UPDATE 64
Sadi Resam aapni had main rahoo sumjhay main jis kay sath chawun dance karun jis kay sath cahay apni raaty or din betawun tum kon huty hoo maray undaz gusay bhara tha
Resam ko tu jasay sadeed jhutka laga tha un kaa wo khela gulabi cahra jo kuch daer pahlay jasy aak chumkta huwa chand tha maray elfaz say jasay tareek purgaya thaw o khara huwa aak jhutkay say or bola us kee awaz jasay kisi ghayal Khulka ke thee wo bolay Sadi aap nay boland Rosni ka wada keya tha kay aaj aap serf maray sath dance kuray gee serf maray sath or Col Zaga bech main un ke baat katy huway bola
Col Zaga aray buchay baray bachoo ko bahlanay kay leya iysay baaty kurtay he hay or jawo ab tum baray hu gay hoo Sadi ko us ke zindagi jenay do jawo yaha say kub tuk wo tum ko palay Resam jasay phut he tuu paray thay us pay
Resam khaberdar ju kabhi maray or marai Sadi kay bech aanay ke kosis bhi kee haath chorday galeez Oger maray Sadi kaa us kay paak haath ko chonay ke kosis bhi tuu nay kasay kee sath he Resam nay aak zordar jhutka maar kay Zala ka haathmaray haath say churwa deya or jasay mujh ko khaac kay khud kay qareeb kurleya apni hadoo main rahoo Col Zala tum baat kis say kur rahay hoo main Harmad Empir kay Waliahad hun zaban sambahal kay baat karoo Zala
Col Zala oh tu waliahad Harmaz murd ke turha khul kay muqabla kur lo jo jetay ga wo aaj ke raat Sadi kay sath dance kuray ga bolo
Resam mujh ko manzoor hay main buri turha say ghabra gay thee resam or Zala ka koi muqabla he nahi thaa Resam abhi bucha tha us kay samnay or wo aak ghag laraka tha jismani tur pay bhi Resam us say aadha thaa bhuray mahfil main ab main Resam ko mana bhi nahi kur sukty thi kun kay baath Harmad kay hukam ke ezat ke thi main dil say kaap rahi thi or duway kur rahi thi kay Harmad ka Hukam ke ezat mahfoz rahay wo dono kuch tables kay bech main aagay aak dusray kay aamnay samnay huway or pahlay Col Zala nay humla keya Resam nay sakoon say us ko roka or pher un dono main aak sukht aasab sekun muqabla suru hugaya Resam nay na tu haar mani na hee aak bhi qadam pechay hutay wo aak chataan ke turha us ka muqabla keya don okay chary khoon main doob gay thay aakher Resam nay apni pori taqut laga kay wo huk Zala ko mara or wo chukra kay zameen pay jaa gera main logo nay Resam kay name kay naray marnay suru kurdeya main tazi say us kee turaf burhi or pahlay ja kay main nay us ko apni bahoo main bher leya maray dil ko jasay aak sakoon sa mel gaya tha us kay khoon say maray sufeed gowen lal huraha thaw o gahri seanse laty huway bola
Resam Sadi jaan aap maray ragoo main lahoo keturha bahty hu aap kay muqadus wajood ko koi choo bhi lay main yea gawara nahi kur sukta mara dil aap kay name say dhurakta hay aap mara sub kuch hu sub kuch mor mujh ko kuch nahi caheya main aap kay leya apni jaan hasi khusi day sukta hun maray rouh ke hassen rosni
Sadi main jasay us kay is ezhar kay leya zahni tur pay tayar na thi pata nahi kya baat thi lakin main nay wo keya jis ka bohut lumbay zamano tuk main nay khud ko kosa main nay us say elahda hu kay us ko aak thuper mara us kay moun pay or jasay wo thaper khaty he wo jasay chukra kay gera jasay us ko kisi nay ak pahar khech mara hu us kee ankhoo main wo sadeed takleef us ka cahra jasay takleef ke sedut say begur gaya thaa main chekhi us pay ketni baywakoof thee main ketni jahil thee main nay cheekty huway kaha tum huty koon hu mujh say yea sub kahnay walay tumhari hemut kasay huwi yea sub bukwas kee mara dil jis kay sath apni raat munay ka cahay ga main manawun gee dufa hu jawoo yaha say main tum say koi mohabat nahi kur tee sumjhay tum jahil magroor buchay main ketni jahil thee magroor wo nahi main thee jahil wo nahi main thi wo tu maray leya bus pyar hee pyar thay ju waqt nay sabit keya lakin wo aak murd thay harmad ka Hukam thay wo wo khmosi say uthay un ka cahra aak puther ke chataan ke turha thaa un ka cahra mazeed khoon main dobta huwa thaw o aankhay ufff jasay maray rouh ko chelty chali gay thee maray belkul roobaroo khuray hu kay wo serf itna he bolay
