Update 58
Raat ke karib 4 baje mera nind khul gaya.Mujhe bahot jor ki susu aya tha.Main uthkar bathroom chala gaya.Bathroom se nikal kar aapne jagah par ja hi raha tha ki mere nazar Komal par padi woh Bed ki kinare par ek choti bachi ki tarah sou rahi thi.Agar ek palti mari toh gir jayegi.Usko bahot thand lagh rahi thi.Sara chaddar mere kinare par tha.Uski chehre se lagh rahi hai bahot thand lagh rahi hai.Main bich mein se pillow ko hatha diya aur Pari ke pas chala gaya.Main kuch der usko dekhta raha.Phir mujhe yaad aya kya honewala tha iss masoom ke sath.
Phir main halke se uske gardan ke niche hath dhala aur aapna dusra hath ko uske pairon ke bich dalkar aapni ghod mein utha liya.Woh ek bachchi ki tarah mujhse lipat gayi.Par woh abhi tak nind mein thi.Shayed usko kuch rahat mili.Phir main usko bed mein thik tarah se leta diya.Phir uss par chaddar odh diya.Phir main balcony mein akar beth gaya.
Balcony mein akar chand ko dekh raha tha.Chand ko ghur ghur ke dekh raha tha.Aapna anewala waqt kya hoga wohi jaise chand se puch raha tha.Aaj Pari ko kaise bataunga.Agar Pari ko kuch ho gaya toh main zindaghi bhar khud ko maaf nahi kar paunga.Aise hi chand ko dekhte dekhte mere ankh lagh gaya.
Subah ki 6 baje mera ankh khula.Main ek baar Komal ko dekha woh abhi tak soyi huyi thi.Main bathroom jakar fresh ho gaya.Shahar2 jane ke liye tyaar ho gaya.Main kamre ke bahar akar dekha ki Dadi nahi thi.Shayed abhi tak Dadi nahi uthi.Main naukar ko dopeher tak ane ka bolke nikal gaya.Bus station jakar Shahar2 jane ke liye ticket liya.Bus mein bethkar sirf Pari ko jabh main sab kuch bataunga toh uski reaction kya hogi.Phir mujhe sapne ki baat yaad aya.Mujhe kaise bhi karke Pari ko sabh bolna hai par usko sabh kuch samjhakar.Yeh saab sochte sochte kabh Shahar2 pohonch gaya pata bhi nahi chala.
Main bus se utarkar ek taxi lekar park mein chala gaya.Phir main Pari ko call kiya.
Pari- Haan bolo jaaneman.
Jabh Pehle main Pari ke sath baat karta tha toh mujhe bahot khushi hota tha.Aab mujhe dard hota hai.
Main- Main park mein hoon.Kya tum abhi a sakti ho.
Pari- Haan haan.Main abhi nikalti hoon.
Itna bolte hi main call cut kar diya.Waha par ek bench mein beth gaya.Mera heart beat bahot tezi se chalne lagah tha.Karib 30 min baad Pari ka car ata huya nazar aya.Main khada ho gaya.Car se Pari nikli.Car se nikalte hi Pari mujhe dekh kar daud kar mujhse chipak gayi.
Pari- Kya huya tumhe.Tum mujhse thik tarah se baat kyu nahi kar rahe ho.Kya maine koi galti kar di.Agar maine koi galti kar di toh mujhe maaf kar do.
Pari ka baat sunkar mere ankhon se asu tapakne lagah.Galti toh maine ki phir Pari maafi mang rahi hai.
Main- Nahi Pari galti tumne nahi maine kiya hai.
Pari mujhse alagh huyi aur mujhe dekhne laghi.Mere ankhon se asu nikalne lagah.
Pari- Muskurate huye…Tum kabhi galti nahi kar sakte.
Main niche ghutno ke baal beth gaya aur rote rote kehne lagah.
Main- Nahi Pari maine galti ki hai.
Pari ko meri halat dekhkar kuch samajh nahi a rahi thi.Woh mujhe uthakar puchne laghi.
Pari- Kya huya tumhe.Kya galti ki tumne.
Main- Pari maine tumhe dhoka diya hai.
Pari bhi rou rahi thi.
Pari- Dhokha diya.Kya kia tumne.
Main route route Pari ko sabh kuch bata diya.Main gardan niche karke betha raha.Pari mere pas bethkar routi rahi.
Main- Pari mujhe maaf kar dena.
Pari kuch der kuch nahi kahin.Phir pehli baar itna samay ke baad bol padi.
Pari- Tum maafi kyu mang rahe ho.Tumne kuch galat toh nahi kiya.Balki mujhe naaz hai ki main tum jaise kisiko pyaar kia.Tum ek ladki ka zindaghi barbad hone se bachaya aur uske sath shaadi kiya.Mandap mein shaadi tootne par bahot dard hota hai.
Main- Bua ne zindaghi mein pehli baar mujhse kuch manga tha isliye main na nahi keh paya.
Pari- Main samajhti hoon tumhare uss waqt ki halat ko.Main dua karta hoon ki tum aapni zindaghi mein khush raho.
Pari iss baat kehte kehte rou rahi thi.
Main- Pari tum bhi kisi acha ladke se shaadi kar lena.
Pari iss baat par kuch nahi kahin.
Pari- Komal ko bahot khush rakhna.Uske pas aapna kehne wala sirf tumhi ho.Tum mujhse ek vada karoge.
Main uske taraf dekh raha tha.Route route woh baat kar rahi thi.
