Update 77
“2 YEARS LATER”
Samay kaise bitta gaya malum hi nahi padah.Komal office aur aapni MBA ki padai mein laghi huyi thi.Iss bich Komal kabhi bhi aapni maike nahi gayi aur bua bhi nahi ayi.Samay ke raftaar ke sath hamare zindaghi chalta gaya.Zindaghi ke do saal kaise beet gaya malum nahi padah.Kabhi kabhi Pari ka bahot yaad ata hai.Akele jagah dekh kar thoda rou leta tha.Jitna bhulne ki koshish kiya utna hi dil par bethta gaya.Aab main jaan chuka tha ki main kabhi Pari ko bhul nahi payonga.Komal ke sath main bahot ghulmil gaya.Dadi ka jagah Komal le li thi.Mera har chiz ka khyal rakhti thi woh.Jabh bhi main bimar padta tha woh mujhe ek pal ke liye bhi nahi chodti thi aur jabh woh bimar padti thi main uski khyal rakhta tha.Iss bich jabh Komal bimar padti agar koi important kaam hota tha toh main office chala jata tha.Varun aur Manisha mere sabse acha dost ban gaye the.Varun aur Manisha ko abhi tak patah nahi hai ki mera shaadi ho chuka hai.
Aaj mera college ka final exam ka last din hai.Main akhri paper dekhar college se bahar a gaya.Bahar ate hi mujhe Manisha mili.
Manisha- Kaisa raha paper.
Main- Acha tha.
Manisha- Acha kyu nahi hoga.1st year mein toh tumhe 85% mila tha.Iss baar kitna milega?
Main- Dekhte hai.Tum bhi batao kaisa raha tumhare exam.
Manisha- Acha tha.
Tabhi waha par Varun a gaya Manisha ko lene ke liye.Varun pichle saal pass karke nikal gaya tha.
Varun- Kya baat ho raha hai.
Main- Kuch nahi yaar.Aise hi exam ke bareme puch raha tha.
Varun- Chal canteen mein jakar beth te hai.
Main- Nahi yaar.Tum logh jao.Mujhe jaldi ghar jana hai.
Varun- Chal koi baat nahi.Phir kabh milenge?
Main- Jabh result dega.
Manisha- Iss bich nahi miloge?
Main- Main thodi na yaha rehta hoon.Phir bhi kabhi na kabhi mulakat toh hoga hi.
Varun- Chal Bye.
Main bhi un dono ko byr bolkar aapna bike lekar Komal ki office ki taraf nikal padah.Aaj Komal surprise dene ka mood mein tha.Komal mera zindaghi ban chuka hai.Uski bina mera din nahi pura hota tha.Pari mere dil ki aag kone mein basi huyi thi.Komal mere dhadkan bann gayi thi.Main raste mein ek gulab ke pholon ki guldasta liya.Kuch der baad main office ke bahar pohonch gaya.Bike ko park karke gate mein ate hi watchman ne mujhe salute kiya.
Andar jate hi sabhne khade hokar mujhe Good afternoon kehne laghe.Main bhi unko wish karta huya Komal ke cabin ke taraf badh gaya.Main cabin ke bahar akar andar ke or jhanka toh dekha Koma khadi hokar ek file dekh rahi thi.Uski peeth mere taraf tha.Main ahista se andar ghus gaya guldasta ko ahista se table mein rakhkar Komal ko piche se bahon mein bhar liya.Pehle toh Komal chonk gayi.
Komal- Kyon hai.
Main- Aab apni patidev ko bhi pehchan nahi pa rahe hai.
Komal aab muskurane laghi.Main aapna sar uski kandhe par rakhkar aur hath pet mein rakhkar khada tha.
Komal- Acha patidev ji.Boliye aapka kya sebah karoon.
Main- Sebah toh nahi par aapko aapni vada ko yaad dilane aya tha.
Komal- Konsa vada.
Main uski gardan ko chumte huye bola.
Main- Tum bhul gayi na.
Main uski pet ko sehlate huye bola.
Main- Yaha par meri beti lane ki baat.
Iss baar Komal sharmane laghi.
Main- Boliye na.Dengi na ek chota sa pyari si beti.