Resam Sadi khud ka muqam pahchanay kahi iysa naa huu kay aap kee koi baywaqofi aap ko aap kay us muqam say nechay gera day ju Buland Rosni nay aap kay leya rukha hay aaj say ab say hum elahda huty hay aap apni zindagi main khus rahay lakin aaj ke is hurkat ko yaad rukhya gaa ab main aap say kuch nahi kahun gaa khuss rahay lakin khud ko pahchanay bhi buchpana aap nay bohut keya ab khatam kuray or is kay sath he wo waha say janay kay leya huray or wo Zala nay pechay say wo aak tulwar jasay salakh thi ju Resam kee qamer main ghsa dee thee or may puther bahi khari thi bulkay mara aak haat us salakh pay tha or sayad main nay us ko bahir nekalnay ke kosis ke or us waqt he Resam ghumay or maray haath ke geraft nay us salakh ko jasay or under tuk us un ke qamer main utardeya main dahsutzada see waha khari un kay qamer say nekulty khoon ko dekh rahi thi Royal guards charoo taraf say tut paray thay or kuch he paloo main hum zameen pay puray thay hum ko geriftar kurleya gaya or pher aglay doo din tuk hum ko kuch pata nahi tha koi kuch nahi bolta tha hum say 3 din tuk iysay kusmakus main rahnay kay baad mujh ko reha kurdeya gaya jub main gher wapis aai tu waha bhaijaan bathay thay room may Resam ka saman peck rukha tha us kay room say kuch khater pater ke awaz aarahi thi
Sadi bhaijaan main surmenda hun kay ju huwa main bhaisahab nay haath utha kay mujh ko khamos kurwa deya
King FAROS maray pyari bahan mujh ko yea umeed nahi thi ju huwa aakher us nay apnay pyar ka he tu ezhar keya thaa tum say tum nay us ke jaan he lanay pay uter aai khar choro kun kay us nay khud tum ko maaf kurdeya hay or sub maan kay sara elzam khud pay leya hay is leya tum ko kuch nahi kaha jayga na he us tumharay Lover Col Zala ko tum apni job khusi say jari rakhoo jasay cahay jeyoo jub cahay hum say melnay aawoo mahal main tumhara room wasa he hay jub cahay aakay rahoo khuss rahoo Resam maray sath ja raha hay
Sadi bhai kaha ja raha hay yea yea yea tu yaha tha maray sath yea tu nahi Resam tum kaha ja rahay hu tum tu kahty thay kay tum kahi nahi jawoo gay main bolty huway us kay room ke turaf burhi under wo tha us kay haath main sayad wo aakhri bage tha us kay cahra abhi bhi patyo say bundha huwa tha bulkay us ka senay bhi jasay pateyo main lepta huwa tha sath he us kay us kee bari bahan khari thi us nay mujh ko khoy khoy see nazroo say dekha kay bol
Resam yea he bahter hay ab aap kay us jawab kay baad lakin afsoos Ulad ULGAZ say yea umeed khud Ulgaz ko bhi nahi hu gee kay wo peth main waar kuray nehuty kee khar main nay aap ko wo sub maaf keya humdono kay rustay yaha say elahda huty hay main gung thee khud ko kosnay marany kay elawa maray pass kuch nahi thaa main waha khari rahgai waqt guzarta gaya
Resam chalay gay zindagi ka kaam chulna thaa wo chulty rahy pher Resam nay Resaly say shadi kurlee yea koi 20 saal baad ke baat hay us waqay kay main ab caption bun chuki small destroyer pay Shadi kay uglay saal main nay aak bhi Shadi ke lakin wo maray sub say bari nakami sabit huwi wo shadi ju aak zordar romance kay baad huwi aak Mahena na chul saki shadi ka khatma mujh ko jasay aadha pagel kur chukka tha Resam ke yaad jasay dil say kahi jaty he nahi thi lakin us ka samna kurnay ke hemut jasay thee hee nahi mujh main pher main nay khud ko jasay apnay kaam main or bayhasil love affairs main chupa leya chupa leya main puri