Update 75
Maine dekha do ladke ek ladki ke sath badtamizi kar rahe the.Main unke pas chala gaya.Main unke baat sunne lagah.
Ladka- Dekh simple sa kaam hai.Sirf aapna top utarne ke liye keh raha hoon.
Ladki- Roti huyi…Nahi main yeh nahi kar sakti.
Ladka- Karna toh padega.
Mujhe aab ghussa ane lagah.Main jakar uss ladki ke pas khada ho gaya.
Ladka- Aabe kyon hai tu.
Main- Iss ka bhai.
Mere baat sunkar ladki hairan ho gayi.
Ladka- Toh aapna behen ko bolna hamne jo kahan hai woh karne ke liye.
Main- Dekho aapna hadh par maat karo.Nehin toh acha nahi hoga.
Mere baat sunkar Ladke khade ho gaye.
Ladka- Nahi toh kya.
Yeh bolke woh mere shirt ke jebh ko padh diya aur mujhe dhakka markar niche gira diya.Mere shirt mein mitti lagh gaya.Aab mujhe ghussa a gaya.Main uthkar khada ho gaya.Jaise hi main unke taraf bada ek jordar thappad ladke ki muh par padah.Yeh wohi ladke the jo mera ragging le raha tha.
Ladka1- Dekh Sunil aapna hadh mein reh.Agar hadh par kiya toh haddi pasli tod dunga.
Ladka- Dekh Varun tu iss me na padh.Main sirf ragging kar raha tha.
Varun- Maine sabh dekha tu kya kar raha tha.Ragging kar lekin ek hadh mein reh kar.Aab phutle yaha se.
Woh ladka mujhe ghur kar chala gaya.Varun mere pas akar bola.
Varun- Bahot acha kaam kiya.
Woh ladki mere pas akar khadi ho gayi aur boli.
Ladki- Thanks.
Main- Koi baat nahi.
Ladki- Mera naam hai Manisha.
Main- Mera naam hai Veer.
Varun- Mani tune uss Sunil ko bataya kyu nahi tu mera behen hai.
Manisha- Woh main darr gayi thi.
Varun- Chal koi nahi.Age se agar woh kuch kiya toh mere baat bol dena.Baise thanks Veer.
Main- Koi baat nahi.Aap dono sagi bhai behen hai kya.
Varun- Nahi nahi yeh mera mama ke beti hai.
Main- Woh acha.
Varun- Chalo Veer chalte hai.
Main- Thik hai.
Woh logh car lekar nikal gaye.Mera toh shirt phatt gaya tha aur shirt mein mitti bhi lagh gaya tha.Aaj maine socha tha Komal ko lane office chala jayonga.Aab aise kaise jaon.Acha chalo koi baat nahi.Phir main bike lekar Office ki or chal pada.
Kuch der baad main office ke bahar pohonch gaye.Office bahot bada tha.Main niche se upar tak dekh raha tha.Bahot bada office tha.Main bikr park karke jaise hi andar ghusne ko huya watchman mujhe rok liya.
Watchman- Kahan jana hai.
Main- Andar aur kahan.
Watchman- Andar kahan.
Main- Komal se milna hai.
Watchman- Badtamiz malkin ko naam se pukarta hai.Chal nikal.
Woh mujhe dhakke dekar nikal diya.
Watchman- Phate huye kapde aur ganda kapde pehen kar kehta hai malkin se milna hai.
Aab yeh gadhe ko kyon batayega main kyon hoon.Main kabhi bhi office nahi aya tha isliye koi mujhe nahi pehchanta tha.Main Komal ko call lagaya.Aab yeh kya woh phone nahi utha rahi hai.Mujhe toh andar jana hai.Main gate ke taraf dekha watchman kahin gaya huya tha.Yehi samay hai patli gali se nikalne ke liye.Main jaldi se andar ghus gaya.Andar ghus kar sidhiyo se upar uth gaya.Upar ate hi dekha bahot sare logh kaam kar rahe the.
Main charo taraf dekh raha tha Komal ka cabin kahan hai.Main idhar udhar dekh raha tha.Tabhi koi ladki mujhse takra gayi.