Komal- Sharmate huye…Woh main kaise batah sakti hoon ki beti hoga ya beti.Baise mujhe toh tumhare jaisa beta chahiye.
Main- Nahi nahi pehle toh beti hogi.
Komal- Nahi pehle beta.
Main- Nahi beti.
Komal- Acha jo bhi ho dekha jayega.
Main- Toh dengi na.
Komal- Sar ko niche jhukakar….Haan.
Main Komal ko ghumakar ghod mein uthakar ghumane lagah aur kehne lagah.
Main- Yeahhhhhhhhh.
Komal- Hasti huyi…Are chodo main niche gir jaungi.
Main Komal ko niche utara.Main table se guldasta lekar Komal ko diya aur bola.
Main- For my beautiful wife.
Komal phool ko dekh kar bahot khush huyi.
Komal- Thanks.
Main- Aab yeh thanks chodo.Hum kahin jane wale hai.
Komal- Kahan.
Main- Surprise hai.
Komal- Bolo na kahan.
Main- Are bol dunga toh surprise ka kya reh jayega.
Phir hum dono ghar aye.Ghar akar packing kiya.Har samay Komal mujhse puchti rahi kahan ja rahe hai.Par maine usko kuch nahi bola.Hum khana khakar aapna car mein nikal pada.Jabh hum highway mein pohoncha tabh main Komal ka ankh band kar diya patti se.Woh mujhse puchti rahi.Main inn do saal mein car chalana sikh liya tha.Car main drive kar raha tha aur Komal mere pas betha raha.Karib 1 ghante ke baad hum ek ghar ke pas ruke.Main car se utarkar Komal ko utara.Komal ko utarkar uski patti khol diya.Komal jabh dekhi woh kahan par khadi hai woh mujhse chipak gayi.Hum jaha aye the woh mera sasural tha.
Main- Are aise gale lage rahoge ya andar jaoge.
Komal mujhse alagh hokar boli.
Komal- Thank you.
Main- Yeh thanks bolna chodo aur andar jao.
Komal daud kar andar chali gayi.Main bhi uski piche piche chala gaya.Komal sidha aapni maa ki kamre mein ghus gayi.Bua bed par leti huyi thi.Komal jakar unko uthane laghi.Woh jabh uthkar dekhi Komal ko toh woh rou kar Komal gale lagah liya.Dono ki ankhon mein asu tha.Main bas woh manjar ko dekhta raha.Sonali bua ne Komal ka chehra ko chumta gaya.
Woh manzar dekhkar mujhe bhi aapna maa ki yaad a gaya.Kabhi aisa lamha mujhe nahi mila tha.Kabhi koi taklif nahi huya mujhe.Lekin maa ka pyaar nahi mila.
Sonali Bua- Kaisi hai meri bachchi.
Komal- Main thik hoon maa.Aap kaisi ho.
Sonali Bua- Aab tu a gayi toh main thik ho jaunga.
Kuch der unke milap chalta raha.Jabh bua ke nazar mujhpar padah toh woh uthakar khada ho gayi.
Sonali Bua- Are beta khade kyu ho.Betho.
Main unke samne jakar unke pair chua.Woh mujhe ashirvaad diya.
Sonali Bua- Beta tum thak gaye honge.Tum aram karo.Komal Veer ko aapne kamre mein le jao.
Komal mujhe lekar uski kamre mein le gayi.Komal ka kamra bahot acha tha.Aisa lagh hi nahi raha ki yaha par koi nahi rehta.Bilkul saaf sutra.Room mein ate hi Komal mujhe gale lagah liya.
Komal- Thank you.Mujhe yaha lane ke liye.
Main bhi usko bahon mein bharkar kuch der khada raha.Phir hamara samna lakar main bathroom mein ghis gaye.Komal ke room mein ek bathroom tha.Main fresh ho gaya.Phir Komal bhi fresh ho gaya.Raat bhi ho chuka tha.Sonali bua ne bahot sara khana banaya tha.Aab jamai hoon toh itna toh karega hi.Sonali bua bahot khush lagh rahi thi.Mere pet pathne ke kagar par a gaya tha.Main kisi tarah khana khakar room mein akar bed mein sou gaya.Komal aapni maa ke sath baat karne laghi