sunjedgi say apnay carrer pay tawajah daty thi pher suru huwi Battle of SRFA wo jung jis nay Resam kay dil ko maray turaf say saaf kurdeya tha aak sheshay ke turha huwa yea tha kay Resam Kuch he ersay main hukam uthanay walay thay kyn kay bhaijaan ke tabyat bohut sadeed kharab rahnay lagi thi SRFA kay sector main Resam undeno main Resaly kay sath chutya muna rahay thay yea sector us waqt aak border area tha mujh ko or resam ko elahda huwa qareeb 40saal say bhi upper hu chukay thay main kahty kisi say nahi thi lakin un ke yaaday mujh ko kabhi nahi chorty thi maray bed pay wo aakhri dance ju hum nay keya thay wo jasay maray zahun say chpuk say gaythay main un kay hathoo or jisam ka lums apnay jisam pay hasus kurty thee hala kay main nay bohut say mardo kay sath soo chuki thi bohut say murd maray jisam ko sari sari raat bhabhorty rahay thay lakin un main say kisi ka bhi lums aak lumhay kay leya bhi maray zahun kay kisi dour daraz kay hesay main bhi nahi jaga tha hud tu Throos ka lums bhi kabhi mujh ko mahusu na huwa tha Resam kay us dance kay duran chunay kay baad say un kay haatho ka wo lums wo mujh ko khud say lagana wo hur baat jasay maray badan pay maray ruho pay chup see gay thee lakin main apni zindagi ke mohabat ko apni gulteyo say khoo chuki thi khar tu SaFA pay humla huwa waha mojud Fleet nay bary bay jegri say larai kee hum qareeb thay is leya hum ko waha forum pohuchnay kay leya kaha gaya main us waqt aak wing Commander thi maray Wing main 2 battleship 6 Croser or 10 destroyer thay hum tazy say aagay burhay or hum nay sedha Surgaal kay attack fleet ke back say un pay humla kurdeya hum dusman ko tabah kurty katay cherty jasay under ghusty chulay gay kun kay Plant kay samnay mojud humaray 2no fleet kafi sadeed nuksan utha chukay thay lakin un do fleet nay samnay say aay Surgaal kay 4 fleets ko wo moun tor jawab deya tha kay Surgaal walay aanay walay kai saalo tuk na bholay hu gay jub hum nay humla keya tu humara qareeb 1 ½ fleet tabah hu chukka tha dusman kay 2.5 fleet ka safaya hu chukka tha maray wing nay duman ko buri turha say ragerdala Resam khud aak battleship say puray war ko control kur rahay thay main pagel hu gay thi jub yea pata chula tha kay Resam ko marnay kay leya yea humla hay main nay un pay pagloo ke turha jhupty thi apnay fighter ko main nay musalsul bena rukay humla kurnay ka hukam deya tha hum tadad main kunm thay lakin wo kahty hay na kay junoon ka koi muqabla nahi baad main mujh ko bataya gaya kay main nay us waqt us haalut main thi kay apnay poray wing kay sath us fleet kay under ghuss gay thee hum ship say ship tukra rahay thay kun kay hum kum thay tadad main is leya dusman endhadhun fire nahi kur sukta tha us ke heavy guns jasay maflooj huu gaithi jub kay hum hur dhaat kay tukray pay firing kur rahay thay dusman nay jub apna fire burhaya tu hum say zyada wo aapus main khud hit huway humaray chaal kaam kur gai or hum dusman kay buchay 1 ½ fleet ko kum kurty aadhay pay lay aay khud mara wing qareeb aadha khatam hu chukka thaa wo time tha jub dusman nay waha say bhaga mara ship bohut damage huwa tha may us waqt apnay command post say cheek cheek kay bool rahi thi dusman ko jasay lulkar rahi thi kay aawo buzdelo aawo kaha bhagty hu maray Resam ko maranay aay thay pahlay mujh say tu meloo main thumhary mouth u galeez guor ke aulado maray elfaz sub sun rahay thay main tazi say bhagty huway dusman ka pecha kur rahi thi or un pay musal sul fire kur rahi thi kay maray comm. Nay mujh ko kaha kay Prince Resam line pay hay main khud ko sabhala yea us din kay baad sayad 60saalo baad pahla rabta tha mara dil jasay Brr ke ruftar say dour raha tha line thuru huwi or samnay Resam thay wo muskurata huwa cahra wo haseen aankhay maray sur say khoon bahraha tha jung kay duran lagi choot say us pay aak kupra sa banda tha main nay
