Update 60
Hum flight mein bethe huye the.Abhi bahot time tha Australiya pohonch ne ke liye.Komal khidki ke pas bethi huyi thi.Bahar ka nazare ka bahot luft utha rahi thi.Mere pas ek ladka betha huya tha.Uske pas ek ladki.Dekhne se new couple lagh raha tha.Ladka bahot dara huya tha.Main usse pucha.
Main- Aap aise darr kyu rahe hai.
Mere baat sunkar woh mere taraf dekha.Abhi bhi dara huya lagh raha tha.Woh abhi bhi kuch nahi kahan.Tabhi ladki jawab diya.
Ladki- Are isko plane mein darr laghta hai.
Main- Kyu?
Ladki- Kyu ki inko lagta hai ki agar plane crash ho gaya ya phir hijack ho gaya toh.
Iss baat par main muskura diya.Komal bhii muskura rahi thi.
Main- Baise aise darr toh hota hai lekin hame thoda na yeh saab ke bareme sochna chahiye.Zindaghi ke ek lamhe ko jeena chahiye.
Ladki- Main bhi yeh believe karti hoon.Baise mera naam hai Nisha aur yeh hai mere husband Nilesh.Aur aap?
Main- Ji mera naam hai Veer aur yeh Komal mera patni.
Nisha- Aapki biwi bahot pyaari hai.
Komal bhi bol padi.
Komal- Aap bhi bahot pyaari ho.Baise aap bhi Australiya ja rahe hai kya.
Nisha- Haan.Par waha se sidha New Zealand ja rahe hai.
Komal- Oh acha.
Phir thoda der idhar udhar ki baat karte karte samay beet gaya.Hum khana bhi kha liye.Komal mere kandhe par sar rakhkar sou gayi.Main bhi sou gaya.
Lamba samay ke baad Australiya pohonch gaye.Hum Nisha aur Nilesh ko bye bolkar Sydney airport mein a gaye.Aapna luggage lekar airport ke bahar a gaye.Hum jabh Sydney pohoncha toh tabh raat ke 3 baj raha tha.Hamara hotel toh pehle se hi book tha.Hotel jane ke liye taxi dhundne lagah.Waha par ek indian taxivala mil gaya.
Taxivala- Haanji sir kahan jana hai.
Main- Ji hame iss hotel mein jana hai.
Main ussko hotel ka address dikhaya.
Taxivala- Chalo ji.
Taxivala hamara saman ko ghadi mein rakh diya.Hum taxi mein beth gaye.Taxi chal pada hotel ki or.Australiya mein raat ke 3 baje bhi logh dikhai de rahe the.Komal bahar ka nazara dekh rahi thi.Uske sath main bhi dekh raha tha.Charo taraf light hi light hai.Karib 1 ghanta baad hum hotel pohonch gaye.Taxi ko paise dekhar hotel ke andar a gaye.Hotel bahot bada tha.Dekhne se hi bahot acha lagh raha tha.Main aur Komal reception ke pas chala gaya.Reception mein ek aadmi tha.
Receptionist- May I help you sir?
Main- Yeah.We have a booking here.
Receptionist- Please tell me the name sir.
Main- Mr and Mrs Singh.
Receptionist aapna computer mein check karne lagah.
Receptionist- Yes sir.Room No. 304.
Phir woh hame key diya.Ek aadmi ko bulakar hamara saman kamre tak le gaya.Aapne kamre mein saman rakhkar woh chala gaya.Main darwaza band kar diya.Komal kamre ko dekhkar bahot khush huyi.Woh pura kamra dekhne laghi.Bakei kamra bahot acha tha.Kamre se bahar ka nazara bhi dikhai de raha tha.Komal bahar ka nazara dekh rahi thi.Main jakar bed par beth gaya.Bed pura spring ka tha.Bahot mulayem tha.Main uthkar Komal ke pas chala gaya.
Main- Aapko pasand aya.
Komal chehekti huyi boli.
Komal- Mujhe toh bahot pasand ayi.Maine kabhi aisa nazara nahi dekhi.
Main- Woh toh main bhi nahi dekha.Bakei bahot khubsurat hai.
Kuch der hum aise hi bahar dekhte rahe.Phir hum dono fresh ho gaye.Aaj bahot thak gaye the hum dono lamba safar ke baad.Main aur Komal bed par jakar blanket lekar sou gaye.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.