Main- Kya.
Pari- Tum hamisha Komal ko khush rakhoge aur khud bhi khush rahoge.
Main Pari ko hi dekh raha tha.Uske taraf dekhte dekhte main rou pada.
Pari- Karona vada agar mujhe pyaar karte ho toh.
Pari pyaar se mere asu pohonchi.
Main- Tumhe bhi ek vada karna hoga.
Pari- Kya.
Main- Tum bhi ek ache ladke se shaadi karoge.
Pari iss baat par muskura diya.
Pari- Thik hai.Agar koi tumhare jaisa mila toh main jorur shaadi kar lungi.Aab tum bhi vada karo.
Main- Thik hai.Main Komal ko hamisha khush rakhunga.
Phir Pari mujhe jor se gale lagah liya.Kaafi der baad Pari mujhse alagh huyi.
Pari- Veer hamisha khush rehna.Alvida.
Pari waha aur nahi ruki bhag kar car mein bethkar chali gayi.Main bas usse dekhta reh gaya.Uske dekh kar aisa lagah jaise akhri baar dekh raha hoon.Uski jate hi aisa lagah jaise mere dil ka ek tukra chala gaya.Mere ankhon se asu behne lagah.
Hamisha movie mein dekhta tha ki kaise logh bichadne par rota hai.Lekin aaj main mehsus kar raha hoon ki kitna dard hota hai jabh koi aapna dur chala jata hai.Tabh dopeher ho gya tha.Main jakar bus mein beth gaya.Ghar ate ate sham ho gaya.Jaise hi maine andar entry kiya dekha ki dadi bahar bethi huyi hai.
Dadi- Beta a gaya tu.
Main halka sa muskurahat ke sath unke sath beth gaya.
Main- Haan Dadi thoda der ho gaya.
Dadi- Koi baat nahi baise kahan gaya tha tu.
Main- Ji ek dost ke pas gaya tha.
Dadi- Kis dost ke bareme baat kar raha hai.
Main- Wohi jiske ghar mein main ek raat ruka tha.
Dadi- Woh haan.Kuch khaya ki nahi.
Main- Haan Dadi.
Baise toh subah se kuch nahi khaya tha.Mujhe bahot bhukh lagh raha tha.Par Dadi ko kaise bolun ki subah se kuch nahi khaya.
Dadi- Chal jhoota.Tere shakal se lagh raha hai ki tune kuch nahi khaya.Chal mere sath.
Mujhe lekar Dadi table par a gayi aur mujhe khilane laghi.Khana khakar main aapne kamre mein a gaya.Kamre mein ate hi maine dekha ki Komal ek jagah par bethi huyi hai.Jaise koi doll ho.Koi halchul nahi.Main unke samne jakar khada ho gaya.Mujhe dekhkar woh khadi ho gayi.
Main- Yeh aapko kya ho gaya hai.
Woh bahot ahista se bola.
Komal- Ji kuch nahi.
Main uski hath pakad liya.Yeh pehli baar tha ki maine unki hath pakda.Woh pehle shock ho gayi.Main unko khinch kar balcony mein le aya.Waha par unko betha diya.Unke samne main beth gaya.
Main- Aapko yaha par koi pareshani hai kya.
Komal- Dhire se…Ji nahi.
Main- Phir aap aise kyu behave kar rahi hai.
Komal- Ji kaise.
Main- Aap iss tarah see chupchap kyu rehti hai.
Komal- Ji main aisi hi hoon.
Main- Dekhiye aab hamara shaadi ho chuka hai.Aab aap meri patni hai.Aapko mujhpar adhikar hai.
Komal- Nahi aap par mera koi adhikar nahi hai.Aap sirf mere upar ek yehsan kiya hai.
Main- Dekhiye maine aap par koi yehsan nahi kiya.Aap yeh aapne maan se nikal dijiye.Dekhiye jis halat mein hamara shaadi huya hai usse sabhko aisa hi lagega ki maine aap par taras khakar shaadi kiya hai.Lekin aisa kuch bhi nahi hai.Jis din maine aapko pehli baar dekh tha uss din mujhe aapko dekh kar accha lagah.Aap kabhi bhi yeh maat sochiye ki maine aap par koi yehsan kiya hai.
Pari kuch nahi kahin.
Main- Chaliye yeh baat chodiye.Aapka packin ho gayi.
Komal- Nahi.
Main- Are kyu.Australia nahi jani kya.
Komal kuch nahi boli.Main Komal ko halka karne ke liye thoda majak kar leta hoon.
Main- Aap nahi jayenge toh main kya akele Honeymoon par jaunga kya.
Iss baat par Komal sharma gayi.
Main- Yeh sharmana chodiye aur packing kar lijiye.Kya aap mere bhi packing ka denge pls.
Komal- Ji jorur.
Main- Aab tob has diya karo thakurain.
Iss baat par Komal sharma gayi aur mujhe Pari ka yaad a gaya.Main waha se uthkar bathroom chala gaya aurur roune lagah.Kaafi der ke baad bathroom se bahar nikla.Komal ne sari packing kar li thi.Phir uss din kuch khas nahi huya.Kaal mere zindaghi ka naya sabhera honewala tha.Kuch din toh lagh jayega Pari ko bhulne ke liye.Par mujhe nahi laghta kabhi main usko bhul payonga.Mere anewala zindaghi mujhe aur kya kya karvayega yeh mujhe khud nahi patah.

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.