Resam bohut shandar Commander Sadi bohut sandar bulkay ju jawanmurdi aap nay dekhai hay wo tu buray say baray bahadur kay bhi chukay chura day aap ko main salam pass kurta hun or aap ko apnay ship pay aanay ke durkhuwast kurta hun
Pata nahi kya ghusa tha maray demag main main boly My Prince aap kaa bayhud sukreya lakin abhi mara ship bohut sadeed damage hay hum ko furan apnay wing ko lay kay FlleFa jana hay aagay hum zarro melay gay lakin aap sumjh sukty hay kay abhi main kaam may phasi huwi hun
Resam aak udas see muskaan leya main aap kay farig hunay ka entazar karun gaa keep it up or line kut gai un ka wo maus sa cahra dekh kay mara dil jasay buri turha say dhurka tha lakin apnay demag ka kya karun main nay FlleFa janay kay order deya or apnay room may aakay khud ko khoob kosa khoob chekhi khud pay sach kahun tu khud ko dewaroo say jetna zor say tukra sukty thi tukraya lakin koi hasil nahi tha mara dil mujh ko lanut mulamut kur raha tha or mara zahun kamena jasay ho he na bulkay wo bhi ulta kah raha tha jub Resam bula raha thaa tuu chulay jaty main jasay pagel he hu gai thee pher main nay Sharab pena suru kurdee or jub tuk pee jub tuk kay main bayhose naa huu gai dusry subha jub maray aankh khuli tu hum FlleFa kay workshop pay aachukay thay ship repair kay leya lug gaya tha 20 din kay leya or hum nechay planet pay chulay gay thay qareeb 10 din baad mujh ko bulaya gaya Nai Hukam kay Hukam subhalnay ke taqreeb kay leya jub main Harmad wapis pohchi tu Resam kay Hukam subhalnay ke taqrebaat suru hu chuki thi jasa us din huwa jub Ressas nay Hukam Subhala tha wasa he huwa Resam nay Hukam sumbhala main apny bari pay gai un kay samnay mara dil mary halaq main dharak raha tha jub main un kay samnay un kay ghutnay pay haath rukh kay nechay zameen pay bathnay lagi tu woo aak gahra seanse laty huway bolay
Resam Sadi Sungasory aak kub apni jagah pahchanoo gee tumhari jagah maray samnay zameen pay bethna nahi maray sath is tukhtpay Hukam kurna hay kya yaad nahi is Tukht nay kun tum ko maray sath qabool keya tha lakin tum pata nahi kun khar main tumhara intezar kur raha hun
Sadi main serf itna he kah sukty hu kay un kay etnay saaf baat kay jawab main main gadhi nay kaha main aap ke baat sumjhi nahi maray King wasay restay main main aap ke maa lagty hu sumjhay
Resam mujh ko gahri nazroo say dekhty raha gay or bolay khud say mazak kurna choor do Sadi juu tum nay keya wo main us waqt he maaf kur chukka hun aakher maray kya galty thi jis ke saza tum nay itni bhyanuk dee bolo na maray pass koi jawab nahi tha main apni us bhayanuk galty pay serf khud ko maar sukty thi turap sukty thi or kuch nahi kur sukty thi us waqt he Resaly ju Resam kay sath bahthi thi mujh say boly
Resaly Sadi aakher aap ko humaray cahray kun nazar nahi aatay main jub bhi Resam kay sath huty hun humdono ko hee aap kay cahra humaray sath mahsus huta hay please khud ko us bund say bahir lay aay Sadi aap khud ko kun turpa rahi hay aajay humara bister humaray gher humaray room humaray zindagi aap kay bena adhuray hay Sadi aajay na main mazeed na ruk saki or uth kay tazi say waha say chuly gai iysa lugta tha kay lasauri tur pay main us hadsay main he qaad thee main khud ko us sub ka zamaydar sumjhti thi ju huwa tha Zala nay maray shaa pay he harmad kay hukam kee bayzaty ke kosis kee thee such main main wahi qaadthee or main such main jasay suchai say bhaag rahi thi khar Hukam subhalnay kay qareeb 3 ya 4 din baad main Baba or mom kay sath bathi thi Mahal kay aak gaage main kay Resam jasay aak dum say samnay aagaya us nay Baba or Mom ko tazeem dee or pher us nay Muqadas khaak ke thali nekali jis pay mara name tha us nay wo thali mujh ko day dee main jasay jum gay thi wo bool raha tha
