Update 27
Maine dekha ek aadmi khoon se lathpath pada huya hai aur sab logh tamasha dekh rahe the.Main unke pas gaya aur sarko uthakar apne ghod mein rakha.Sar se bahot khoon nikal raha tha.
Main- Yaha par ek aadmi pada huya hai aur aap logh khade khade tamasha dekh raahe ho.
Aadmi1- Dekho hum kisi jamele mein nahi padna chahte.Police ke jamela mein padna nahi hame.
Aadmi2- Aur nahi toh kya.Kyon police ke chakkar katega.
Main- Agar yaha par aapke apne pade hote toh phir bhi aise hi bolte.Kamsekam ambulance toh bula lete.Main bhi kinhe keh raha hoon.
Main uthkar taxi rukvaya aur unko ghod mein uthakar taxi mein dala.Kasrat karne ka ek faida toh huya.Phir apna bazar ke bag uthakar taxi mein betha aur unke sar ko apne ghod mein rakhkar taxivala ko kaha.
Main- Bhaiya hospitall chalo.
Taxivala hospital ki taraf bad gaya.Karib 10 min mein hum hospital pahonch gaye.
Main- Bhaiya jara strecher le ana.
Taxivala andar chala gaya aur strecher le aya.Unko strecher mein dalkar andar le aya.Main receptionist ke pas chala gaya.
Main- Suniye jara doctor ko bulana inka accident huya hain.
Receptionist- Accident.Phir toh yeh police case hain.Pehle police ko bulaiye.
Main- Are aap pehle ilaz toh shuru karo.
Receptionist- Dekhiye yaha ki rule hai ki aise cases mein pehle polce ayega phir ilaz hoga.
Main- Ghusse se….Ajib aurat hai aap.Yaha inki jaan ja raha hai aapko rule ki padi huyi hai.Agar inko kuch ho gaya toh.
Receptionist- Woh hum nahi jante.Pehle police ayega phir ilaz hoga.
Tabhi doctor a jata hai.
Doctor- Kya ho raha hai yaha.
Main doctor ke pas chala gaya.
Main- dekhiye na sir inka accident huya hai aur kafi khoon nikal chuka hai.Maine inko kaha ki ilaz shuru karo lekin inko toh bas police ko bulana padi huyi hai.
Doctor aadmi ke pas jakar dekha.
Doctor- Are yeh toh Rishabh hai.Yaha ki bade buisnessman.Wardboy jaldi se inko O.T mein lekar chalo.
Phir woh logh inko O.T mein lekar gaye.Doctor mujhe bola.
Doctor- Dekho iska bahot khoon beh chuka hai toh khoon ka jarurat pad sakta hai.Tumhara blood group kya hai.
Main- Ji mujhe malun nahi.
Doctor- Nurse iska blood group check karo dekho ki O- hai ki nahi.
Main nurse ke sath ek kamre mein chala gaya.Woh mere hath se khoon nikala.Bahot darr raha thaha par kisika zindaghi ka sawal tha.Match bhi ho gaya.Phir ek bag khoon nikala woh logh.Phir main bahar O.T ke samne wait karne laga.Tabhi samne se ek aurat bhagti huyi a rahi thi.Unke piche ek ladki.
Jaise hi maine ladki ko dekha mera duniya tham gaya.Kya asman se pari utar aya kya.Haseen aur khoobsurat.Dekhne se hi lagta hai fursat se banaya gaya.Jabh woh mere samne a gayi toh main uska roop mein hi kho gaya.Uske behte asu dekhkar mera dil ro pada.Main uski pas jakar khada ho gaya aur meri muh se nikal gaya.
Main- Aap roye maat sab thik ho jayega.
Woh ladki meri taraf dekha aur dekhte hi uska asu ruk gaya.Meri ankho mein nami chaya huya tha.Woh mujhe kuch der dekha phir nazre jhuka li.Tabhi doctor bahar aya.
Aurat- Punitji abhi woh kaisa hai.
Doctor- Shakuntala ji Rishabh abhi thik hai.
Ladki- Papa thik toh hai na.
Punit(D)- Pari beta woh abhi thik hai.Par yeh sab huya kaise.
Shakuntala- Subah tehelne nikle the par uske baad pata nahi.
Pari- Hum mil sakte hai kya.
Punit(D)- Nahi abhi nahi.Kuch der mein cabin mein shift kar dega uske baad mil sakte ho.
Shakuntala- Thanks Punitji.
Punit(D)- Are thanks mujhe nahi iss ladke ko dijiye jisne Rishabh ko yaha laya aur khoon bhi dia.
Shakuntala- Beta tumhara bahot bahot dhanyabaad.
Main- Dhanyabaad ki koi jarurat nahi yeh toh mera farz tha.
Shakuntala- Phir bhi aaj kal kaha sab logh apna farz nibhata hai.
Punit(D)- Acha aab main chalta hoon.
Doctor waha se chala gaya.
Main- Acha aunty aab main chalta hoon.
Shakuntala- Are aise kaise.Tumhara naam kya hai.
Aab asli naam bolun ya phir nakli.Par unko nakli naam bolne ko dil nahi kia.
Main- Veer.
Shakuntala- Tum kaha rehte ho.
Maine unko colony wala address bola.
Shakuntala- Tum yaha par rehte ho.
Main- Nahi aunty main toh ghumne aya tha.
Shakuntala- Tumhara maa baap kaha hai.
Main- Ji mera maa pitaji iss duniya mein nahi hai.Sirf meri Dadi hai.
Shakuntala- Sorry beta.
Main- Koi baat nahi aunty.Aab main chalta hoon.
Shakuntala- Aise kaise unse milkar toh jao.
Main- Nahi aunty mujhe jaruri kaam hai.
Shakuntala- Phir tumhara number de jao.Unko agar baat karna hai toh.
Main- Thik hai aunty.
Shakuntala- Pari bata number lelo.
Pari- Ji maa.
Phir main unko namaste kehkar aur Pari ko ekbar dekh kar bahar a gaya.Dil toh nahi kar raha tha par ghar bhi jana tha.Patq nahi naukri rehega ki nahi.Dopeher ho gaya tha.Taxivala abhi tak bahar khada tha.Maine taxi karke ghar ki aurur chal pada.

