Reading Mode

Update 52

Subah shor sharaba ke sath mera nind khul gaya.Itna shor kyu ho raha hai bahar.Mere pas Aakshay ghode bech kar sou raha tha.Usko toh pata hi nahi hai ki kya ho raha hai.Main bahar jakar dekha toh bahot sare logh angan(courtyard) mein khade the.

Aadmi1- Aap fikar maat kariye Sonali behen hum hai na.Komal betiya ki shaadi ka tyaari hum sab karenge.Kyu bhaiyo.

Sabh logh- Haan haan.

Aurat1- Komal beti hamara bhi beti hai.Hum sabh aapki madat karenge.

Sonali- Dekhiye yeh aapka jo pyaar hai woh mere liye bahot hai.Phir bhi agar aap logh madat karne chahe toh aap logon ka swagat hai.

Bapre lagta hai inn logon ka bahot naam hai yaha par.Sabh logh koi na koi kaam par lagh gaye.Aaj haldi ka rasam tha.Toh saab intezam karne laghe.Phir Dadi mere pas a gaye.

Dadi- Uth gaya beta.Fresh hokar aaja main nashta deti hoon.

Main- Yeh logh kaun hai.

Dadi- Yeh gaon wale hai.

Main- Sonali bua ki toh bahot naam hai.Sabh madat karne ke liye a gaye.

Dadi- Muskurakar..Naam nahi beta.Yeh logh Sonali ki pati ka bahot izzat karte hai.Komal ko aapni beti manti hai.

Main- Hmm.Komal ka pitaji kahan hai.

Dadi- 5 saal pehle woh gujar gaye.

Main iss baat ko sunkar thoda udas ho gaya.

Main- Kya huya tha unko.

Dadi- Heart Attack.Chal aab fresh ho ja.

Phir main bathroom mein jakar fresh ho gaya.Dadi mujhe nashta dia aur main nashta karne lagah.Nashta karne ke baad main kaam mein madat karne lagah.Phir Pari ka phone a gaya.

Main- Hello ji.

Pari- Kya kar rahe hai ji.

Main- Kaam kar raha hoon shaadi ka.Inki shaadi dekhkar mujhe shaadi karne ka maan ho raha hai.

Pari- Tum hamisha kya yehi sochte rehte ho kya.

Main- Aab kya karoon.Mujhe toh bahot jaldi hai Shaadi ka.

Pari- Thoda sabar kijiye ji.Sabar ka fal mitha hota hai.

Main- Hay kabh woh mitha khane ko milega.

Pari- Dhatt.

Phir aise hi thoda der Pari ke sath baat kiya.Phir lagh gaye kaam par.Aise hi kaam karte karte kabh sham ho gaya mujhe pata bhi nahi chala.Kuch der baad rasam shuru hone wala hai.Toh sab tyaar hone chala gaya.Dadi mujhe ek sherwani dia pehenne ke liye.Main jakar tyaar ho gaya.Sabh angan mein bethe the.Kafi logh aya tha fubction mein.Main gate ke pas wall ke upar betha huya tha.Abhi tak haldi nahi aya ladke wale ke pas se.Komal ko bhi stage par bethaya gaya.Main bahar wall ke sath khada hokar mobile mein game khel raha tha.

Kuch der baad ek ghadi akar ruka gate ke samne.Shayed a gaye.Aakash uncle aur Sameer uncle ne unka swagat kia.Uncle ne mujhe bulaya haldi ke thali ko pakadne ke liye.Main jakar pakad liya.Phir sabh function ke andar chale a rahe the.Tabhi Sahil bhag kar mujhse takraya haldi ka thoda hissa mujh par gir gaya.Mere gaal par haldi lagh gaya.Yeh dekhkar sabh mujhe aise dekh rahe the jaise maine kisi ka kidney mang liya ho.Phir ek aurat bol pada.

Aurat1- Haay ram yeh toh aapshogon ho gaya.Dulhe ka haldi issko lagh gaya.

Aurat2- Aab toh aapshogon ho gaya aab kya karen.

Main- Kuch na samajh kar…Thoda sa hi toh gira hai aisisa kya ho gaya.

Aadmi1- Chup kar ladke.Badtamizi karta hai.

Main- Main kabh badtamizi kiya main toh bata raha hoon aisa kuch nahi hota.

Divya bua mere pas akar mujhse thali khinch kar le liya aur ghusse se kehne lagah.

Divya Bua- Ek kaam thik se nahi ata.Sabh kharab kar diya.Manhoos ki manhoos hi rahega tu.

Yeh baate sunkar toh mujhe bahot dukh huya.Sabh ke samne mujhe zalil kar dala.Main sirf chup chap jakar ek kone mein khada ho gaya.

Divya Bua- Dekhiye jo kuch bhi huya anjane mein huya.Bhagban bhi maaf karega yeh galti.

Phir shuru ho gaya haldi ka rasam.Main bas kone mein khada tha.Mere ankhon mein asu chalak raha tha.Phir thoda der ke baad Dadi mere pas ayi.

Dadi- Beta bura maat maan.Yeh gaon ke logh yese hi kuch bhi kehte hai.

Main- Sorry Dadi maine jaan bujh kar kuch nahi kiya.Sahil mujhse takraya toh main sambhal nahi paya.

Dadi- Main janti hoon mera beta kuch nahi kiya.Chal maan chota maat kar.

Phir Dadi ke sath mein kuch der betha raha.Dadi haldi lagane chale gaye.Sabhne haldi lagah diya.

Aurat1- Aur koi hai kya haldi lagane ke liye.

Dadi kuch kehne ja rahi thi ki Bua bol padi.

Divya Bua- Nahi aur koi nahi hai.

Lagta hai Dadi mujhe bulana chahte the.Koi baat nahi.Phir sabh khana khane chale gaye.Function khatam hote hote 11 baj gaye the.Kaal shaadi tha toh sabh jaldi jaldi soune chale gaye.Main bhi dant khakar thak gaya.Main fresh hokar let gaya.Kaabh nind aya malum hi nahi pada.

Please complete the required fields.