Ladki- Andhe ho kya.Chii kitna ganda hai.Tumhe andar ane kisne diya.
Main- Dekhiye main Komal se milne aya hoon.
Ladki- Madam se milne aye ho.Bol toh aise rahe ho jaise unki pati ho.Are sabh idhar ayo dekho madam se milne kyon aya hai.
Sabh logh waha akar khade ho gaye.
Ladki- Yeh madam se milne aye hai.Kapde se toh lagh raha hai ki naukar hoga.
Sabh hasne laghe.
Main- Dekhiye main..
Mere baat ko pura na karne dekar woh mera majak udhane laghi.Aab inn gadho ko kyon samjhayega.Tabhi Komal bahar ayi.
Komal- Yaha kya ho raha hai.
Komal ki baat sunkar sabh darr gaye.Woh ladki darte huye boli.
Ladki- Madam yeh aapse milne aya hai.Shayed aapki naukar hai.Phate huye kapde pehenkar aye hai.Bikhari ki tarah.
Komal age akar mujhe dekh kar daud kar mere pas a gayi.
Komal- Mere sharir ko dekhti huyi…Kya huya tumhe.Yeh shirt kyu phati huyi hai.Mitti kyu lagah huya hai.
Main- Are shant ho jao.Sabh baad mein batata hoon.
Komal aab ghusse se uss ladki ki taraf dekh kar boli.
Komal- Tumhare himmat kaise huye inko bikhari bolne ki.Yeh tumhara malik hai.Iss property ka ek lauta waris.Yeh mujhse bhi bada hai.
Komal ki baat sunkar woh ladki darr gayi.Woh mere samne hath jodhkar boli.
Ladki- Mujhe maaf kar dijiye sir.Mujhe patah nahi tha.
Komal- Miss Rita aapki yeh badtamizi ke liye aapko main naukri se nikalti hoon.
Komal ki baat sunkar waha khada sabh logh darr gaye.Woh aapne aapne kaam mein chale gaye.Par sunn rahe the.Rita roune laghi.
Main- Are tum shant ho jao.Aaj kaal kapde se pehchan hote hai.Inki koi galti nahi hai.Agar main suit pehenkar ata toh galalt fehmi nahi hoti.
Komal- Phir bhi aise kaise kisi se bhi baat kar skti hai yeh.
Main- Are chodo na.Chalo tumhara cabin dikhao mujhe.
Phir main Komal ko lekar uski cabin mein a gaya.Lekin woh abhi bhi ghusse mein thi.Main jakar ussko piche se pakad liya.
Main- Are ghussa kyu ho rahe ho.
Komal- Ussne tumhe bikhari kaise boli.
Main- Are chodo na.Baise main toh tumhari pyaar ki bikhari hai.
Mere baat sunkar Komal hasne laghi.
Main- Aab yeh huyi na baat.Tum hasti huyi achi laghti ho.Ghusse mein cute laghti ho.
Komal- Toh ghussa ho jaon.
Main- Are nahi nahi itna bhi cute nahi.
Komal aurur main khilkhilakar hasne lageh.
Komal- Aab yeh batao yeh kapde kaise phati.
Main Komall ko sabh bata diya.
Komal- Chii kitna ganda ladka hai.Tum uska haddi kyu nahi tod diye.Main hoti na uska toh khair nahi tha.
Main- Are shant ho jao Gabbar Singh.
Komal- Chalo shopping mall mein.
Main- Aab shopping mall mein kyu.
Komal- Toh kya phata huya kapde lekar ghumoge.
Main- Are ghar tak hi toh jana hai.
Komal- Koi jorurat nahihi hai chalo.
Phir main aur Komal cabin se nikal aye.Aab sabh hame dekh kar khade ho gaye.Main aur Komal nikal pade.Jabh hum gate ke pas ruke toh waha watchman mil gaye.Woh sidha akar mere pair mein padh gaya.
Main- Are yeh kya kar rahe hai.
Watchman- Mujhe maaf kar dijiye malik.
Main usko uthaya.
Main- Maaf kiya.Par ainda see logon ko ache tarah se puch lena woh kyon hai.
Watchman- Ji malik.
Phir main aur Komal nikal pade mera bike mein shopping mall ki taraf.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.