tumhe main kabhi bhi chodkar nahi jaunga.Hamisha tumhare sath rahonga aur hamare pyaari si beti bhi toh ane wale hai.
Iss baat par Komal sharmakar aur mujhse chipak gayi.
Komal- Dhatt tum hamisha wohi baat kyu karte ho.
Main- Kyu ki mujhe ek Komal jaisi pyari si beti chahiye.
Komal- Mujhe toh tumhare jaise nanha sa beta chahiye.
Main- Thik hai dekhte hai kisko kya milta hai.
Phir hum kabh ek dusre ko bahon mein bahrkar sou gaye patah bhi nahi chala.
Jabh subah mera nind khula toh maine dekha subah ki 8 baj raha tha.Main pas mein dekha toh Komal nahi thi.Main uthkar fresh hokar bahar nikal kar dekha toh Komal aur Sonali bua bethkar baate kar rahe the.Mujhe dekhkar Sonali bua boli.
Sonali Bua- Are beta uth gaye.Ayo milkar nashte krte hai.
Phir hum tino milkar nashte kiye.Nashte karne ke baad main bahar ke chaokhat mein beth gaya.Komal aur Sonali bua andar kaam kar rahe the.Tabhi mujhe gaon ghumne ka mann huya.Main Komal ko batakar gaon ghumne ke liye nikal pade.Yeh gaon bhi acha tha.Kuch dhur jane ke baad main kuch dekh kar rukh gaya.