Resam Sungasory aab bhi kya kuch baki hay aap kay enkaar main yea khaak mari caahut pay Muqadus buladiyo nay nahi dee please mazi kay un gunday sayo ko dufna day
Sadi main waqi aak number ke DHURA ka bora thi(ulu ke pathi) or yea baat maray mom nay us din mujh ko bohut achay say sumjha di thi Resam kay janay kay baad bulkay Dad bhi un kay sath shamil thay khar main nay us pay boli kun aakher wo sub tum nay kun keya tha kun waha sub kay samnay mujh ko zaleel keya kun Zala kay samnay kharay hu kay aakri mari thi pher mujh ko geruftar kun kurwaya tha kun mujh ko 3 grade nechay Demote keya thaa woo sub tumhari galty hay tum zimaydar ho un mazi kay gunday saayu kay or Resam jasay phut paray thay us din
Resam ha mari he gulti hay kay aap jasay magror ghamandi or wada khelaf say pyar keya hay mari galty hay kay aap jasay dusman ko apnay wajood kay hur hur zuray main basaya ha marai galty hay jub apni or aap ke ezat kay leya main us shukes kay samnay khra huwa ha wo mari gulty thi ju aap kay jhoot ko such mana kay haa aaj ke raat serf humdono ke raat hay koi dusra bech main nahi aayga ha wo maray gulty thi ju us jhoot ko such man kay main nay bohut ahtram say aap kay us boy toy ko mana keya tha or ha wo mari galty thi jub aap nay apnay moun pay bhari mahfil main khud thuka tha us galazut kay dhar kay sath janay ko kah kay or ju main apni ezat kay leya us kay samnay dut gaya tha haa main galat hu suru say aaj tuk main galat huu tum sahi hu mujh say jhoot bool kay tum suchi hu maray suchay pyar ko jaan kay bhi maray moun pay aaj tuk kalak putnay kay baad bhi tum sachi hu ha tum sachi hu maray qamer main wo dhokay kay zahar main dubi salakh utarnay kay baad bhi tum sachi hu ULGAZ kee nasal kay moun pay kalak mulnay kay baad bhi tum he suchi hu main zamaydar hu tumharay wajood ko hurgalazut or burai kay baad bhi qabool kurnay wala tumharay aak aak qadam kee ahut pay apnay wajood ko nechawer kurnay wala yea jaan kay bhi kay aaj tuk tum 200 say zyada murdo ka bister garam kur chuki huu tum ko apnay dil ke hur hur suchai gahrai say chnay wala main galat hu Buray Baba maa kya yea waqi aap ke he bati hay such main waqi hee wo dono tu jasay us sawal pay pather he hu gay thay main nay zindagi main pahly baar Dad ka sur surme say jhukty huway dekha tha maray samnay Dad ka sur nahi jhuka tha Harmad ka Hukam jhuka tha ha wo sur kabhi kisi ke samnay nahji jhuk sukta tha seway Buland Rosni kay or aaj wo sur aak baap ka sur apnay batay kay samnay jhuk gaya tha kisi or wajah say nahi marai wajah say us baap ke apni batik ay kalay kurtuto ke wajah say maray under bohut say undharay kay but toot raoahy thay wo muzar jasay maray roun tuk ko zakhmi kur gaya tha
Dad beta main sayad ulad Ulgaz ka pehla beta hu ju kay apnay buchay say surmenda hay mujh ko maaf kurdena un ke awaz kaap gay thi un ka cahra jhuka huwa tha Resam jasay teer ke turha un kay paroo main ja kay baath gay or bolay
Resam maray Baba maray rouh ko bunanay walay main aap pay qurban ju aap ka sur maray samnay jhukay yea Hramad kay Jormalok ka sur hay yea harmad kay hukam ka sur hay ju kabhi kahi nahi jhukta mara sawal he galat hay aap maray is gunah ko maff kur day waqi gulty mujh say he huwi sub main
Dad jasay drar he tu paray thay nahi maray buchay nahi tu galat nahi tu sucha hay ab is ko is kay keya ke saza day Jormalok Harmah ka Hukam ju kah raha hay tuj say us pay emal kur beta lazmi hay ab Hukam ka maan pura karoo
Resam jasay un kay dil kisi nay jasay muthi main paker leya hu wo laraz uthay thay puri jaan say pher wo jis hemut say Dad ko dekh kay muskuray wo kisi kay bus ka roog nahi jasay koi khud kay jisam ko apnay haatho say kaat kay 2 tukray kurtay huway muskuray may janty thi kay woo mujh ko saza kay name say he laraz uthay thay wo dil nahi tha Resam may maray pyar ka aak gahra sager tha us ke rouh nahi thi un main wo maray mohabat ke taza rosin thi or main ketni ghenawni thi uff main us shukes ko turpaya tha ju maray seanse sun kay jeta tha yea edrak mujh ko un lamho main huwa lakin daer hu chuki thi maray muthi mukadus khaak kay gerd mazboot huti ja rahi thi pher main nay dekha mara us mohabat kay dewta nay kasay khud ko aazmais main dala or wo bolay Sadi tum ko main Harmad Empir kay King kee haseyat say hukam deta hun kay aglay 30 saal tuk tum is mahal mainnahi aasukty or mujh say hur surat hur haal main 10 klik ka fasla rakoo gee or is kay sath hee Resam waha say chulay gaay marai rouh ko us din jasay Resam nay maray samnay nuga keya tha maray mom Dad kay samnay wo din tha maray khud say aasnai ka main roo rahi thee awaz nahi thi maray aankhay jasay nadeya baha rahi thi or pher ju baat main nay Dad kay moun say suni jasay us nay mujh ko maar he tu dala wo mom say bolay
Dad aak baat tu batawo Shasi kya waqi yea mari he aulad hay kahi koi galty tu nahi huwi kahi tum say bacha budla tu nahi gaya kunkay itni gundi ka dhar kasay mara hu sukta hay
Mom ju aapnya kaha kay yea gund ka dher kasay aap ka hu sukta hay waqi woo such hay lakin Buldeyo ke qasam maray jisam say aap kay nutfay kay elawa or koi rouh bahir nahi aai yea hum dono ka he koi na kurda gunah hay ya kisi puranay gunah ka koi saza Sadi saram aaty hay tujh ko apni bati bolty huway or sun ager ab tu murr gai na bena us mohabat kay mujasam roop ko apnay us ke zindagi ko apnay khoon say sech kay mahkay bena tu ja main tary maa tujh ko apnay jisam say zindagi danay wali tujh ko apna dudh pela kay zindagi kee taqut danay wali tujh ko tareek kurty hay murnay kay baad kisi rosin ke kiran say
Dad khud ko mazloom sumjhna bund karoo larki tum nay Harmad kay waliahad ko buzdilana qatal kurnay main mulawis thi sumjhi aaj bhi tum maray nazar main khud ko saaf nahi kur suki hu tumhara bhai ager chup thaa tu us ka mutlab nahi kay wo bhi tum ko saaf sumjhta hay tumharay sub bahan bhai tum ko kisi achi negah say nahidekhty or aaj tu jasaytum nay us pay moher laga di ab yaha say chali jawoo jormalok ka Hukam hugaya hay jawo is say pahlay kay Royal Guard tum ko utha kay bahir phaak day jawo main dad ke baaty sun kay kaapty huway qadmo say uthi thi
Mom nay kuch soch kay boli tum maray dost Zila ko janty hu na
Main bari muskel say boli jee janty hu
Mom jawo us say ja kay meloo tum ko fasla kurnay main aasani hu gee hu sukta hay tum ko sahi rah dekh jay waqt too kafi hay tumharay pass apni galteya sudharnay ka ab jawo main waqi waha say kaampty wajood kay sath nekli thi mara dil cheek chekk kay mujh ko galeya day raha tha maray wajood jasay khud mujh ko lantana kur raha tha mari zindagi jasay waha us waqt main khatam hu chuki thi main bena sochay chul rahi thi or pher main jub chouki jub main Buland Rosni kay Muqadus gher kay bahir khari thi main khud ko jasay tasay khachty us kay under dakhil hu gai aak Rabit waha bathay logo kay maslo ko sun kay un ka ju hul bunta wo bata rahay thay main aak konay main ja kay baath gai or maray turapty dil ko jasay ahista ahista sakoon sa aanay laga wajood pay tari wo kupkapahut ahista ahista khtam huty chali gai or main waha aak satoon say taak lugay lugay soo gai mujh ko nahi pata kay main kub tuk sooty rahi jub uthi tu mujh ko uthta dekh kay aak Khadim maray pass aaya or bola

Leave a Reply
You must be logged in to post a comment.